Hazrat Abu Bakr delivered a sermon in which he said, "O Muslims! Fear Allah. I swear by Him in whose control my life is! Even when I cover my head and go to relieve myself, I feel ashamed of Allah Almighty."
حضرت ابوبکر نے خطبہ دیا جس میں ارشاد فرمایا اے مسلمانو کی جماعت اللہ سے شرم کرو۔ اس ذات کی قسم ! جس کے قبضے میں میری جان ہے کہ میں جب سر ڈھانپ کر کسی جگہ رفع حاجت کے لیے جاتا ہوں تو اس وقت بھی اللہ تعالیٰ سے شرم محسوس کرتا ہوں۔
Hazrat Abu Bakr ne khutba diya jis mein irshad farmaya aye musalmano ki jamaat Allah se sharm karo Iss zaat ki qasam Jis ke qabze mein meri jaan hai keh mein jab sar dhaamp kar kisi jagah rafa e hajat ke liye jata hun to uss waqt bhi Allah ta'ala se sharm mehsoos karta hun
Hazrat Abu Musa narrated that I take a bath in a dark room, yet when I take off my clothes, I bend down out of shame from Allah Almighty.
حضرت ابو موسیٰ فرماتے ہیں کہ میں تاریک کمرے میں غسل کرتا ہوں پھر بھی کپڑے اتار کر میں اللہ تعالیٰ سے شرم کی بنا پر کمر کو جھکا لیتا ہوں۔
Hazrat Abu Moosa farmate hain ke mein tareek kamre mein ghusl karta hun phir bhi kapray utar kar mein Allah ta'ala se sharm ki bina par kamar ko jhuka leta hun.
Hazrat Abdullah Ibn Abi Qurad (may Allah be pleased with him) narrates that I performed Hajj with the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him). You (the Prophet) went a long distance for relieving yourself.
حضرت عبدالرحمن بن ابو قراد فرماتے ہیں کہ میں نے نبی کریم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے ساتھ حج فرمایا، آپ رفع حاجت کے لیے بہت دور تشریف لے گئے۔
Hazrat Abdul Rahman bin Abu Qirad farmate hain ke maine Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath Hajj farmaya, aap rafa hajat ke liye bahut door tashreef le gaye.
Hazrat Abdullah bin Amr narrates that once my father saw me in a state where I and another man were both taking a bath. He was pouring water on me and I was pouring water on him. He called out to me loudly and said, "Can one man see the private parts of another man? By God! You are not a good successor to me."
حضرت عبداللہ بن عامر فرماتے ہیں کہ ایک مرتبہ میرے والد نے مجھے اس حال میں دیکھا کہ میں اور ایک آدمی دونوں غسل کر رہے تھے وہ مجھ پر پانی ڈال رہا تھا اور میں اس پر پانی ڈال رہا تھا۔ انھوں نے مجھے زور سے آواز دی اور فرمایا ” کیا ایک مرد دوسرے کا ستر دیکھ سکتا ہے ؟ خدا کی قسم ! تم میرے اچھے جانشین نہیں ہو۔ “
Hazrat Abdullah bin Aamir farmate hain keh aik martaba mere walid ne mujhe is haal mein dekha keh main aur aik aadmi dono gusl kar rahe the woh mujh par pani daal raha tha aur main us par pani daal raha tha unhon ne mujhe zor se aawaz di aur farmaya kya aik mard dusre ka satar dekh sakta hai Khuda ki qasam tum mere acche jaanishin nahin ho
Hazrat Salman said that I would rather die and be brought back to life, die again and be brought back to life, die again and be brought back to life than to see the private parts of another person or for another person to see my private parts.
حضرت سلمان فرماتے ہیں کہ میں مروں پھر زندہ کیا جاؤں، پھر مروں پھر زندہ کیا جاؤں، پھر مروں پھر زندہ کیا جاؤں یہ مجھے اس بات سے زیادہ پسندیدہ ہے کہ میں کسی آدمی کا ستر دیکھوں یا کوئی آدمی میرا ستر دیکھے۔
Hazrat Salman farmate hain keh mein maroon phir zinda kiya jaoon, phir maroon phir zinda kiya jaoon, phir maroon phir zinda kiya jaoon yeh mujhe is baat se ziyada pasandida hai keh mein kisi aadmi ka satar dekhoon ya koi aadmi mera satar dekhe.
