It is narrated on the authority of Hazrat Hukm that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) sent a Zakat collector to collect Zakat. He came to Hazrat Abbas and asked him for Zakat. Hazrat Abbas said to him, "I have already paid two years' Zakat on my wealth." The Zakat collector came to you (peace and blessings of Allah be upon him) and told you this. You (peace and blessings of Allah be upon him) said: "My uncle has spoken the truth."
حضرت حکم سے مروی ہے کہ حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے زکوۃ وصول کرنے والے کو زکوۃ وصول کرنے کیلئے بھیجا۔ وہ حضرت عباس کے پاس آیا اور ان سے زکوۃ طلب کی۔ حضرت عباس نے ان سے فرمایا کہ میں تو اپنے مال کی دو سال کی زکوۃ پہلے ہی ادا کرچکا ہوں۔ وہ زکوۃ وصول کرنے والا آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے پاس آیا اور آپ کو یہ بات بتائی۔ آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا : ” میرے چچا نے سچ کہا ہے “۔
Hazrat Hukm se marvi hai keh Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne zakat wusul karne wale ko zakat wusul karne ke liye bheja. Woh Hazrat Abbas ke pass aaya aur unse zakat talab ki. Hazrat Abbas ne unse farmaya keh main to apne maal ki do saal ki zakat pehle hi ada kar chuka hun. Woh zakat wusul karne wala aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke pass aaya aur aap ko yeh baat batai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya: "Mere chacha ne sach kaha hai".
Hazrat Hafs bin Sulaiman narrates that I asked Hazrat Hassan that a person has taken out the zakat of three years together (so is it okay)? You said: It is enough for him (it is permissible to do so).
حضرت حفص بن سلیمان فرماتے ہیں کہ میں نے حضرت حسن سے پوچھا کہ ایک شخص نے تین سالوں کی زکوۃ اکٹھی ایک ساتھ نکال دی ہے (تو کیا ٹھیک ہے) ؟ آپ نے فرمایا : اس کیلئے یہ کافی ہے (اس طرح کرنا جائز ہے)
Hazrat Hafs bin Sulaman farmate hain keh maine Hazrat Hassan se poocha keh aik shakhs ne teen saloon ki zakat ikatthi aik sath nikal di hai (to kya theek hai)? Aap ne farmaya: Is ke liye yeh kaafi hai (is tarah karna jaiz hai)
Hazrat Umar bin Younis states that Hazrat Zahri did not see any harm if a person pays Zakat before the completion of a year.
حضرت عمر بن یونس فرماتے ہیں کہ کوئی شخص سال مکمل ہونے سے پہلے ہی زکوۃ ادا کر دے تو حضرت زہری اس میں کوئی حرج نہیں سمجھتے تھے۔
Hazrat Umar bin Younas farmate hain ke koi shakhs saal mukammal hone se pehle hi zakat ada kar de to Hazrat Zahri is mein koi harj nahin samajhte thay.