Hazrat Ibn Juraij narrates that Hazrat Ata was asked about those people whose ship breaks and the time of prayer comes upon them while they are in the water. He replied that they will pray with gestures. If they come out naked, they will pray sitting down.
حضرت ابن جریج فرماتے ہیں کہ حضرت عطاء سے ان لوگوں کے بارے میں سوال کیا گیا جن کی کشتی ٹوٹ جائے اور پانی میں انھیں نماز کا وقت ہوجائے۔ انھوں نے فرمایا کہ وہ اشارے سے نماز پڑھیں گے۔ اگر وہ ننگے نکل آئیں تو بیٹھ کر نماز پڑھیں گے۔
Hazrat Ibn Juraij farmate hain keh Hazrat Ata se un logon ke bare mein sawal kya gaya jin ki kashti toot jaye aur pani mein unhen namaz ka waqt ho jaye. Unhon ne farmaya keh woh ishare se namaz parhenge. Agar woh nange nikal aayen to baith kar namaz parhenge.
Hazrat Mujahid says that he asked Hazrat Umar bin Abdul Aziz about those people whose ship breaks and they come out, and the time for prayer comes (and they have no clothes on their bodies), then what will they do? He said, "Their Imam will be on their left side. They will all form a row. Each person will cover his private parts with his left hand, but will not touch the private parts."
حضرت مجاہد کہتے ہیں کہ انھوں نے حضرت عمر بن عبد العزیز سے ان لوگوں کے بارے میں سوال کیا جن کی کشتی ٹوٹ جائے اور وہ باہر نکلیں تو نماز کا وقت ہوجائے (اور ان کے بدن پر کپڑے نہ ہوں ) تو وہ کیا کریں گے ؟ فرمایا ان کا امام ان کے بائیں طرف ہوگا۔ وہ سب ایک صف بنائیں گے۔ ہر آدمی اپنے بائیں ہاتھ سے اپنی شرم گاہ کا ستر کرے گا لیکن شرم گاہ کو چھوئے گا نہیں۔
Hazrat Mujahid kehte hain ki unhon ne Hazrat Umar bin Abdul Aziz se un logon ke bare mein sawal kya jin ki kashti toot jaye aur wo bahar niklein to namaz ka waqt ho jaye (aur un ke badan par kapre na hon) to wo kya karenge? Farmaya un ka imam un ke bayein taraf hoga. Wo sab ek saf banayenge. Har aadmi apne bayein hath se apni sharmgah ka satar karega lekin sharmgah ko chhuyega nahin.
Hazrat Hasan (may peace be upon him) said about those people whose ship breaks and they come out of it naked, that they will sit and offer prayer, their Imam will be among them and they will keep their eyes downcast while prostrating.
حضرت حسن ان لوگوں کے بارے میں جن کی کشتی ٹوٹ جائے اور وہ اس میں سے ننگے نکلیں فرماتے ہیں کہ وہ بیٹھ کر نماز پڑھیں گے، ان کا امام ان کے درمیان ہوگا اور وہ سجدہ کرتے ہوئے اپنی نگاہوں کو جھکا کر رکھیں گے۔
Hazrat Hasan un logon ke bare mein jin ki kashti toot jaye aur wo is mein se nange niklein farmate hain ki wo baith kar namaz parhein ge, un ka imam un ke darmiyan hoga aur wo sajda karte hue apni nigaahon ko jhuka kar rakhein ge.