Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) narrates that when the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) would prostrate, he would keep his hands facing the Qibla.
حضرت عائشہ فرماتی ہیں کہ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) جب سجدہ کرتے تو اپنے ہاتھوں کو قبلہ رخ رکھتے۔
Hazrat Ayesha farmati hain keh Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab Sajda karte to apne hathon ko Qibla Rukh rakhte.
Hazrat Ibn Umar used to say that when any of you prostrates, he should keep his hands facing the direction of Qibla because hands also prostrate with the face.
حضرت ابن عمر فرمایا کرتے تھے کہ جب تم میں سے کوئی سجدہ کرے تو اپنے ہاتھوں کو قبلہ رخ رکھے، کیونکہ ہاتھ بھی چہرے کے ساتھ سجدہ کرتے ہیں۔
Hazrat Ibn Umar farmaya karte thay keh jab tum mein se koi sajdah kare to apne hathon ko qibla rukh rakhe, kyunki hath bhi chehre ke sath sajdah karte hain.
Hazrat Hafsa bin Asim narrates that it is Sunnah that a person should keep his palms open in prayer and keep his fingers together and the direction of the palms and fingers should be towards the Qibla.
حضرت حفص بن عاصم فرماتے ہیں کہ سنت یہ ہے کہ آدمی نماز میں اپنی ہتھیلیوں کو کھلا رکھے اور انگلیوں کو ملا کر رکھے اور ہتھیلیوں اور انگلیوں کا رخ قبلہ کی طرف رکھے۔
Hazrat Hafs bin Asim farmate hain ke sunnat yeh hai ke aadmi namaz mein apni hatheliyon ko khula rakhe aur ungliyon ko mila kar rakhe aur hatheliyon aur ungliyon ka rukh qibla ki taraf rakhe.