Hazrat Ash'ath narrates from his father that Hazrat Abu Musa came out of the toilet and wiped his cap while performing ablution.
حضرت اشعث اپنے والد سے روایت کرتے ہیں کہ حضرت ابو موسیٰ بیت الخلاء سے باہر تشریف لائے اور وضو میں انھوں نے اپنی ٹوپی کا مسح فرمایا۔
Hazrat Ashas apne walid se riwayat karte hain ke Hazrat Abu Musa bait ul khala se bahar tashreef laye aur wuzu mein unhon ne apni topi ka masah farmaya.
Hazrat Nabata says that I asked Hazrat Umar about wiping over the turban. He said that if you wish, you can wipe over the turban, and if you wish, you can take it off and wipe over your head.
حضرت نباتہ کہتے ہیں کہ میں نے حضرت عمر سے پگڑی پر مسح کے بارے میں سوال کیا تو انھوں نے فرمایا کہ چاہو تو پگڑی پر مسح کرلو اور اگر چاہو تو اسے اتار کر سر کا مسح کرلو۔
Hazrat Nabata kahte hain ke maine Hazrat Umar se pagri par masah ke bare mein sawal kiya to unhon ne farmaya ke chaho to pagri par masah karlo aur agar chaho to ise utar kar sir ka masah karlo.
Hazrat Abu Muslim narrates that once I was with Hazrat Salman. They saw a man who had taken off his socks for ablution. Hazrat Salman said to him, "Wipe over your socks, your turban and your forehead, for I saw the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) wiping over his socks and turban."
حضرت ابو مسلم کہتے ہیں کہ ایک مرتبہ میں حضرت سلمان کے ساتھ تھا۔ انھوں نے ایک آدمی کو دیکھا جس نے وضو کے لیے موزے اتار دیئے۔ حضرت سلمان نے اس سے فرمایا کہ اپنے موزوں پر، اپنی پگڑی پر اور اپنی پیشانی پر مسح کرلو۔ کیونکہ میں نے نبی کریم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کو موزوں اور پگڑی پر مسح کرتے ہوئے دیکھا ہے۔
Hazrat Abu Muslim kehte hain ke ek martaba main Hazrat Salman ke sath tha. Unhon ne ek aadmi ko dekha jis ne wazu ke liye mozay utar diye. Hazrat Salman ne us se farmaya ke apne mozon par, apni pagri par aur apni peshani par masah karlo. Kyunki maine Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko mozon aur pagri par masah karte huye dekha hai.
Hazrat Mughirah bin Shubah narrates that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) applied perfume to the front part of his head and also on his turban.
حضرت مغیرہ بن شعبہ فرماتے ہیں کہ نبی کریم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے سر مبارک کے اگلے حصہ کا مسح فرمایا اور پگڑی پر بھی مسح فرمایا۔
Hazrat Mugheerah bin Shubah farmate hain ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne sar mubarak ke agle hisse ka masah farmaya aur pagri par bhi masah farmaya.