Hazrat Ibn-e-Tauus narrates that my father ordered me to cover my head while entering the toilet. The narrator asked why did he order you to do so? He said, I don't know.
حضرت ابن طاؤس فرماتے ہیں کہ میرے والد نے مجھے حکم دیا کہ میں بیت الخلاء میں داخل ہوتے وقت اپنا سر ڈھانپ لوں۔ راوی نے پوچھا کہ انھوں نے آپ کو یہ حکم کیوں دیا فرمایا میں نہیں جانتا۔
Hazrat Ibn Taus farmate hain ke mere walid ne mujhe hukum diya ke mein baitul khala mein dakhil hote waqt apna sar dhanp lun. Rawi ne pucha ke unhon ne aap ko ye hukum kyun diya farmaya mein nahin janta.
Abu Sa'id Al-Khudri reported that the Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, said, "No man should look at the private parts of another man, and no woman should look at the private parts of another woman."
حضرت ابو سعید خدری سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ کوئی مرد کسی مرد کا ستر نہ دیکھے اور کوئی عورت کسی عورت کا ستر نہ دیکھے۔
Hazrat Abu Saeed Khudri se riwayat hai keh Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh koi mard kisi mard ka satar na dekhe aur koi aurat kisi aurat ka satar na dekhe.
Hazrat Mughirah bin Shubah narrates that I was with the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) on a journey, you said, "O Mughirah, take the utensil." I lifted it and walked with you. The Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) went so far ahead of me that he was no longer visible, then he relieved himself.
حضرت مغیرہ بن شعبہ فرماتے ہیں کہ میں ایک سفر میں رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے ساتھ تھا، آپ نے فرمایا کہ اے مغیرہ برتن پکڑو “ میں نے اسے اٹھایا اور آپ کے ساتھ چل پڑا۔ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) مجھ سے اتنا آگے اور چلے گئے کہ دکھائی نہ دیتے تھے، پھر آپ نے رفع حاجت فرمایا۔
Hazrat Mugheera bin Shaaba farmate hain ke mein ek safar mein Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath tha, aap ne farmaya ke ae Mugheera bartan pakdo “ mein ne ise uthaya aur aap ke sath chal pada. Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) mujh se itna aage aur chale gaye ke dikhayi na dete the, phir aap ne rafa e hajat farmaya.
Hazrat Jabir (may Allah be pleased with him) narrates that I was once on a journey with the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him). When you (the Prophet) needed to relieve yourself, you would go so far that you could not be seen.
حضرت جابر فرماتے ہیں کہ میں ایک سفر میں رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے ساتھ تھا۔ جب آپ کو رفع حاجت کی ضرورت پیش آتی تو اتنا دور تشریف لے جاتے کہ دکھائی نہ دیتے۔
Hazrat Jaber farmate hain ke mein ek safar mein Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath tha. Jab aap ko rafu hajat ki zaroorat pesh aati to itna door tashreef le jate ke dikhayi na dete.
Hazrat Ibn Umar narrates that whenever the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) needed to relieve himself, he would go so far that no one could see him, and when you were very close to the ground, what would you do with the cloth?
حضرت ابن عمر فرماتے ہیں کہ نبی کریم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کو جب رفع حاجت کی ضرورت پیش آتی تو اتنا دور جاتے کہ کسی کو دکھائی نہ دیتے اور زمین کے انتہائی قریب ہو کر آپ کپڑا اوپر کیا کرتے تھے۔
Hazrat Ibn Umar farmate hain keh Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko jab rafa e hajat ki zaroorat pesh aati to itna door jate keh kisi ko dikhaee na dete aur zameen ke intehai qareeb ho kar aap kapra upar kya karte the.