'Amr bin Yahya al-Mazini reported from his father, may Allah be pleased with him, that he said to 'Abdullah bin Zaid bin 'Asim, may Allah be pleased with him, who was a Companion of the Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, and the grandfather of 'Amr bin Yahya, "Will you show me how the Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, performed ablution?" So 'Abdullah bin Zaid, may Allah be pleased with him, said, "Yes." He called for water and poured it over his hands and washed them twice, then he rinsed his mouth and sniffed water into his nose three times, then he washed his face three times, then he washed his arms up to the elbows twice, then he wiped over his head. He drew his hands forward from the front to the back and back to the front. He began wiping from the front of his head, then he brought his hands to the nape of his neck, then he returned them to the place where he had started. Then he washed his feet. Imam Malik, may Allah have mercy on him, said, “This is the complete wiping and it is what I prefer."
Grade: Sahih
حضرت عمرو بن یحیٰی مازنی اپنے والد محترم سے روایت کرتے ہیں کہ انہوں نے سیدنا عبداللہ بن زید بن عاصم رضی اللہ عنہ سے کہا، اور وہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے صحابی اور عمرو بن یحیٰی کے دادا ہیں، کیا آپ مجھے دکھا سکتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کیسے وضو کیا کرتے تھے؟ تو سیدنا عبداللہ بن زید رضی اللہ عنہ نے فرمایا کہ ہاں (دکھا سکتا ہوں)، لہذا انہوں نے (وضو کے لیے) پانی منگوایا، تو اپنے ہاتھوں پر پانی بہایا اور اپنے ہاتھ دو مرتبہ دھوئے، پھر تین بار کُلّی کی اور ناک جھاڑی، پھر اپنے چہرے کو تین بار دھویا، پھر اپنے بازو دو دو بار کہنیوں سمیت دھوئے، پھر اپنے سر کا مسح کیا تو اپنے دونوں ہاتھ آگے سے پیچھے اور پیچھے سے آگے لے کر آئے اور مسح کی ابتدا پیشانی سے کی، پھر اُنہیں اپنی گدی تک لے گئے، پھر اُنہیں اس جگہ لوٹایا جہاں سے شروع کیا تھا، پھر اپنے دونوں پاؤں دھوئے۔ امام مالک رحمہ اللہ فرماتے ہیں کہ یہ مکمّل مسح ہے اور مجھے زیادہ پسند ہے۔
Hazrat Amr bin Yahya Mazni apne walid mohtaram se riwayat karte hain ke unhon ne Sayyiduna Abdullah bin Zaid bin Asim Radi Allahu Anhu se kaha, aur wo Rasul Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ke Sahabi aur Amr bin Yahya ke dada hain, kya aap mujhe dikha sakte hain ke Rasul Allah SallAllahu Alaihi Wasallam kaise wazu kiya karte the? To Sayyiduna Abdullah bin Zaid Radi Allahu Anhu ne farmaya ke haan (dikha sakta hun), lihaza unhon ne (wuzu ke liye) pani mangwaya, to apne hathon par pani bahaya aur apne hath do martaba dhoye, phir teen bar kulli ki aur nak jhadi, phir apne chehre ko teen bar dhoya, phir apne bazu do do bar kohniyon samet dhoye, phir apne sar ka masah kiya to apne donon hath aage se peeche aur peeche se aage lekar aaye aur masah ki ibtida peshani se ki, phir unhen apni gaddi tak le gaye, phir unhen us jagah lautauya jahan se shuru kiya tha, phir apne donon paaon dhoye. Imam Malik Rahmatullah Alaih farmate hain ke yeh mukammal masah hai aur mujhe zyada pasand hai.