It is narrated from Hazrat Thamak (R.A) that he said: We were sitting in a gathering of the Ansar when a drink was brought to one of them. When he wanted to drink it, he blew into it. Upon this some other companions said, "Leave it, for the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) forbade it."
حضرت سماک سے روایت ہے، وہ کہتے ہیں ہم انصار کی ایک مجلس میں بیٹھے ہوئے تھے کہ ان میں سے کسی کے پاس کوئی مشروب لایا گیا۔ جب اس نے اس مشروب کو پینا چاہا تو اس میں پھونک ماری۔ اس پر کچھ دیگر حضرات نے کہا۔ چھوڑ دو کیونکہ جناب رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) اس سے منع کیا کرتے تھے۔
Hazrat Samak se riwayat hai, woh kehte hain hum Ansar ki aik majlis mein baithe hue the ke un mein se kisi ke paas koi mashroob laya gaya. Jab usne us mashroob ko peena chaha to us mein phoonk maari. Iss par kuchh deegar hazraat ne kaha. Chhod do kyunki janaab Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) iss se mana kiya karte the.
It is narrated on the authority of Abu al-Muthanna al-Jahni. He said: I was with Marwan b. al-Hakam when Abu Sa'id came to see him. Marwan asked him: Did you hear Allah's Messenger (peace be upon him) prohibiting blowing in a vessel? He said: Yes. The narrator said: Upon this a person said: I do not feel satiated in one breath. Abu Sa'id said: You should remove the vessel from your mouth (when you breathe) and then breathe. He (that person) said: What should I do if I happen to see some dirt (in the water)? He said: You should throw that water away.
حضرت ابو المثنی جہنی سے روایت ہے۔ وہ کہتے ہیں کہ میں حضرت مروان بن الحکم کے ہاں موجود تھا کہ حضرت ابوسعید تشریف لائے ۔ مروان نے آپ سے پوچھا۔ آپ نے جناب رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کو پینے کی چیز میں پھونک مارنے سے منع کرتے سُنا ہے ؟ انھوں نے جواب دیا۔ ہاں۔ راوی کہتے ہیں : اس پر ایک آدمی بولا۔ میں تو ایک سانس میں بالکل سیراب نہیں ہوتا۔ حضرت ابو سعید نے فرمایا : تم برتن کو اپنے منہ سے جُدا کرلو پھر سانس لے لو۔ اس آدمی نے کہا۔ پس اگر میں (پانی میں) گندگی دیکھوں ؟ آپ نے فرمایا : تو تم اس پانی کو بہا دو ۔
Hazrat Abu Al Muthana Jahni se riwayat hai. Wo kehte hain ke main Hazrat Marwan bin Al Hakam ke han mojood tha ke Hazrat Abu Saeed tashreef laaye. Marwan ne aapse poocha. Aap ne Janab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko peene ki cheez mein phoonk marne se mana karte suna hai? Unhon ne jawab diya. Haan. Rawi kehte hain: Is par ek aadmi bola. Main to ek saans mein bilkul serab nahi hota. Hazrat Abu Saeed ne farmaya: Tum bartan ko apne munh se juda karlo phir saans le lo. Is aadmi ne kaha. Pas agar main (pani mein) gandagi dekhon? Aap ne farmaya: To tum is pani ko baha do.
It is narrated from Hazrat Zuhri. He said that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) forbade blowing on food or drink. The narrator says that I have not seen anyone more strict in this matter than Hazrat Umar bin Abdul Aziz.
حضرت زہری سے روایت ہے۔ وہ کہتے ہیں کہ جناب رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے کھانے ، پینے کی چیز میں پھونک مارنے سے منع فرمایا ۔ راوی کہتے ہیں میں نے اس معاملہ میں حضرت عمر بن عبد العزیز سے زیادہ کسی کو شدید نہیں دیکھا۔
Hazrat Zahri se riwayat hai. Wo kehte hain ke janab rasool Allah (sallallahu alaihi wasallam) ne khane, peene ki cheez mein phoonk marne se mana farmaya. Rawi kehte hain mein ne is mamle mein Hazrat Umar bin Abdul Aziz se ziada kisi ko shadid nahin dekha.
It is narrated from Hazrat Ibn Abbas that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) forbade breathing in a vessel and blowing into it.
حضرت ابن عباس سے روایت ہے کہ جناب نبی کریم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے برتن میں سانس لینے سے اور اس میں پھونک مارنے سے منع فرمایا۔
Hazrat Ibn Abbas se riwayat hai keh janab nabi kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bartann mein saans lenay se aur uss mein phoonk marne se mana farmaya.
It is narrated on the authority of the mawla (freed slave woman) of Thawban. She said: I brought a drink to Thawban, and I blew into it. Upon this, Thawban refused to drink that drink.
حضرت ثوبان کی مولاۃ سے روایت ہے۔ وہ کہتی ہیں۔ میں حضرت ثوبان کے پاس ایک مشروب لے کر آئی تو میں نے اس میں پھونک مار دی۔ اس پر حضرت ثوبان نے (وہ) مشروب پینے سے انکار فرما دیا۔
Hazrat Sowban ki mola se riwayat hai. Woh kehteen hain. Main Hazrat Sowban ke pass ek mashroob lekar aai to maine uss mein phoonk maar di. Iss par Hazrat Sowban ne woh mashroob peene se inkaar farma diya.
It is narrated from Hazrat Qasim bin Muslim, the freed slave of Hazrat Hasan bin Ali. He says that Hazrat Ali asked for water. So I brought water to him and I blew in that water. Upon this, he refused to drink it. And said, "You drink it."
حضرت حسن بن علی کے مولی حضرت قاسم بن مسلم سے روایت ہے۔ وہ کہتے ہیں کہ حضرت علی کے پانی طلب کیا۔ پس میں ان کے پاس پانی لے کر آیا اور میں نے اس پانی میں پھونک مار دی اس پر انھوں نے وہ پینے سے انکار کردیا۔ اور فرمایا : اس کو تم پی لو۔
Hazrat Hassan bin Ali ke molay Hazrat Qasim bin Muslim se riwayat hai. Wo kehte hain ke Hazrat Ali ne pani talab kiya. Pas main un ke pas pani le kar aaya aur main ne us pani main phoonk maar di us par unhon ne wo pine se inkaar kar diya. Aur farmaya : Is ko tum pi lo.
Hazrat Abdullah bin Qatadah narrated from his father that Prophet Muhammad (peace and blessings of Allah be upon him) forbade blowing in utensils.
حضرت عبداللہ بن قتادہ، اپنے والد سے روایت کرتے ہیں کہ جناب نبی کریم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے برتن میں پھونکنے سے منع فرمایا ہے۔
Hazrat Abdullah bin Qatadah apne walid se riwayat karte hain ke janaab Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ne bartan mein phoonkne se mana farmaya hai