Hazrat Saeed bin Jubair (R.A) narrated that three deeds belong to the era of ignorance: a non-Mahram woman spending the night with a bereaved family, mourning loudly, and slaughtering an animal (for food) at the time of a death.
حضرت سعید بن جبیر ارشاد فرماتے ہیں کہ تین کام جاہلیت والے ہیں، غیر عورت کا مصیبت والوں کے ہاں رات گزارنا، نوحہ کرنا اور مصیبت کے وقت جانور ذبح کرنا (کھانے کیلئے) ۔
Hazrat Saeed bin Jubair irshad farmate hain keh teen kaam jahiliyat wale hain, ghair aurat ka musibat walon ke haan raat guzarna, noha karna aur musibat ke waqt janwar zabah karna (khane ke liye).
Hazrat Qais narrates that Hazrat Umar bin Abdul Aziz forbade gathering at the house of the deceased and would say that on the one hand, they are grief-stricken, and on the other hand, they are burdened with fines.
حضرت قیس فرماتے ہیں کہ حضرت عمر بن عبدالعزیز میت کے گھر میں اجتماع لگانے سے منع کرتے تھے اور فرماتے تھے کہ ایک طرف تو یہ دکھ کا شکار ہیں اور دوسری طرف جرمانہ بھریں۔
Hazrat Qais farmate hain keh Hazrat Umar bin Abdul Aziz mayyat ke ghar mein ijtima lagane se mana karte thay aur farmate thay ke aik taraf to yeh dukh ke shikar hain aur dusri taraf jurmana bharein.
Hazrat Talha narrates that Hazrat Jarir went to Hazrat Umar and asked, "Do you (people) lament over the deceased?" He said, "No." Hazrat Jarir asked, "Do women gather and food is served at the deceased's place?" He said, "Yes." Hazrat Jarir said, "This is lamentation."
حضرت طلحہ فرماتے ہیں کہ حضرت جریر حضرت عمر کے پاس تشریف لائے اور فرمایا کیا تمہارے پاس (تمہارے ہاں) میت پر نوحہ کیا جاتا ہے ؟ آپ نے فرمایا نہیں، حضرت جریر نے پوچھا کیا تمہارے ہاں میت کے پاس عورتیں جمع ہوتی ہیں اور کھانا کھلایا جاتا ہے ؟ فرمایا ہاں۔ حضرت جریر نے فرمایا یہی تو نوحہ ہے۔
Hazrat Talha farmate hain keh Hazrat Jarir Hazrat Umar ke pas tashreef laye aur farmaya kya tumhare pas (tumhare han) mayyat par nowha kiya jata hai? Aap ne farmaya nahi, Hazrat Jarir ne poocha kya tumhare han mayyat ke pas aurten jama hoti hain aur khana khilaya jata hai? Farmaya han. Hazrat Jarir ne farmaya yahi to nowha hai.