79.
Asking Permission
٧٩-
كتاب الاستئذان


18
Chapter: To reply a greeting saying, "Alaikas-Salam"

١٨
باب مَنْ رَدَّ فَقَالَ عَلَيْكَ السَّلاَمُ

Sahih al-Bukhari 6252

Abu Huraira (رضي الله تعالى عنه) narrated that the Prophet (صلى الله عليه وآله وسلم) said (in the above narration # 025), ‘and then raise your head till you feel at ease while sitting.’

ہم سے ابن بشار نے بیان کیا، کہا کہ مجھ سے یحییٰ نے بیان کیا، ان سے عبیداللہ نے، ان سے سعید نے بیان کیا، ان سے ان کے والد نے اور ان سے ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ نبی کریم ﷺ نے فرمایا ”پھر سر سجدہ سے اٹھا اور اچھی طرح بیٹھ جا۔“

hum se ishaaq bin mansoor ne bayan kiya unhon ne kaha hum ko abdullah bin namir ne khabar di, un se ubaidullah ne bayan kiya, un se saeed bin abi saeed maqbri ne bayan kiya aur un se abuhurayrah (رضي الله تعالى عنه) ne bayan kiya ke ek shakhs masjid mein dakhil hua, rasoolullah sallahu alaihi wa sallam masjid ke kinare baithe hue the. us ne namaz padhi aur phir hazir ho kar nabi kareem sallahu alaihi wa sallam ko salam kiya. nabi kareem sallahu alaihi wa sallam ne farmaya wa alaikum assalam wapas ja aur dobara namaz padh, kyun ke tum ne namaz nahin padhi. wo wapas gaye aur namaz padhi. phir ( nabi kareem sallahu alaihi wa sallam ) ke pas aaye aur salam kiya aap ne farmaya wa alaikum assalam. wapas jao phir namaz padho. kyun ke tum ne namaz nahin padhi. wo wapas gaya aur us ne phir namaz padhi. phir wapas aya aur nabi kareem sallahu alaihi wa sallam ki khidmat mein salam arz kiya. aap sallahu alaihi wa sallam ne jawab mein farmaya wa alaikum assalam. wapas jao aur dobara namaz padho. kyun ke tum ne namaz nahin padhi. un sahib ne dosri martaba, ya us ke baad, arz kiya: ya rasoolullah! mujhe namaz padhni sikha dijiye. nabi kareem sallahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jab namaz ke liye khare ho karo to pahle puri tarah wazu kiya karo, phir qibla ru ho kar takbeer ( takbeer tahrima ) kaho, us ke baad quran majeed mein se jo tumhare liye aasan ho wo padho, phir rukoo karo aur jab rukoo ki halat mein barabar ho jao to sar uthao. jab sidhe khare ho jao to phir sujood mein jao, jab sujood puri tarah kar lo to sar uthao aur achi tarah se beth jao phir sujood mein jao, jab sujood puri tarah kar lo to sar uthao aur achi tarah se beth jao. yehi amal apni har rakat mein karo. aur abu osama (ravi) ne baad yun kaha ke phir utho yahaan tak ke sidhe khare ho jao.

حَدَّثَنَا ابْنُ بَشَّارٍ ، قَالَ : حَدَّثَنِي يَحْيَى ، عَنْ عُبَيْدِ اللَّهِ ، حَدَّثَنِي سَعِيدٌ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ : قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : ثُمَّ ارْفَعْ حَتَّى تَطْمَئِنَّ جَالِسًا .