Ibn Juraij reported: I asked Ata' whether a woman who has been emancipated has the option to remain married or not if her husband is also freed. He said, "No."
حضرت ابن جریج فرماتے ہیں کہ میں نے حضرت عطاء سے سوال کیا کہ آزاد ہونے والی عورت کے لیے خاوند کے آزاد ہونے کی صورت میں اختیا رہے یا نہیں ؟ انھوں نے فرمایا نہیں۔
Hazrat Ibn Juraij farmate hain ke maine Hazrat Ata se sawal kiya ke azad hone wali aurat ke liye khawind ke azad hone ki soorat mein ikhtiyar rahe ya nahin? Unhon ne farmaya nahin.
Hazrat Abu Qilaba said that a free woman has no choice in the matter if her husband is free, but she has a choice if her husband is a slave.
حضرت ابو قلابہ فرماتے ہیں کہ آزاد ہونے والی عورت کے لیے خاوند کے آزاد ہونے کی صورت میں اختیار نہیں ہے البتہ خاوند کے غلام ہونے کی صورت میں اختیار ہے۔
Hazrat Abu Qilaba farmate hain ke azad hone wali aurat ke liye khawind ke azad hone ki soorat mein ikhtiyar nahi hai albatta khawind ke ghulam hone ki soorat mein ikhtiyar hai.
Hazrat Nafi' narrates that Safiyyah bint Abi Ubayd had a slave. She arranged his marriage to one of her virgin slave girls. The slave girl did not like her husband and wished to be free. Safiyyah feared that if she freed the slave girl, she would separate from her husband. So, she first freed the male slave, and then later freed the slave girl.
حضرت نافع فرماتے ہیں کہ صفیہ بنت ابی عبید کا ایک غلام تھا۔ انھوں نے اس کی شادی اپنی ایک باکرہ باندی سے کرادی۔ وہ باندی اپنے خاوند کو پسند نہیں کرتی تھی اور آزاد ہونا چاہتی تھی۔ صفیہ بنت ابی عبید کو اندیشہ تھا کہ اگر انھوں نے باندی کو آزاد کیا تو وہ اپنے خاوند سے علیحدہ ہوجائے گی۔ پس انھوں نے پہلے غلام کو آزاد کردیا اور پھر بعد میں باندی کو آزاد کیا۔
Hazrat Nafe farmate hain ki Safiyah bint Abi Ubaid ka ek ghulam tha. Unhon ne us ki shadi apni ek bakira bandi se karadi. Woh bandi apne khawind ko pasand nahin karti thi aur azad hona chahti thi. Safiyah bint Abi Ubaid ko andesha tha ki agar unhon ne bandi ko azad kiya to woh apne khawind se alag ho jaye gi. Pas unhon ne pehle ghulam ko azad kar diya aur phir bad me bandi ko azad kiya.