Hazrat Umm Maimunah (may Allah be pleased with her) narrated that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) performed Ghusl (ritual bath). Then he moved back from the place of Ghusl and washed both of his feet.
حضرت میمونہ فرماتی ہیں کہ نبی پاک (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے غسل فرمایا، پھر غسل کی جگہ سے پیچھے ہٹے اور اپنے دونوں پاؤں دھوئے۔
Hazrat Maimoona farmati hain keh Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ghusl farmaya, phir ghusl ki jaga se peeche hatey aur apne donon paon dhoye.
Hazrat Hamran narrates that when Hazrat Usman used to perform Ghusl e Janabat, he would come out of the bathroom and wash the lower part of his feet. Muslim bin Yasar says that I do not mind going from the bathroom to the place of prayer.
حضرت حمران فرماتے ہیں کہ حضرت عثمان جب غسل جنابت فرماتے تو غسل خانے سے باہر آ کر پاؤں کا نچلا حصہ دھویا کرتے تھے۔ مسلم بن یسار فرماتے ہیں کہ مجھے اس بات کی پروا ہ نہیں کہ میں غسل خانے سے نماز کی جگہ چلا جاؤں۔
Hazrat Hamran farmate hain ke Hazrat Usman jab ghusl janabat farmate to ghusl khane se bahar a kar paon ka nichla hissa dhoya karte the. Muslim bin Yasar farmate hain ke mujhe is baat ki parwah nahi hai ke main ghusl khane se namaz ki jaga chala jaon.
Hazrat Muslim bin Yasar states that I do not see any harm in performing Ghusl e Janabat in a clean place and then going to the place of prayer.
حضرت مسلم بن یسار فرماتے ہیں کہ میں اس بات میں کوئی حرج نہیں سمجھتا کہ غسل جنابت کسی صاف جگہ میں کروں پھر نماز کی جگہ چلا جاؤں۔
Hazrat Muslim bin Yasar farmate hain ke mein is baat mein koi harj nahin samjhta ke ghusal janabat kisi saaf jaga mein karoon phir namaz ki jaga chala jaoon.
Hazrat Ibrahim said that if Ghusl e Janabat is performed in a place where water accumulates, then it is necessary to wash the feet after finishing, and if the place was clean, then there is no harm in not washing them.
حضرت ابراہیم فرماتے ہیں کہ اگر ایسی جگہ غسل جنابت کیا جہاں پانی جمع ہوجاتا تھا تو فارغ ہو کر پاؤں دھونے ضروری ہیں اور اگر جگہ صاف تھی تو نہ دھونے میں کوئی حرج نہیں۔
Hazrat Ibrahim farmate hain keh agar aisi jaga ghusl janabat kya jahan pani jama hojata tha to farigh hokar paon dhone zaroori hain aur agar jaga saaf thi to na dhone mein koi harj nahin.
Hazrat Ibn Aun says that I asked Hazrat Hassan or Hazrat Mujahid how do you wash your feet during Ghusl e Janabat? They said like this. Then Hazrat Aun showed by doing it that he pours water on the outer part of his feet.
حضرت ابن عون فرماتے ہیں کہ میں نے حضرت حسن یا حضرت مجاہد سے پوچھا کہ آپ غسل جنابت کرتے ہوئے پاؤں کیسے دھوتے ہیں ؟ انھوں نے کہا ایسے۔ پھر حضرت عون نے کر کے دکھایا کہ وہ اپنے قدموں کے ظاہری حصہ پر پانی ڈالتے ہیں۔
Hazrat Ibn Aun farmate hain ke main ne Hazrat Hassan ya Hazrat Mujahid se poocha ke aap gusal janabat karte hue paon kaise dhote hain? Unhon ne kaha aise. Phir Hazrat Aun ne kar ke dikhaya ke wo apne qadmon ke zahiri hissa par pani dalte hain.
Hazrat Ibrahim Timi, narrating about the one who has performed Ghusl e Janabat, said that when he finishes and comes out of the bathroom, he should wash both of his feet.
حضرت ابراہیم تیمی غسل جنابت کرنے والے کے بارے میں فرماتے ہیں کہ وہ فارغ ہو کر جب غسل خانے سے باہر آئے تو دونوں پاؤں دھو لے۔
Hazrat Ibrahim Taimi ghusl janabat karne wale ke bare mein farmate hain ke woh farigh ho kar jab ghusl khane se bahar aaye to donon paon dho le.
Hazrat Saeed bin Jubair was asked about this, he said that if there is any impurity in the bathroom, then wash your feet, and if there is not, then there is no need.
حضرت سعید بن جبیر سے اس بارے میں سوال کیا گیا تو فرمایا کہ اگر غسل خانے میں کوئی ناپاکی ہو تو پاؤں دھو لے اور اگر نہ ہو تو ضرورت نہیں۔
Hazrat Saeed bin Jubair se is baare mein sawal kiya gaya to farmaya keh agar ghusl khane mein koi napaki ho to paon dho le aur agar na ho to zaroorat nahin.
Hazrat Abu Ja'far narrates that I asked Hazrat Ibn Umar about the method of Ghusl (ritual bath after major impurity) so he said, pour water over yourself and come out and wash your feet.
حضرت ابو جعفر کہتے ہیں کہ میں نے حضرت ابن عمر سے غسل جنابت کا طریقہ پوچھا تو انھوں نے فرمایا کہ اپنے اوپر پانی ڈالو اور باہر نکل کر پاؤں دھو لو۔
Hazrat Abu Jaffar kahte hain ke maine Hazrat Ibn Umar se ghusl janabat ka tareeqa poocha to unhon ne farmaya ke apne upar pani dalo aur bahar nikal kar paon dho lo.
Hazrat Abu Al-Jawza says that if the bathroom is clean, then there is no need to wash your feet, and if it is not clean, then you should wash your feet.
حضرت ابو الجوزاء فرماتے ہیں کہ اگر غسل خانہ صاف ہو تو پاؤں دھونے کی ضرورت نہیں اور اگر صاف نہ ہو تو پاؤں دھونے چاہیں۔
Hazrat Abu Aljoza farmate hain keh agar gusl khana saaf ho to paon dhone ki zaroorat nahi aur agar saaf na ho to paon dhone chahiyen.