Umar bin Khattab (رضي الله تعالى عنه) narrated that he heard Hisham bin Hakim bin Hizam ( رضئہللا تعالی عنہ) reciting Sura al-Furqan during the lifetime of Allah's Apostle (صلى الله عليه وآله وسلم), and I listened to his recitation and noticed that he recited it in several ways which Allah's Apostle (صلى الله عليه وآله وسلم) had not taught me. So I was on the point of attacking him in the prayer, but I waited till he finished his prayer, and then I seized him by the collar and said, ‘who taught you this Surah which I have heard you reciting?’ He replied, Allah's Apostle (صلى الله عليه وآله وسلم) taught it to me.’ I said, ‘you are telling a lie; by Allah! Allah's Apostle (صلى الله عليه وآله وسلم) taught me (in a different way) this very Surah which I have heard you reciting.’ So I took him, leading him to Allah's Apostle (صلى الله عليه وآله وسلم) and said, ‘O Allah's Apostle ( صلى ہللا عليه و آلهوسلم), I heard this person reciting Surat-al-Furqan in a way that you did not teach me, and you have taught me Surah al-Furqan.’ The Prophet (صلى الله عليه وآله وسلم)said, ‘O Hisham, recite. So, he recited in the same way as I heard him recite it before. On that Allah's Apostle ( صلى ہللا عليه وآله وسلم) said, ‘it was revealed to be recited in this way.’ Then Allah's Apostle ( صلى ہللا عليه و آلهوسلم) said, ‘recite, O Umar, so I recited it as he had taught me. Allah's Apostle ( صلى ہللا عليه و آلهوسلم) then said, ‘it was revealed to be recited in this way.’ Allah’s Apostle (صلى الله عليه وآله وسلم) added, ‘the Qur'an has been revealed to be recited in several different ways, so recite it by that which is easier for you.’
ہم سے ابوالیمان نے بیان کیا، انہوں نے کہا ہم کو شعیب نے خبر دی، ان سے زہری نے بیان کیا، کہا کہ مجھ کو عروہ بن زبیر نے مسعود بن مخرمہ اور عبدالرحمٰن بن عبدالقاری سے خبر دی کہ ان دونوں نے عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ سے سنا، انہوں نے کہا کہ میں نے ہشام بن حکیم بن حزام رضی اللہ عنہ کو رسول اللہ ﷺ کی زندگی میں سورۃ الفرقان پڑھتے سنا۔ میں ان کی قرآت کو غور سے سننے لگا تو معلوم ہوا کہ وہ ایسے بہت سے طریقوں میں تلاوت کر رہے تھے جنہیں رسول اللہ ﷺ نے ہمیں نہیں سکھایا تھا۔ ممکن تھا کہ میں نماز ہی میں ان کا سر پکڑ لیتا لیکن میں نے انتظار کیا اور جب انہوں نے سلام پھیرا تو میں نے ان کے گلے میں چادر لپیٹ دی اور پوچھا یہ سورتیں جنہیں ابھی ابھی تمہیں پڑھتے ہوئے میں نے سنا ہے تمہیں کس نے سکھائی ہیں؟ انہوں نے کہا کہ مجھے اس طرح ان سورتوں کو رسول اللہ ﷺ نے سکھایا ہے۔ میں نے کہا کہ تم جھوٹ بول رہے ہو۔ خود نبی کریم ﷺ نے مجھے بھی یہ سورتیں پڑھائی ہیں جو میں نے تم سے سنیں۔ میں انہیں کھینچتے ہوئے آپ ﷺ کی خدمت میں حاضر ہوا اور عرض کیا: یا رسول اللہ! میں نے خود سنا کہ یہ شخص سورۃ الفرقان ایسی قرآت سے پڑھ رہا تھا۔ جس کی تعلیم آپ نے ہمیں نہیں دی ہے آپ مجھے بھی سورۃ الفرقان پڑھا چکے ہیں۔ نبی کریم ﷺ نے فرمایا کہ ہشام! پڑھ کر سناؤ۔ انہوں نے اسی طرح اس کی قرآت کی جس طرح میں ان سے سن چکا تھا۔ آپ ﷺ نے فرمایا کہ اسی طرح یہ سورت نازل ہوئی ہے۔ پھر آپ ﷺ نے فرمایا کہ عمر! اب تم پڑھو۔ میں نے بھی اسی طرح قرآت کی جس طرح نبی کریم ﷺ نے مجھے سکھایا تھا۔ آپ ﷺ نے فرمایا کہ اسی طرح یہ سورت نازل ہوئی تھی۔ پھر آپ ﷺ نے فرمایا کہ قرآن مجید سات قسم کی قراتوں پر نازل ہوا ہے بس تمہارے لیے جو آسان ہو اس کے مطابق پڑھو۔
Hum se Abul Yaman ne byan kiya, unho ne kaha hum ko Shaib ne khabar di, un se Zehri ne byan kiya, kaha ke mujh ko Aroha bin Zubair ne Masood bin Mukhrama aur Abdul Rahman bin Abdul Qari se khabar di ke un dono ne Umar bin Khattab (RA) se suna, unho ne kaha ke main ne Hisham bin Hakim bin Hazam (RA) ko Rasoolullah (SAW) ki zindagi mein Surah Al-Furqan parhtay suna. Main un ki qiraat ko ghor se sunne laga to maloom hua ke woh aise bohot se tareeqon mein tilawat kar rahe thay jinhe Rasoolullah (SAW) ne hamein nahi sikhaaya tha. Mumkin tha ke main namaaz hi mein un ka sir pakar leita lekin main ne intezar kiya aur jab unho ne salaam phera to main ne un ke galay mein chadar lapet di aur poocha ye sooraten jinhein abhi abhi tumhein parhtay hue main ne suna hain tumhein kis ne sikhayi hain? Unho ne kaha ke mujhe is tarah un sooraton ko Rasoolullah (SAW) ne sikhaya hai. Main ne kaha ke tum jhoot bol rahe ho. Khud Nabi Kareem (SAW) ne mujhe bhi ye sooraten parhai hain jo main ne tum se suni hain. Main unhein kheenchte hue aap (SAW) ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya: Ya Rasoolullah! Main ne khud suna ke yeh shakhs Surah Al-Furqan aisi qiraat se parh raha tha jis ki taleem aap ne hamein nahi di hai aap mujhe bhi Surah Al-Furqan parha chuke hain. Nabi Kareem (SAW) ne farmaya ke Hisham! Parh kar sunao. Unho ne usi tarah us ki qiraat ki jis tarah main un se sun chuka tha. Aap (SAW) ne farmaya ke usi tarah yeh surat nazil hui hai. Phir aap (SAW) ne farmaya ke Umar! Ab tum parho. Main ne bhi usi tarah qiraat ki jis tarah Nabi Kareem (SAW) ne mujhe sikhai thi. Aap (SAW) ne farmaya ke usi tarah yeh surat nazil hui thi. Phir aap (SAW) ne farmaya ke Quran Majeed saat qisam ki qiraaton par nazil hua hai bas tumhare liye jo aasan ho us ke mutabiq parho.