Hazrat (revered) Peacock considered it undesirable to respond during the Friday sermon or to say Yarhamuk Allah (May Allah have mercy on you) to someone who sneezes.
حضرت طاوس اس بات کو مکروہ خیال فرماتے تھے کہ دورانِ خطبہ سلام کا جواب دیا جائے یا چھینکنے والے کو یرحمک اللّٰہ کہا جائے۔
Hazrat Tawoos is baat ko makrooh khayaal farmate thay keh dauran e khutba salaam ka jawab diya jaye ya chheenkne wale ko yarhamuk Allah kaha jaye
Hazrat Ibrahim and Hazrat Ibn Sireen were asked whether one should reply to a greeting during the Friday sermon. They said, "The one who told someone to be quiet also engaged in something unnecessary."
حضرت ابراہیم اور حضرت ابن سیرین سے سوال کیا گیا کہ جمعہ کے دن دورانِ خطبہ سلام کا جواب دیا جائے گا یا نہیں ؟ انھوں نے فرمایا کہ جس نے کسی سے کہا خاموش ہوجاؤ اس نے بھی فضول کام کیا۔
Hazrat Ibrahim aur Hazrat Ibn Sireen se sawal kiya gaya keh juma ke din dauran khutba salam ka jawab diya jayega ya nahi? Unhon ne farmaya keh jis ne kisi se kaha khamosh hojao us ne bhi fuzool kaam kiya.
A man asked Hazrat Saeed bin Musayyab that if someone says Yarhamuk Allah (May Allah have mercy on you) to the one who sneezes during the Khutbah (sermon), has he invalidated his prayer? He said no, but he should not do it again.
حضرت سعید بن مسیب سے ایک آدمی نے سوال کیا کہ اگر کسی آدمی نے دوران خطبہ کسی چھینکنے والے کو یرحمک اللہ کہا تو کیا اس نے لغو کام کیا ؟ انھوں نے فرمایا کہ نہیں البتہ وہ دوبارہ ایسا نہ کرے۔
Hazrat Saeed bin Musayyab se ek aadmi ne sawal kiya keh agar kisi aadmi ne dauran khutba kisi chheenkne wale ko yarhamuk Allah kaha to kya usne laghu kaam kiya? Unhon ne farmaya keh nahin albatta woh dobara aisa na kare.
Hazrat Abu Al-Haitham said: "I greeted Hazrat Ibrahim during the Friday sermon, but he did not respond to my greeting. After finishing the prayer, he said that speaking during the sermon is disliked."
حضرت ابو الہیثم کہتے ہیں کہ میں نے جمعہ کے دن دورانِ خطبہ حضرت ابراہیم کو سلام کیا تو انھوں نے میرے سلام کا جواب نہ دیا اور نماز سے فارغ ہونے کے بعد فرمایا کہ اس موقع پر کلام مکروہ ہے۔
Hazrat Abu Al Haitham kehte hain ki maine Jumu ke din dauran e khutba Hazrat Ibrahim ko salam kiya to unhon ne mere salam ka jawab na diya aur namaz se farigh hone ke baad farmaya ki is mauqe par kalam makruh hai.