Hazrat Yahya bin Saeed said: I sent a messenger to Raytah. He came to me and told me that Umrah used to say to women that when any of you bleeds, she should enter her private part and find its color changed, then she should not pray until she sees something.
حضرت یحی بن سعید کہتے ہیں کہ میں نے رائطہ کی طرف ایک قاصد بھیجا اس نے آکر مجھے بتایا کہ عمرہ عورتوں سے کہا کرتی تھیں کہ جب تم میں سے کوئی روئی اپنی شرم گاہ میں داخل کرے اور اس کا رنگ بدلا ہوا پائے تو اس وقت تک نماز نہ پڑھے جب تک اسے کوئی چیز دکھائی نہ دے۔
Hazrat Yahya bin Saeed kahte hain ki maine Raytah ki taraf ek qasid bheja usne aakar mujhe bataya ki Umra auraton se kaha karti thin ki jab tum mein se koi rui apni sharm gaah mein daakhil kare aur us ka rang badla hua paye to us waqt tak namaz na parhe jab tak use koi cheez dikhayi na de.
Hazrat Yunus bin Yazid narrates that I asked Hazrat Zuhri about the yellow and muddy water that comes after menstruation, so he said that it is menstruation, a woman should not pray until it is clean.
حضرت یونس بن یزید کہتے ہیں کہ میں نے حضرت زہری سے حیض کے بعد کے بعد آنے والے زرد اور مٹیالے پانی کے بارے میں پوچھا تو فرمانے لگے کہ وہ حیض ہی ہے عورت اس کے صاف ہونے تک نماز نہ پڑھے۔
Hazrat Younus bin Yazid kehte hain ke maine Hazrat Zuhri se haiz ke baad ke baad aane wale zard aur mittiale pani ke bare mein poocha to farmane lage ke woh haiz hi hai aurat uske saaf hone tak namaz na parhe.
Hazrat Fatimah bint Al-Mundhir said, "We were with the granddaughters of Hazrat Asma bint Abi Bakr, under her tutelage. Sometimes, one of us girls would become pure and pray, and she would notice a slight yellowish discharge. We asked Hazrat Asma about it, and she said, 'Do not stop praying until you see pure white discharge.'"
حضرت فاطمہ بنت المنذر کہتی ہیں کہ ہم حضرت اسماء بنت ابی بکر کی نواسیوں کے ساتھ ان کی تربیت میں تھیں۔ بعض اوقات ہم میں سے کوئی لڑکی پاک ہو کر نماز پڑھتی اور اسے تھوڑا سا زرد پانی محسوس ہوتا تو اس بارے میں ہم نے حضرت اسماء سے سوال کیا۔ انھوں نے فرمایا ” تم اس وقت تک نماز چھوڑ دو جب تک خالص سفیدی نہ دیکھو۔ “
Hazrat Fatima bint al-Mundhir kehti hain ke hum Hazrat Asma bint Abi Bakr ki nawasiyon ke sath un ki tarbiyat mein thin. Baaz auqat hum mein se koi ladki pak ho kar namaz parhti aur use thoda sa zard pani mehsoos hota to is bare mein hum ne Hazrat Asma se sawal kiya. Unhon ne farmaya ” Tum is waqt tak namaz chhor do jab tak khalis safeedi na dekho. “
"Hazrat Zayd bin Thabit's daughter was informed that women borrow lamps at night to check for purity. She deemed this practice objectionable, stating that there is no need for them to do so."
حضرت زید بن ثابت کی بیٹی کو یہ خبر پہنچی کہ عورتیں رات کے وقت میں طہر دیکھنے کے لیے چراغ منگواتی ہیں۔ انھوں نے اس عمل کو معیوب قرار دیا اور فرمایا کہ انھیں ایسا کرنے کی ضرورت نہیں۔
Hazrat Zaid bin Sabit ki beti ko yeh khabar pohanchi keh auratain raat ke waqt mein taher dekhne ke liye chiraag mangwati hain. Unhon ne is amal ko maayoab qarar diya aur farmaya keh unhein aisa karne ki zaroorat nahin.