Hazrat Bara bin Aazib narrates that when the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) would start the prayer, he would raise his hands at that very time, then he would not raise his hands until the prayer was over.
حضرت براء بن عازب فرماتے ہیں کہ نبی پاک (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) جب نماز شروع کرتے تو اسی وقت ہاتھوں کو بلند کیا کرتے تھے، پھر نماز سے فارغ ہونے تک ہاتھوں کو بلند نہیں کیا کرتے تھے۔
Hazrat Bara bin Aazib farmate hain ke Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab namaz shuru karte to usi waqt hathon ko buland kiya karte thay, phir namaz se farigh hone tak hathon ko buland nahi kiya karte thay.
Hazrat Aliqama narrates that once Hazrat Abdullah said, "Shall I not show you the prayer of the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him)?" Then you prayed and raised your hands only once.
حضرت علقمہ فرماتے ہیں کہ ایک مرتبہ حضرت عبداللہ نے فرمایا کہ کیا میں تمہیں رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کی نماز نہ دکھاؤں ؟ پھر آپ نے نماز پڑھی اور صرف ایک مرتبہ ہاتھ اٹھائے۔
Hazrat Alqama farmate hain ki ek martaba Hazrat Abdullah ne farmaya ki kya main tumhen Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki namaz na dikhaun? Phir aap ne namaz parhi aur sirf ek martaba hath uthaye.
Hazrat Asim bin Kalib narrated from his father that Hazrat Ali used to raise his hands only at the beginning of prayer, then he would not raise his hands after that.
حضرت عاصم بن کلیب اپنے والد سے روایت کرتے ہیں کہ حضرت علیصرف نماز شروع کرتے وقت ہاتھ اٹھایا کرتے تھے، پھر اس کے بعد ہاتھ نہ اٹھاتے تھے۔
Hazrat Asim bin Kulaib apne walid se riwayat karte hain ke Hazrat Ali sirf namaz shuru karte waqt hath uthaya karte thay, phir is ke baad hath na uthatay thay.
Prophet Abraham used to say: "When you say Takbeer (Allahu Akbar) to begin the prayer, raise your hands, and then do not raise your hands again in the rest of the prayer."
حضرت ابراہیم فرمایا کرتے تھے کہ جب تم نماز شروع کرنے کے لیے تکبیر کہو تو ہاتھوں کو بلند کرو، پھر باقی نماز میں ہاتھوں کو بلند نہ کرو۔
Hazrat Ibrahim farmaya karte the keh jab tum namaz shuru karne ke liye takbeer kaho to hathon ko buland karo, phir baqi namaz mein hathon ko buland na karo.
Hazrat Abu Ishaq states that Hazrat Ali and the companions of Hazrat Abdullah used to raise their hands only at the beginning of prayer. After that, they would not raise their hands.
حضرت ابو اسحاق فرماتے ہیں کہ حضرت علی اور حضرت عبداللہ کے اصحاب صرف نماز کے شروع میں ہاتھ بلند کیا کرتے تھے اس کے بعد وہ رفع یدین نہ کرتے تھے۔
Hazrat Abu Ishaq farmate hain keh Hazrat Ali aur Hazrat Abdullah ke ashaab sirf namaz ke shuru mein hath buland kia karte thay uske baad woh rafay yadain na karte thay.
Hazrat Ibn Abbas narrates that hands should be raised only at seven places: 1. When starting the prayer, 2. When looking at the Kaaba, 3. On the Safa hill, 4. On the Marwa hill (peace and blessings of Allah be upon him), 5. In the plains of Arafat, 6. In Muzdalifah, 7. When throwing stones at the Jamarat.
حضرت ابن عباس فرماتے ہیں کہ صرف سات مقامات پر ہاتھ اٹھائے جائیں گے نماز شروع کرتے وقت 2 جب بیت اللہ پر نگاہ پڑے 3 صفا پر 4 مروہ پر (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) میدان عرفات میں 6 مزدلفہ میں 7 رمی جمار کرتے وقت۔
Hazrat Ibn Abbas farmate hain keh sirf saat maqamat par hath uthaye jayen ge namaz shuru karte waqt 2 jab baitullah par nigaah pade 3 safa par 4 marwah par (Sallallahu Alaihi Wasallam) maidan e arafat mein 6 muzdalifa mein 7 rami jamar karte waqt.
Hazrat Aswad narrates that I offered prayer with Hazrat Umar. He only raised his hands at the beginning of the prayer. Hazrat Abdullah bin Malik narrates that I saw Hazrat Shabi, Hazrat Ibrahim and Hazrat Abu Ishaq and they used to raise their hands only at the beginning of the prayer.
حضرت اسود فرماتے ہیں کہ میں نے حضرت عمر کے ساتھ نماز ادا کی، انھوں نے صرف نماز شروع کرتے وقت ہاتھ بلند کئے۔ حضرت عبد الملک فرماتے ہیں کہ میں نے حضرت شعبی، حضرت ابراہیم اور حضرت ابو اسحاق کو دیکھا کہ وہ صرف نماز شروع کرتے وقت ہاتھ بلند کیا کرتے تھے۔
Hazrat Aswad farmate hain keh maine Hazrat Umar ke sath namaz ada ki, unhon ne sirf namaz shuru karte waqt hath buland kiye. Hazrat Abdul Malik farmate hain keh maine Hazrat Shabi, Hazrat Ibrahim aur Hazrat Abu Ishaq ko dekha keh woh sirf namaz shuru karte waqt hath buland karte the.