Hazrat Ibn Juraij narrates that I asked Hazrat Ata whether small kids of goat are also counted (while receiving Zakat). He said yes.
حضرت ابن جریج فرماتے ہیں کہ میں نے حضرت عطاء سے پوچھا کہ کیا بکری کے چھوٹے بچوں کو (بھی زکوۃ وصول کرتے وقت) شمار کیا جائے گا ؟ آپ نے فرمایا جی ہاں۔
Hazrat Ibn Juraij farmate hain keh maine Hazrat Ata se poocha keh kya bakri ke chhote bachchon ko (bhi zakat wasool karte waqt) shumaar kya jaye ga? Aap ne farmaya ji haan.
Hazrat Bishr bin Asim narrated from his father that Hazrat Umar assigned my father the duty of collecting Zakat in the areas of Taif. (My father) counted their goats along with their kids. People said to my father: If you are counting even this kid while collecting Zakat, then also collect the same kid in Zakat. He stopped until he met Hazrat Umar, so he narrated the whole story in front of Hazrat Umar. You said: Count the kids along with their goats, even if (it is so small that) the shepherd has to carry it in his hands, and tell them that the small suckling kid, the pregnant goat, the goat that has been fattened for slaughter and the stud (male) animal have been left for you (meaning they will not be counted at the time of taking Zakat), but the kid which has not yet completed one year and similarly, the eight-month-old kid of the goat and the goat whose two of the four front teeth have appeared will be taken. By doing this, there will be justice and equality between the best property and the small property.
حضرت بشر بن عاصم اپنے والد سے روایت کرتے ہیں کہ حضرت عمر نے میرے والد کو طائف کے علاقوں میں زکوۃ وصول کرنے کا فریضہ سونپا، (میرے والد نے) ان کی بکریوں کو چھوٹے بچوں کو ملا کر شمار کیا، لوگوں نے میرے والد سے کہا : اگر آپ زکوۃ وصول کرتے وقت اس چھوٹے بچے کو بھی شمار کر رہے ہیں تو پھر زکوۃ میں بھی اسی چھوٹے کو وصول کرلو۔ وہ رک گئے ان سے یہاں تک کہ ان کی حضرت عمر سے ملاقات ہوئی، تو انھوں نے حضرت عمر کے سامنے سارا ماجرا بیان کیا، آپ نے فرمایا : ان کی بکریوں کو شمار کرتے وقت چھوٹے بچوں کو بھی ساتھ شمار کرو اگرچہ (وہ اتنا چھوٹا ہو کہ) چرواہا اس کو اپنے ہاتھوں پہ اٹھا کر لائے، اور ان کو بتادو کہ بیشک تمہارے لیے چھوٹا دودھ پیتا بچہ، حاملہ بکری، وہ بکری جس کو ذبح کرنے کی غرض موٹا اور فربہ کیا ہو اور سانڈ (نر) جانور چھوڑ دیا گیا ہے (یعنی زکوۃ لیتے وقت ان کا شمار نہیں ہوگا) ہاں البتہ لیا جائے گا وہ بچہ جس پر ابھی سال مکمل نہ گذرا ہو اور اسی طرح بکری کا آٹھ ماہ کا بچہ اور وہ بکری جس کے سامنے والے چار دانتوں میں سے دو ظاہر ہوگئے ہوں۔ اس طرح کرنے سے بہترین مال اور چھوٹے مال کے درمیان انصاف اور مساوات ہوجائے گی۔
Hazrat Bashar bin Asim apne walid se riwayat karte hain keh Hazrat Umar ne mere walid ko Taif ke ilaqon mein zakat wasool karne ka fariza sonpa, (mere walid ne) un ki bakriyon ko chhote bachchon ko mila kar shumar kiya, logon ne mere walid se kaha : agar aap zakat wasool karte waqt is chhote bache ko bhi shumar kar rahe hain to phir zakat mein bhi isi chhote ko wasool karlo. Woh ruk gaye un se yahan tak keh un ki Hazrat Umar se mulaqat hui, to unhon ne Hazrat Umar ke samne sara majra bayan kiya, aap ne farmaya : un ki bakriyon ko shumar karte waqt chhote bachchon ko bhi saath shumar karo agarche (woh itna chhota ho keh) charwaha is ko apne hathon pe utha kar laaye, aur un ko batado keh beshak tumhare liye chhota doodh peeta bachcha, hamil bakri, woh bakri jis ko zabah karne ki garz mota aur farba kiya ho aur sand (nar) janwar chhor diya gaya hai (yani zakat lete waqt in ka shumar nahin hoga) haan albatta liya jayega woh bachcha jis par abhi saal mukammal na guzara ho aur isi tarah bakri ka aath mah ka bachcha aur woh bakri jis ke samne wale chaar daanton mein se do zahir ho gaye hon. Is tarah karne se behtarin maal aur chhote maal ke darmiyan insaf aur musawat ho jayegi.
It is narrated from Hazrat Hasan bin Muslim that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) sent Hazrat Sufyan bin Abdullah to collect Zakat, so he said to him: "Collect the animal that is between a very young animal and an old animal (that is, middle-aged).".
حضرت حسن بن مسلم سے مروی ہے کہ حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے حضرت سفیان بن عبداللہ کو زکوۃ وصول کرنے کیلئے بھیجا تو ان کو فرمایا : بہت چھوٹے جانور اور بوڑھے جانور کے درمیان (جو درمیانے عمر والا) جانور ہو اس کو وصول کرنا۔
Hazrat Hassan bin Muslim se marvi hai keh Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Hazrat Sufyan bin Abdullah ko zakat wasool karne ke liye bheja to unko farmaya: bahut chhote janwar aur budhe janwar ke darmiyan (jo darmiyana umar wala) janwar ho usko wasool karna.