"Hazrat Ash'as narrated: I asked Ibn Sireen about the ruling of a person who is praying in a room where there is urine. He said that it is disliked (makruh). I asked Hasan about it and he said that prayer is permissible but one should not leave urine in the room."
حضرت اشعث فرماتے ہیں کہ میں نے ابن سیرین سے اس شخص کے بارے میں سوال کیا جس کے اس کمرے میں پیشاب موجود ہو جس میں نماز پڑھ رہا ہے ؟ تو انھوں نے اسے مکروہ خیال فرمایا۔ میں نے حضرت حسن سے اس بارے میں سوال کیا تو انھوں نے فرمایا کہ نماز تو جائز ہے لیکن وہ پیشاب کو کمرے میں نہ چھوڑے۔
Hazrat Ashas farmate hain keh maine Ibn Sireen se iss shakhs ke bare mein sawal kiya jiss ke iss kamre mein peshab mojood ho jis mein namaz parh raha hai? To unhon ne ise makrooh khayaal farmaya. Maine Hazrat Hassan se iss bare mein sawal kiya to unhon ne farmaya keh namaz to jaiz hai lekin woh peshab ko kamre mein na chhore.
Ibn Buraidah narrated from his father that one should not urinate in the basin which is in one's prayer room, nor in the bathroom.
حضرت ابن بریدہ اپنے والد سے روایت کرتے ہیں کہ اس طشت میں پیشاب نہ کرو جو تمہارے نماز والے کمرے میں موجود ہو اور غسل خانے میں بھی پیشاب نہ کرو۔
Hazrat Ibn Buraidah apne walid se riwayat karte hain ke is tasht mein peshab na karo jo tumhare namaz wale kamre mein mojood ho aur gusalkhane mein bhi peshab na karo
Hazrat Salman Abu Shaddad (may Allah be pleased with him) narrates that the master of Allah's Messenger (peace and blessings of Allah be upon him and his family), Abu Rafi', was sitting on his bed and ordered me to give him his urine vessel. Then he urinated in it.
حضرت سلمان ابو شداد فرماتے ہیں کہ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے مولیٰ ابو رافع اپنے بستر پر بیٹھے مجھے حکم دیتے کہ میں انھیں ان کا پیشاب دان دوں۔ پھر وہ اس میں پیشاب کرتے۔
Hazrat Salman Abu Shaddad farmate hain keh Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke maula Abu Rafi apne bistar par baithe mujhe hukum dete keh main unhen un ka peshabdaan doon. Phir woh us mein peshab karte.
Sayyid ibn Abi Burda said: I saw Abu Wa'il sitting in the place of prayer in the room, then he asked for a basin and urinated in it.
حضرت سعید ابن ابی بردہ فرماتے ہیں کہ میں نے ابو وائل کو دیکھا کہ وہ کمرے میں نماز پڑھنے کی جگہ بیٹھے تھے، پھر انھوں نے طشت منگوا کر اس میں پیشاب کیا۔
Hazrat Saeed ibn Abi Burdah farmate hain ki maine Abu Wa'il ko dekha ki woh kamre mein namaz padhne ki jaga baithe thay, phir unhon ne tasht mangwa kar us mein peshab kiya.