Imam Shabi says that I heard Abdullah Ibn Amr saying that sitting between shade and sun is the way of Satan's sitting.
امام شعبی فرماتے ہیں کہ میں نے حضرت عبداللہ بن عمرو کو یوں فرماتے ہوئے سنا کہ سائے اور سورج کے درمیان میں بیٹھنا شیطان کے بیٹھنے کا طریقہ ہے۔
Imam Shabi farmate hain keh maine Hazrat Abdullah bin Amro ko yun farmate huye suna keh saaye aur sooraj ke darmiyaan mein baithna shetan ke baithne ka tareeqa hai.
Hazrat Qatada narrates that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) forbade a person from sitting between the shade and the sun.
حضرت قتادہ فرماتے ہیں کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے اس بات سے منع فرمایا کہ کوئی آدمی سائے اور سورج کے درمیان میں بیٹھے۔
Hazrat Qatada farmate hain keh Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is baat se mana farmaya keh koi aadmi saaye aur sooraj ke darmiyaan mein baithe.
Ziyad, the freed slave of Banu Mahzum, narrated that Abu Hurairah said: "The edge of shade is the sitting place of Satan."
حضرت زیاد جو بنو محزوم کے آزاد کردہ غلام ہیں فرماتے ہیں کہ حضرت ابوہریرہ نے ارشاد فرمایا : سائے کا کنارہ شیطان کے بیٹھنے کی جگہ ہے۔
Hazrat Ziyad jo Banu Mahzoom ke azad kardah ghulam hain farmate hain ke Hazrat Abu Hurairah ne irshad farmaya: Saaye ka kinara shetan ke baithne ki jaga hai.
Hazrat Khalid narrates that Hazrat Akrama said about the person who sits between the sun and the shade that the Prophet said: "That is the sitting place of Satan."
حضرت خالد فرماتے ہیں کہ حضرت عکرمہ نے اس شخص کے بارے میں جو سورج اور سائے کے درمیان بیٹھے ہوں ارشاد فرمایا کہ وہ تو شیطان کے بیٹھنے کی جگہ ہے۔
Hazrat Khalid farmate hain keh Hazrat Akrma ne us shaks ke bare mein jo sooraj aur saaye ke darmiyan baithe hon irshad farmaya keh woh to shetan ke baithne ki jaga hai
Hazrat Buraidah (may Allah be pleased with him) narrated that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) forbade sitting between shade and sunshine.
حضرت بریدہ فرماتے ہیں کہ نبی کریم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے سایہ اور سورج کے درمیان بیٹھنے سے منع فرمایا۔
Hazrat Buraidah farmate hain ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne saya aur sooraj ke darmiyaan bethne se mana farmaya.