Asma bint Abi Bakr (may Allah be pleased with her) narrates: When Zubair married me, he had no wealth, land, or slaves except for a horse. I used to bring grass for the horse, serve him, groom the horse, grind fodder for it, give it water, and take care of the guests. I also used to grind flour, but I couldn't bake bread well. The Ansar women used to bake bread for me, and they were truthful women. She said: I used to carry dates on my head from Zubair's land, which was two-thirds of a Farsakh (approx. 4 km) away. She said: I was returning with the dates when I met the Messenger of Allah (peace be upon him). A group of companions (may Allah be pleased with them) was with him. He called me and said: Ride behind me. She said: I felt shy and recognized his chivalry. He said: Carrying the dates on your head is harder than riding. She said: Abu Bakr Siddiq (may Allah be pleased with him) sent me a servant who took care of the horse for me. It was as if he had freed me.
Grade: Sahih
(١٤٧١٧) اسماء بنت ابی بکر (رض) فرماتی ہیں کہ زبیر نے مجھ سے شادی کی تو اس کے پاس زمین مال اور غلام نہ تھے سوائے گھوڑے کے۔ کہتی ہیں : میں گھوڑے کے لیے گھاس لاتی اور ان کے کام کرتی، گھوڑے کا خیال رکھتی اور اس کے لیے گھٹلیاں پیستی پانی پلاتی اور مہمانوں کا خیال رکھتی، آٹا گھوندتی لیکن میں روٹی اچھی نہ پکا سکتی تھی۔ انصاری بچیاں مجھے روٹی پکا کردیتی اور وہ سچی عورتیں تھیں۔ کہتی ہیں : میں زبیر کی زمین سے اپنے سر پر دو تہائی فرسخ کے فاصلہ سے کھجور کی گٹھلیاں لے کر آتی۔ فرماتی ہیں : میں گٹھلیاں لے کر آرہی تھیں کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کو ملی۔ آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے پاس صحابہ (رض) کی ایک جماعت تھی تو آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے مجھے بلایا اور فرمایا : میرے پیچھے سوار ہوجاؤ۔ کہتی ہیں : میں نے شرم محسوس کی اور آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کی غیرت کو پہچانا۔ آپ نے فرمایا : گٹھلیوں کو سر پر اٹھانا یہ سوار ہونے سے زیادہ مشکل ہے۔ فرماتی ہیں کہ حضرت ابوبکر صدیق (رض) نے میرے پاس ایک خادم بھیج دیا جو میرے پاس گھوڑے کی دیکھ بھال سے کفایت کرتا تھا گویا کہ اس نے مجھے آزاد کردیا۔
(14717) Asma bint Abi Bakr (RA) farmati hain ke Zubair ne mujh se shadi ki to us ke paas zameen maal aur ghulam na the siwaye ghore ke. Kehti hain : mein ghore ke liye ghaas lati aur un ke kaam karti, ghore ka khayal rakhti aur us ke liye ghatliyan peesti pani pilati aur mehmano ka khayal rakhti, aata ghondti lekin mein roti acchi na paka sakti thi. Ansaari bachiyan mujhe roti paka kar deti aur wo sachi aurtein thin. Kehti hain : mein Zubair ki zameen se apne sar par do tihai farsakh ke fasle se khajoor ki ghatliyan le kar aati. Farmati hain : mein ghatliyan le kar aa rahi thi ke Rasool Allah (SAW) ko mili. Aap (SAW) ke paas sahaba (RA) ki ek jamaat thi to aap (SAW) ne mujhe bulaya aur farmaya : mere peeche sawar ho jao. Kehti hain : mein ne sharm mehsoos ki aur aap (SAW) ki ghairat ko pehchana. Aap ne farmaya : ghatliyon ko sar par uthana ye sawar hone se zyada mushkil hai. Farmati hain ke Hazrat Abu Bakr Siddiq (RA) ne mere paas ek khadim bhej diya jo mere paas ghore ki dekh bhaal se kafiyat karta tha goya ke us ne mujhe aazaad kar diya.