Hazrat Abu Al Ahwas narrates that Hazrat Abdullah Ibn Masood said: "That house in which the Quran is not recited is like a desolate house which has no one to inhabit it."
حضرت ابو الاحوص فرماتے ہیں کہ حضرت عبداللہ بن مسعود نے ارشاد فرمایا : وہ گھر جس میں قرآن کی تلاوت نہیں کی جاتی اس ویران گھر کی مانند ہے جس کو آباد کرنے والا کوئی نہیں۔
Hazrat Abu Al Ahwas farmate hain keh Hazrat Abdullah bin Masood ne irshad farmaya: Woh ghar jis mein Quran ki tilawat nahi ki jati us veeran ghar ki manind hai jisko abad karne wala koi nahi.
Hazrat Ibad narrates that Hazrat Ibn Sireen said: "In the house where the Quran is recited, angels are present and devils leave that house. And there is abundance in that house and an abundance of goodness. And in the house where the Quran is not recited, devils are present and angels leave that house, and there is constriction for the people of that house and a lack of goodness."
حضرت عباد فرماتے ہیں کہ حضرت ابن سیرین نے ارشاد فرمایا : جس گھر میں قرآن کی تلاوت کی جاتی ہے فرشتے وہاں حاضر ہوتے ہیں اور شیاطین اس گھر سے نکل جاتے ہیں۔ اور اس کے گھر والوں میں کشادگی ہوتی اور خیر کی کثرت ہوجاتی ہے، اور جس گھر میں قرآن کی تلاوت نہیں کی جاتی، شیاطین وہاں موجود ہوتے ہیں اور فرشتے اس گھر سے نکل جاتے ہیں اور گھر والوں میں تنگی ہوتی ہے اور خیر کی قلت ہوتی ہے۔
Hazrat Abbad farmate hain keh Hazrat Ibn Sireen ne irshad farmaya: Jis ghar mein Quran ki tilawat ki jati hai farishte wahan hazir hote hain aur shayateen us ghar se nikal jate hain. Aur uske ghar walon mein kushadgi hoti hai aur khair ki kasrat ho jati hai, aur jis ghar mein Quran ki tilawat nahi ki jati, shayateen wahan mojood hote hain aur farishte us ghar se nikal jate hain aur ghar walon mein tangi hoti hai aur khair ki qillat hoti hai.
Hazrat Abu Al-Ahwas narrates that I heard Hazrat Ibn Masood saying this: Indeed, the most desolate of houses is the one that is devoid of the recitation of the Holy Quran.
حضرت ابو الاحوص فرماتے ہیں کہ میں نے حضرت ابن مسعود کو یوں ارشاد فرماتے ہوئے سنا ہے : بیشک گھروں میں سے خالی گھر تو وہ ہے جو کتاب اللہ کی تلاوت سے خالی ہو۔
Hazrat Abu Al Ahwas farmate hain keh maine Hazrat Ibn Masood ko yun irshad farmate huwe suna hai : beshak gharon mein se khali ghar to woh hai jo kitab Allah ki tilawat se khali ho.
Hazrat Lais narrates that Hazrat Ibn Sabit said: "Indeed, the houses in which the Quran is recited, they shine like stars for those in the sky." And he said, "And indeed, the house in which the Quran is not recited, then its inhabitants are put in hardship. And the devils are present there and the angels flee from that house. And indeed, the emptiest of houses is the one that is devoid of the Book of Allah."
حضرت لیث فرماتے ہیں کہ حضرت ابن سابط نے ارشاد فرمایا : بیشک وہ گھر جن میں قرآن کی تلاوت کی جاتی ہے وہ آسمان والوں کے لیے ستاروں جیسے چمکتے ہیں، اور فرمایا اور بیشک وہ گھر جس میں قرآن کی تلاوت نہیں ہوتی تو اس کے رہنے والوں پر تنگی کردی جاتی ہے۔ اور شیاطین وہاں حاضر ہوجاتے ہیں اور فرشتے اس گھر سے بھاگ جاتے ہیں۔ اور بیشک گھروں میں سے خالی گھر تو وہ ہے جو کتاب اللہ سے خالی ہو۔
Hazrat Lais farmate hain keh Hazrat Ibn Saabit ne irshad farmaya: Beshak woh ghar jin mein Quran ki tilawat ki jati hai woh aasman walon ke liye sitaron jaise chamakte hain, aur farmaya aur beshak woh ghar jis mein Quran ki tilawat nahi hoti to uske rehne walon par tangi kardi jati hai. Aur shayateen wahan hazir hojate hain aur farishte us ghar se bhaag jate hain. Aur beshak gharon mein se khali ghar to woh hai jo kitab Allah se khali ho.
Hazrat Abdullah bin Ubaid bin Umair narrates that when Hazrat Abdur Rahman bin Auf would enter his house, he would recite Ayat al-Kursi in its corners.
حضرت عبداللہ بن عبید بن عمیر فرماتے ہیں کہ حضرت عبد الرحمن بن عوف جب گھر میں داخل ہوتے اس کے کونوں میں آیت الکرسی کی تلاوت فرماتے۔
Hazrat Abdullah bin Ubaid bin Umair farmate hain ke Hazrat Abdul Rahman bin Auf jab ghar mein dakhil hote us ke kono mein Ayatul Kursi ki tilawat farmate.
Hazrat Thabit narrated that Hazrat Abu Hurairah used to say: "The house in which the Quran is recited, its inhabitants are granted abundance and blessings, and angels are present there while devils flee from it. And the house in which the Quran is not recited, its inhabitants are subjected to hardship, blessings decrease, and devils are present there."
حضرت ثابت فرماتے ہیں کہ حضرت ابوہریرہ فرمایا کرتے تھے : جس گھر میں کتاب اللہ کی تلاوت کی جاتی ہے اس گھر کے رہنے والوں پر وسعت کردی جاتی ہے ، اور خیر کی کثرت ہوتی ہے۔ اور فرشتے وہاں حاضر ہوجاتے ہیں اور شیاطین اس گھر سے نکل جاتے ہیں۔ اور وہ گھر جس میں کتاب اللہ کی تلاوت نہیں کی جاتی اس کے گھر والوں پر تنگی کردی جاتی ہے۔ اور خیر کی قلت ہوجاتی ہے۔ اور شیاطین وہاں حاضر ہوجاتے ہیں۔
Hazrat Sabit farmate hain ke Hazrat Abu Huraira farmaya karte thay: Jis ghar mein kitab Allah ki tilawat ki jati hai us ghar ke rehne walon par wusat kar di jati hai, aur khair ki kasrat hoti hai. Aur farishtay wahan hazir hojate hain aur shayateen us ghar se nikal jate hain. Aur wo ghar jis mein kitab Allah ki tilawat nahi ki jati us ke ghar walon par tangi kar di jati hai. Aur khair ki qillat hojati hai. Aur shayateen wahan hazir hojate hain.