Hazrat Ibn Juraij said that I asked Hazrat Ataa about the ruling of Wudu in a copper vessel. He said there is no harm in it. I said people dislike it. He replied they dislike its smell.
حضرت ابن جریج فرماتے ہیں کہ میں نے حضرت عطاء سے تانبے کے برتن میں وضو کا حکم دریافت کیا تو انھوں نے فرمایا اس میں کوئی حرج نہیں، میں نے کہا لوگ تو اسے ناپسند سمجھتے ہیں۔ انھوں نے فرمایا لوگ اس کی بدبو کو برا سمجھتے ہیں۔
Hazrat Ibn Juraij farmate hain keh main ne Hazrat Ata se tambay ke bartan mein wazu ka hukm daryaft kya to unhon ne farmaya is mein koi harj nahin, main ne kaha log to usey napasand samjhte hain. Unhon ne farmaya log is ki badbu ko bura samjhte hain.
Hazrat Abdul Khayr narrates that once we were with Hazrat Ali in Fajr prayer. When he finished the prayer, he asked the slave to bring a basin of water and performed ablution. During ablution, he put his fingers in his ears and then said, "I have seen the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) performing ablution in this way."
حضرت عبد خیر فرماتے ہیں کہ ایک مرتبہ فجر کی نماز میں ہم حضرت علی کے ساتھ تھے جب انھوں نے نماز کا سلام پھیرلیا تو غلام سے پانی کا طشت منگوایا اور اس سے وضو کیا۔ دوران وضو اپنی انگلیوں کو کانوں میں داخل کیا پھر فرمایا ” میں نے رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کو یونہی وضو کرتے دیکھا ہے “
Hazrat Abdul Khair farmate hain ke aik martaba fajar ki namaz mein hum Hazrat Ali ke sath thay jab unhon ne namaz ka salam pher liya to ghulam se pani ka tasht mangwaya aur us se wuzu kiya. Doran wuzu apni ungliyon ko kaanon mein dakhil kiya phir farmaya " mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko yunhi wuzu karte dekha hai "
Hazrat Abdullah bin Zaid narrates that once the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) visited us and we kept water for you in a copper vessel, so you performed ablution with it.
حضرت عبداللہ بن زید فرماتے ہیں کہ ایک مرتبہ نبی پاک (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ہمارے ہاں تشریف لائے تو ہم نے تانبہ کے ایک برتن میں آپ کے لیے پانی رکھا تو آپ نے اس سے وضو فرمایا۔
Hazrat Abdullah bin Zaid farmate hain ke ek martaba Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) hamare han tashreef laye to hum ne tambay ke ek bartan mein aap ke liye pani rakha to aap ne us se wuzu farmaya.