Hazrat Ibn Sirin said that Prophet Muhammad (peace be upon him) made it Sunnah to inhale water into the nose three times during Ghusl (ritual bath after major impurity).
حضرت ابن سیرین فرماتے ہیں کہ نبی پاک (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے غسل جنابت میں تین مرتبہ ناک میں پانی ڈالنے کو سنت قرار دیا ہے۔
Hazrat Ibn Sireen farmate hain keh Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ghusl janabat mein teen martaba naak mein pani dalne ko sunnat qarar diya hai.
Hazrat Umar (may Allah be pleased with him) said, "When you perform ghusl (ritual bath) after sexual intercourse, then rinse your mouth three times. This is more purifying."
حضرت عمر فرماتے ہیں کہ جب تم غسل جنابت کرو تو تین مرتبہ کلی کرلو۔ یہ زیادہ صفائی کرنے والی چیز ہے۔
Hazrat Umar farmate hain ke jab tum ghusal janabat karo to teen martaba kulli karlo. Ye ziada safai karne wali cheez hai.
Hazrat Hassan bin Bilal states that the nose should be cleaned once after urinating, twice after defecating, and three times after sexual impurity.
حضرت حسان بن بلال فرماتے ہیں کہ پیشاب کرنے کے بعد ایک مرتبہ، پاخانے کے بعد دو مرتبہ اور جنابت کی وجہ سے تین مرتبہ ناک کو صاف کیا جائے گا۔
Hazrat Hassan bin Bilal farmate hain ke peshab karne ke baad ek martaba pakhane ke baad do martaba aur junabat ki waja se teen martaba naak ko saaf kiya jaye ga.
Hazrat Aisha narrates that when the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) would perform ghusl from janabah (major impurity), he would rinse his mouth thrice and inhale water into his nose thrice.
حضرت عائشہ فرماتی ہیں کہ جب نبی پاک (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) غسل جنابت فرماتے تو تین مرتبہ کلی کرتے اور تین مرتبہ ناک میں پانی ڈالتے۔
Hazrat Ayesha farmati hain ke jab Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ghusal janabat farmate to teen martaba kuli karte aur teen martaba naak mein pani daalte.