Hazrat Aswad and Hazrat Alqama narrate that we went to Hazrat Abdullah's house. He asked, "Did the people who are behind you not pray?" We said, "No." He said, "Get up and pray." Hazrat Abdullah did not order for the Adhan and Iqamah.
حضرت اسود اور حضرت علقمہ فرماتے ہیں کہ ہم حضرت عبداللہ کے پاس ان کے گھر میں حاضر ہوئے۔ انھوں نے فرمایا کہ جو لوگ تمہارے پیچھے ہیں کیا نہوں نے نماز پڑھ لی ؟ ہم نے کہا نہیں۔ انھوں نے فرمایا اٹھو اور نماز پڑھو۔ حضرت عبداللہ نے اذان اور اقامت کا حکم نہ دیا۔
Hazrat Aswad aur Hazrat Alqama farmate hain keh hum Hazrat Abdullah ke paas un ke ghar mein hazir huwe. Unhon ne farmaya keh jo log tumhare peeche hain kya nahon ne namaz parh li? Hum ne kaha nahin. Unhon ne farmaya utho aur namaz parho. Hazrat Abdullah ne azan aur iqamat ka hukum na diya.
"Hazrat Aun bin Abdullah narrates that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) was on a journey. When you heard the call to prayer (Adhan), you led your companions in prayer."
حضرت عون بن عبداللہ فرماتے ہیں کہ نبی کریم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ایک سفر میں تھے، آپ نے مؤذن کی اقامت سنی تو اپنے ساتھیوں کو نماز پڑھا دی۔
Hazrat Aun bin Abdullah farmate hain keh Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) aik safar mein thay, aap ne moazzin ki iqamat suni to apne saathiyon ko namaz parha di.
"Hazrat Abdul Rahman bin Aswad narrates that his father, due to some excuse, would pray at home and would only lead the people in prayer when they stayed overnight."
حضرت عبدالرحمن بن اسود فرماتے ہیں کہ ان کے والد کسی عذر کی وجہ سے گھر میں نماز پڑھتے تو لوگوں کی اقامت پر اکتفاء فرماتے تھے۔
Hazrat Abdul Rahman bin Aswad farmate hain keh un ke walid kisi uzr ki waja se ghar mein namaz parhte to logon ki iqamat per iktifa farmate thay.
Mundhir bin Tha'labah said that I asked Abu Mujliz, "If I am in a town where prayer is being offered in congregation, and I want to pray alone, should I say the adhan and iqamah?" He replied, "If you wish, the adhan of the people is sufficient for you, and if you wish, you may say both the adhan and the iqamah."
منذر بن ثعلبہ کہتے ہیں کہ میں نے ابو مجلز سے سوال کیا کہ اگر میں کسی ایسی بستی میں موجود ہوں جہاں جماعت سے نماز پڑھی جاتی ہے، پھر میں اگر اکیلے نماز پڑھوں تو کیا میں اذان اور اقامت کہوں گا ؟ فرمایا کہ اگر تم چاہو تو تمہارے لیے لوگوں کی اذان کافی ہے اور اگر چاہو تو اذان بھی دو اور اقامت بھی کہو۔
Munzir bin Thalba kehte hain ke maine Abu Mujliz se sawal kiya ke agar main kisi aisi basti mein mojood hon jahan jamaat se namaz parhi jati hai, phir main agar akela namaz parhon to kya main azan aur iqamat kahon ga? Farmaya ke agar tum chaho to tumhare liye logon ki azan kafi hai aur agar chaho to azan bhi do aur iqamat bhi kaho.