Hadrat Mundhir narrates that once I asked Abu Razin when my prayer would be missed? He said: Your prayer will not be missed until the time for the next prayer begins. However, delaying prayer is an excess and is harmful.
حضرت منذر کہتے ہیں کہ ایک مرتبہ میں نے ابو رزین سے سوال کیا کہ میری نماز کب فوت ہوتی ہے ؟ فرمایا کہ تمہاری نماز اس وقت تک فوت نہیں ہوتی جب تک دوسری نماز کا وقت داخل نہ ہوجائے، البتہ نماز میں تاخیر کرنا افراط اور نقصان دہ ہے۔
Hazrat Mundhir kehte hain ke ek martaba maine Abu Razeen se sawal kiya ke meri namaz kab foot hoti hai? Farmaya ke tumhari namaz us waqt tak foot nahi hoti jab tak doosri namaz ka waqt dakhil na hojae, albatta namaz mein takheer karna ifraat aur nuqsaan deh hai.
Hazrat Usman bin Muhab said that Hazrat Abu Hurairah was asked what is negligence in prayer? He replied delaying the prayer so much that the time of the next prayer starts.
حضرت عثمان بن موہب کہتے ہیں کہ حضرت ابوہریرہ سے سوال کیا گیا کہ نماز میں تفریط کیا ہے۔ انھوں نے فرمایا کہ نماز کو اتنا مؤخر کرنا کہ دوسری نماز کا وقت شروع ہوجائے۔
Hazrat Usman bin Muhab kehte hain ke Hazrat Abu Huraira se sawal kiya gaya ke namaz mein tafreet kya hai. Unhon ne farmaya ke namaz ko itna moakhir karna ke dusri namaz ka waqt shuru ho jaye.