Hazrat Ibn Juraij narrates about Hazrat Ata that he disliked writing the entire verse on the ring. But he saw no harm in mentioning Allah on the ring.
حضرت ابن جریج، حضرت عطاء کے بارے میں روایت کرتے ہیں کہ وہ اس بات کو ناپسند کرتے تھے کہ انگوٹھی میں پوری آیت لکھی جائے۔ لیکن انگوٹھی میں اللہ کا ذکر ہو اس میں کوئی حرج نہیں دیکھتے تھے۔
Hazrat Ibn Juraij, Hazrat Ata ke bare mein riwayat karte hain ke woh is baat ko napasand karte the ke anguthi mein poori ayat likhi jaye. Lekin anguthi mein Allah ka zikr ho is mein koi harj nahi dekhte the.
Hazrat Ja'far narrates from his father. He says that there was mention of Allah on the rings of Hazrat Hasan and Hazrat Hussain. Hazrat Ja'far says, "On the ring of my father was 'Al-Izzatu Lillahi Jameela'."
حضرت جعفر، اپنے والد سے روایت کرتے ہیں۔ وہ کہتے ہیں کہ حضرت حسن اور حضرت حسین کی انگوٹھی میں ذکر اللہ تھا۔ حضرت جعفر کہتے ہیں۔ میرے والد کی انگوٹھی میں العزۃ لِلّٰہ جمیعا۔ تھا۔
Hazrat Jaffar apne walid se riwayat karte hain. Woh kehte hain ke Hazrat Hassan aur Hazrat Hussain ki anguthi mein zikr Allah tha. Hazrat Jaffar kehte hain. Mere walid ki anguthi mein al-izzatu lillahi jameelan tha.
It is narrated on the authority of Hazrat Sadqa bin Yasar. He says that I asked Hazrat Saeed bin Musayyab what should I write on my ring? He said: You should write the remembrance of Allah on it and say that Saeed ordered me to do so.
حضرت صدقہ بن یسار سے روایت ہے۔ وہ کہتے ہیں کہ میں نے حضرت سعید بن مسیب سے پوچھا۔ میں اپنی انگوٹھی میں کیا لکھوں ؟ انھوں نے فرمایا : تم اس میں اللہ کا ذکر لکھ لو اور کہو کہ مجھے سعید نے اس بات کا حکم دیا ہے۔
Hazrat Sadqa bin Yasar se riwayat hai. Wo kehte hain ke maine Hazrat Saeed bin Musayyab se poocha. Main apni ungothi mein kya likhon? Unhon ne farmaya: Tum is mein Allah ka zikr likh lo aur kaho ke mujhe Saeed ne is baat ka hukum diya hai.
Hazrat Ibrahim bin Muhammad narrates from his father that he said that the inscription on the ring of Hazrat Masruq was Bismillah Hir Rehman nir Raheem.
حضرت ابراہیم بن محمد، اپنے والد سے روایت کرتے ہیں۔ وہ کہتے ہیں کہ حضرت مسروق کی انگوٹھی کا نقش بسم اللّٰہ الرحمٰن الرحیم تھا۔
Hazrat Ibrahim bin Muhammad apne walid se riwayat karte hain woh kehte hain ke Hazrat Masruq ki ungothi ka naqsh Bismillah hirRehman nirRahim tha
It is narrated on the authority of Hazrat Abdullah bin Mukhtar that he said: I heard Hazrat Hassan saying that there is no harm in engraving a full verse of the Quran on a ring.
حضرت عبداللہ بن مختار سے روایت ہے۔ وہ کہتے ہیں کہ میں نے حضرت حسن کو کہتے سُنا کہ اس بات میں کوئی حرج نہیں ہے کہ انگوٹھی میں پوری آیت نقش کی جائے۔
Hazrat Abdullah bin Mukhtar se riwayat hai. Woh kehte hain ke maine Hazrat Hassan ko kehte suna ke is baat mein koi harj nahi hai ke anguthi mein puri ayat naqsh ki jaye.