Hazrat Abdur Rahman bin Yazid narrates: Once we were with Hazrat Salman. Hazrat Salman went to relieve himself. When he returned, we said, "Please perform ablution, we might ask you about some verse of the Quran." He said, "You may ask, I will not touch the Quran because only those who are pure can touch it." Then we asked him about the Quran, and he recited it to us before performing ablution.
حضرت عبد الرحمن بن یزید فرماتے ہیں کہ ایک مرتبہ ہم حضرت سلمان کے ساتھ تھے، حضرت سلمان رفع حاجت کے لیے تشریف لے گئے، جب واپس آئے تو ہم نے کہا کہ وضو کر لیجیے، شاید ہم آپ سے کسی آیت قرآنی کے بارے میں پوچھ لیں۔ فرمایا تم پوچھ لو، میں قرآن کو ہاتھ نہیں لگاؤں گا کیونکہ اسے تو صرف پاک لوگ ہاتھ لگا سکتے ہیں۔ پھر ہم نے ان سے قرآن کے بارے میں پوچھا اور انھوں نے وضو سے پہلے ہمیں اس میں سے پڑھ کر سنایا۔
Hazrat Abdul Rahman bin Yazid farmate hain keh aik martaba hum Hazrat Salman ke sath thay, Hazrat Salman rafa hajat ke liye tashreef le gaye, jab wapas aye to hum ne kaha keh wuzu kar lijiye, shayad hum aap se kisi aayat qurani ke bare mein pooch lein. Farmaya tum pooch lo, mein Quran ko hath nahin lagaonga kyunki ise to sirf pak log hath laga sakte hain. Phir hum ne un se Quran ke bare mein poocha aur unhon ne wuzu se pehle humein is mein se parh kar sunaya.
Hazrat Saeed bin Jubair narrates that Hazrat Ibn Umar and Hazrat Ibn Abbas used to recite the Holy Quran after coming out of the toilet and before performing ablution.
حضرت سعید بن جبیر فرماتے ہیں کہ حضرت ابن عمر اور حضرت ابن عباس بیت الخلاء سے نکلنے کے بعد وضو کرنے سے پہلے قرآن مجید کی تلاوت کرلیا کرتے تھے۔
Hazrat Saeed bin Jubair farmate hain ke Hazrat Ibn Umar aur Hazrat Ibn Abbas baitul khalase nikalne ke baad wazu karne se pehle Quran Majeed ki tilawat kar liya karte thay.
Hazrat Muhammad says that once Hazrat Umar started reciting the Holy Quran after relieving himself. Abu Maryam said, "O Amir al-Mu'minin, it would be better if you perform ablution." He said, "Did the Messiah give you this fatwa?!"
حضرت محمد کہتے ہیں کہ ایک مرتبہ حضرت عمر نے رفع حاجت کے بعد قرآن مجید کی تلاوت شروع کردی ابو مریم نے کہا اے امیر المومنین اگر آپ وضو کرلیں تو اچھا ہو۔ فرمایا ” کیا تجھے مسیلمہ نے یہ فتوی دیا ہے ؟ !
Hazrat Muhammad kehte hain keh ek martaba Hazrat Umar ne rafa hajat ke baad Quran Majeed ki tilawat shuru kardi Abu Maryam ne kaha aye Amir-ul-Momineen agar aap wuzu karlen to achha ho Farmaya kya tujhe Musailma ne ye fatwa diya hai
Hazrat Qatada narrates that Hazrat Umar came out of the toilet and recited a verse from the Holy Quran. Someone said to him, "You are reciting without ablution?" He replied, "If I don't recite it, then should Musaylimah?".
حضرت قتادہ فرماتے ہیں کہ حضرت عمر بیت الخلاء سے باہر تشریف لائے اور قرآن مجید کی ایک آیت تلاوت فرمائی۔ آپ سے کسی نے کہا کہ آپ بےوضو ہو کر یوں پڑھتے ہیں ؟ فرمایا میں نہیں پڑھوں گا تو کیا مسیلمہ پڑھے گا ؟ !
Hazrat Qatadah farmate hain keh Hazrat Umar bait ul khala se bahar tashreef laye aur Quran Majeed ki aik ayat tilawat farmaee. Aap se kisi ne kaha keh aap bewuzu ho kar yun parhte hain? Farmaya main nahi parhun ga to kya Musailama parhe ga?!
Hazrat Ata was asked if a person can recite the Quran after relieving himself. He said that it is better to do it in a state of purity, however, there is no harm if a person recites a verse or a portion.
حضرت عطاء سے پوچھا گیا کہ ایک آدمی رفع حاجت کر کے قرآن کی تلاوت کرسکتا ہے ؟ فرمایا پاکی میں کرنا زیادہ بہتر ہے البتہ ایک آدمی آیت یا کچھ حصہ پڑھ لے تو کوئی حرج نہیں۔
Hazrat Ata se poocha gaya keh aik aadmi rafu hajat kar ke Quran ki tilawat kar sakta hai? Farmaya paaki mein karna zyada behtar hai albatta aik aadmi ayat ya kuch hissa parh le to koi harj nahi.
Hazrat Saeed bin Jubair says that sometimes during a journey, after relieving myself, I would recite a portion of the Holy Quran before meeting my companions and performing ablution.
حضرت سعید بن جبیر فرماتے کہ بعض اوقات سفر میں رفع حاجت کے بعد ساتھیوں سے ملنے تک اور وضو کرنے سے پہلے میں قرآن مجید کا ایک حصہ پڑھ لیتا ہوں۔
Hazrat Saeed bin Jubair farmate hain keh baz auqat safar mein rafa hajat ke baad sathiyon se milne tak aur wuzu karne se pehle mein Quran Majeed ka aik hissa parh leta hun.
Hazrat Abu Mijlaz said that I was reciting from the Quran when my father came out of the toilet. I had difficulty with a verse, so he guided me.
حضرت ابو مجلز فرماتے ہیں کہ میں مصحف میں سے تلاوت کررہا تھا کہ میرے والد بیت الخلاء سے باہر تشریف لائے۔ مجھے ایک آیت کے بارے میں مشکل پیش آئی تو انھوں نے میری راہنمائی فرما دی۔
Hazrat Abu Majliz farmate hain keh mein mushaf mein se tilawat kar raha tha keh mere walid bait ul khala se bahar tashreef laye. Mujhe ek aayat ke bare mein mushkil pesh aayi to unhon ne meri rahnumai farma di.