Hazrat Shabi says that the predecessors considered it reprehensible to skip the verse of prostration in order to avoid prostration. And they also considered it reprehensible to pass by a verse of prostration without prostrating.
حضرت شعبی فرماتے ہیں کہ اسلاف سجدہ سے بچنے کے لیے آیت سجدہ کو چھوڑنے کو مکروہ خیال فرماتے تھے۔ اور وہ اس بات کو بھی مکروہ خیال فرماتے تھے کہ کسی آیت سجدہ کو پڑھ کر بغیر سجدہ کئے گذر جائیں۔
Hazrat Shabi farmate hain ke Aslaf Sajda se bachne ke liye Aayat Sajda ko chhorne ko Makruh khayal farmate thy. Aur wo is baat ko bhi Makruh khayal farmate thy ke kisi Aayat Sajda ko parh kar baghair Sajda kiye guzar jayen.
Hazrat Saeed ibn Musayyib said that three evils have arisen among the people: Leaving the verse of prostration in order to avoid prostration, raising the hands in prayer. Rawi Hathim says that I forgot the third thing.
حضرت سعید بن مسیب فرماتے ہیں کہ لوگوں میں تین بدعتیں پیدا ہوگئی ہیں : سجدہ سے بچنے کے لیے آیت سجدہ کو چھوڑنا، دعا میں ہاتھ کو اٹھانا۔ راوی ہثیم کہتے ہیں کہ تیسری بات میں بھول گیا۔
Hazrat Saeed bin Musayyab farmate hain keh logon mein teen bidaten paida hogai hain : Sajda se bachne ke liye ayat Sajda ko chhorna, Dua mein hath ko uthana. Ravi Hathim kehte hain keh teesri baat mein bhul gaya.
Hazrat Abdul Aziz bin Qareer narrates: I asked Hazrat Ibn Sireen about skipping the verse of prostration to avoid prostrating, he considered it a repugnant idea, frowned, and said, "I do not know what kind of an act this is?!".
حضرت عبد العزیز بن قریر کہتے ہیں کہ میں نے حضرت ابن سیرین سے سجدہ سے بچنے کے لیے آیت سجدہ کو چھوڑنے کے بارے میں دریافت کیا تو انھوں نے اسے مکروہ خیال کیا اور اپنے چہرے پر تیوری چڑھائی اور فرمایا کہ میں نہیں جانتا کہ یہ کیا حرکت ہے ؟ !
Hazrat Abdul Aziz bin Qureer kehte hain ki maine Hazrat Ibn Sireen se sajdah se bachne ke liye ayat sajda ko chhorne ke bare mein دریافت kia to unhon ne ise makrooh khial kia aur apne chehre par tevri chadhayi aur farmaya ki main nahin janta ki yeh kia harkat hai ?!