Hazrat Saad bin Ibrahim said that when the sun begins to decline at the time of the Zuhr prayer, then offer the Salat al-Zawal. Whoever offers this prayer, it is as if he has offered the Tahajjud prayer.
حضرت سعد بن ابراہیم فرماتے ہیں کہ ظہر کی اذان کے وقت جب سورج ڈھل جائے تو زوال کی نماز پڑھو، جس شخص نے یہ نماز پڑھی اس نے گویا تہجد کی نماز پڑھی۔
Hazrat Saad bin Ibrahim farmate hain keh Zuhar ki azan ke waqt jab Suraj dhal jaye to Zawal ki namaz parho, jis shakhs ne yeh namaz parhi us ne goya Tahajjud ki namaz parhi.
Hazrat Aswad narrates that Hazrat Uqbah and I found a manuscript. We took it to Hazrat Abdullah and sat at his door. When the sun had set or was about to set, he got up and sent his slave girl to see who was at the door. She went back and said that it was Uqbah and Aswad. He said, "Let them come in." We presented ourselves before him, and he said, "Perhaps you have been sitting at the door for a long time." We said, "Yes." He said, "Why didn't you ask for permission to enter?" We submitted, "We thought that perhaps you might be asleep." He said, "Don't think of me like that! This is the time of prayer which we used to compare to the Tahajjud prayer."
حضرت اسود فرماتے ہیں کہ مجھے اور حضرت علقمہ کو ایک صحیفہ ملا، ہم اسے لے کر حضرت عبداللہ کے پاس آئے اور ان کے دروازے پر بیٹھ گئے۔ جب سورج زائل ہوگیا یا زائل ہونے کے قریب تھا تو وہ اٹھے اور اپنی باندی کو بھیجا کہ دیکھو دروازے پر کون ہے ؟ وہ واپس گئی اور اس نے بتایا کہ علقمہ اور اسود ہیں۔ انھوں نے فرمایا کہ انھیں میرے پاس آنے کی اجازت دے دو ۔ ہم حاضر ہوئے تو انھوں نے فرمایا کہ شاید تم کافی دیر سے دروازے پر بیٹھے ہو۔ ہم نے کہا جی ہاں۔ انھوں نے فرمایا تو تم نے اندر آنے کے لیے اجازت کیوں نہیں مانگی۔ ہم نے عرض کیا کہ ہمارا خیال تھا کہ کہیں آپ سو نہ رہے ہوں۔ انھوں نے فرمایا کہ تم میرے بارے میں یہ گمان نہ کرو ! یہ وہ گھڑی ہے جس وقت کی نماز کو ہم تہجد کی نماز سے تشبیہ دیتے تھے۔
Hazrat Aswad farmate hain keh mujhe aur Hazrat Alqama ko aik sahifa mila, hum use le kar Hazrat Abdullah ke pass aaye aur un ke darwaze par baith gaye. Jab Suraj zaail hogaya ya zaail hone ke qareeb tha to woh uthhe aur apni bandi ko bheja keh dekho darwaze par kon hai? Woh wapas gayi aur us ne bataya keh Alqama aur Aswad hain. Unhon ne farmaya keh unhen mere pass aane ki ijazat de do. Hum hazir huye to unhon ne farmaya keh shayad tum kaafi der se darwaze par baithe ho. Hum ne kaha ji han. Unhon ne farmaya to tum ne andar aane ke liye ijazat kyun nahi maangi. Hum ne arz kiya keh hamara khayal tha keh kahin aap so na rahe hon. Unhon ne farmaya keh tum mere baare mein yeh gumaan na karo! Yeh woh ghari hai jis waqt ki namaz ko hum Tahajjud ki namaz se tasbeeh dete the.