Hazrat Ishaq narrates that Hazrat Saad bin Abi Waqas came out of the toilet. He performed ablution and wiped over his socks. Someone asked him, "You came out of the toilet and you are wiping over your socks?" He said, "Yes, if you have worn socks while your feet were clean, then wipe over them and do not take them off except in the case of major impurity (janabat)."
حضرت اسحاق فرماتے ہیں کہ حضرت سعد بن ابی وقاص بیت الخلاء سے باہر تشریف لائے، آپ نے وضو کیا اور موزوں پر مسح فرمایا۔ ان سے کسی نے کہا کہ آپ بیت الخلاء سے باہر آئے ہیں اور موزوں پر مسح کرتے ہیں ؟ فرمایا ہاں اگر تم نے پاؤں پاک ہونے کی حالت میں موزے پہنے ہوں تو ان پر مسح کرو اور سوائے جنابت کے انھیں نہ اتارو۔
Hazrat Ishaq farmate hain ke Hazrat Saad bin Abi Waqqas bait ul khala se bahar tashreef laye, aap ne wuzu kiya aur mozon par masah farmaya. Un se kisi ne kaha ke aap bait ul khala se bahar aaye hain aur mozon par masah karte hain? Farmaya haan agar tum ne paaon pak hone ki halat mein moze pehne hon to un par masah karo aur siwaye janabat ke unhen na utaro.
Hazrat Hassan used to say about wiping over socks (masah) that one should wipe over them and there is no time limit for them except in the case of major impurity (janabah).
حضرت حسن موزوں پر مسح کے بارے میں فرمایا کرتے تھے کہ ان پر مسح کرو اور سوائے جنابت کے ان کے لیے کوئی وقت مقرر نہیں۔
Hazrat Hassan mozon par masah ke bare mein farmaya karte thay ke un par masah karo aur siwae junubat ke un ke liye koi waqt muqarar nahin.
Hazrat Abu Salma (may Allah be pleased with him) did not believe in any fixed duration for rubbing during ablution (Masah). He used to say, "Rub (your head with water) as long as you wish."
حضرت ابو سلمہ موزوں پر مسح کے لیے کسی مقررہ مدت کے قائل نہ تھے اور فرماتے تھے کہ جب تک چاہو مسح کرو۔
Hazrat Abu Salma mozon par masah ke liye kisi muqarrarah muddat ke qaail na thay aur farmate thay ke jab tak chaho masah karo
Hazrat Yazid bin Abi Habib narrates that Hazrat Abu Ubaidah bin Jarrah sent Hazrat Aqabah bin Amir to Hazrat Umar to convey the news of the conquest of Damascus. He left on Friday and arrived on Friday. Hazrat Umar asked him when he had left. He said, "On Friday." He also said, "I have not taken off my socks since I left." Hazrat Umar said, "You did well."
حضرت یزید بن ابی حبیب فرماتے ہیں کہ حضرت ابو عبیدہ بن جراح نے حضرت عقبہ بن عامر کو فتح دمشق کی خبر سنانے کے لیے حضرت عمر کے پاس بھیجا، وہ جمعہ کے دن روانہ ہوئے اور جمعہ کے دن ان کے پاس پہنچے۔ حضرت عمر نے ان سے پوچھا کہ تم کب روانہ ہوئے تھے ؟ انھوں نے بتایا یہ بھی بتایا کہ جب سے میں روانہ ہوا ہوں میں نے موزے نہیں اتارے۔ حضرت عمر نے فرمایا تم نے ٹھیک کیا۔
Hazrat Yazid bin Abi Habib farmate hain keh Hazrat Abu Ubaidah bin Jarrah ne Hazrat Aqba bin Aamir ko fatah Dimashq ki khabar sunane ke liye Hazrat Umar ke pass bheja, woh juma ke din rawana huye aur juma ke din un ke pass pahunche. Hazrat Umar ne un se pucha keh tum kab rawana huye thay? Unhon ne bataya yeh bhi bataya keh jab se main rawana hua hun maine moze nahi utare. Hazrat Umar ne farmaya tum ne theek kiya.