Hazrat Mujahid states that when Hazrat Ibn Umar used to enter a room and see the Holy Quran or something similar to it facing the direction of the Qibla, he would remove it from there. If the Holy Quran was on his right or left side, he would leave it there.
حضرت مجاہد فرماتے ہیں کہ حضرت ابن عمر جب کمرے میں داخل ہوتے اور قبلہ کی جانب قرآن مجید یا اس جیسی کوئی چیز دیکھتے تو اسے وہاں سے ہٹا دیتے۔ اگر ان کے دائیں یا بائیں جانب قرآن مجید ہوتا تو اسے رکھا رہنے دیتے۔
Hazrat Mujahid farmate hain ke Hazrat Ibn Umar jab kamre mein dakhil hote aur qibla ki janib Quran Majeed ya is jaisi koi cheez dekhte to use wahan se hata dete. Agar un ke dayen ya bayen janib Quran Majeed hota to use rakha rahne dete.
Prophet Abraham considered it undesirable for a person to pray in a way that they place the Holy Quran or anything like it in front of them, facing the Kaaba.
حضرت ابراہیم اس بات کو مکروہ خیال فرماتے تھے کہ آدمی اس طرح نماز پڑھے کہ قبلہ کی جانب قرآن مجید یا کوئی ایسی چیز رکھی ہے۔
Hazrat Ibrahim is baat ko makrooh khayal farmate thay ke aadmi is tarah namaz parhe ke qibla ki jaanib Quran Majeed ya koi aisi cheez rakhi hai
Hazrat Sha'bah said that I asked Hazrat Hukm and Hazrat Hammad that if a person offers prayer with the Holy Quran placed in the direction of Qibla, what is the ruling on this? They said that it is Makruh (disliked).
حضرت شعبہ کہتے ہیں کہ میں نے حضرت حکم اور حضرت حماد سے سوال کیا کہ اگر کوئی شخص اس طرح نماز پڑھے کہ قبلہ کی طرف قرآن مجید رکھا ہو یہ کیسا ہے ؟ انھوں نے فرمایا کہ یہ مکروہ ہے۔
Hazrat Shubah kehte hain ke maine Hazrat Hukm aur Hazrat Hammad se sawal kiya ke agar koi shakhs is tarah namaz parhe ke qibla ki taraf Quran Majeed rakha ho ye kaisa hai? Unhon ne farmaya ke ye makruh hai.
The respected Mujahid states that the predecessors considered it undesirable to have anything between the worshipper and the Kaaba, to the extent that they even considered it disliked to keep the Holy Quran.
حضرت مجاہد فرماتے ہیں کہ اسلاف اس بات کو مکروہ قرار دیتے تھے کہ نمازیوں اور قبلے کے درمیان کوئی چیز ہو حتیٰ کہ قرآن مجید کے رکھنے کو بھی مکروہ فرماتے تھے۔
Hazrat Mujahid farmate hain ke aslaf is baat ko makruh qarar dete thay ke namaziyon aur qibla ke darmiyan koi cheez ho hatta ke Quran Majeed ke rakhne ko bhi makruh farmate thay.