Sulaiman bin Musa narrated that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) saw a man praying while sitting down. He asked him, "Why are you praying sitting down?" He said, "I have been stung by a scorpion." The Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said, "When you see a scorpion in prayer, take hold of your left shoe and hit it."
حضرت سلیمان بن موسیٰ کہتے ہیں کہ نبی پاک (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ایک آدمی کو دیکھا جو بیٹھ کر نماز پڑھ رہا تھا۔ آپ نے اس سے پوچھا کہ تم بیٹھ کر کیوں نماز پڑھ رہے ہو ؟ اس نے کہا کہ مجھے بچھو نے ڈس لیا ہے۔ نبی پاک (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے فرمایا کہ جب تمہیں نماز میں بچھو نظر آئے تو اپنی بائیں جوتی پکڑ کر اسے مار دو ۔
Hazrat Suleman bin Moosa kehte hain keh Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne aik aadmi ko dekha jo beth kar namaz parh raha tha. Aap ne us se poocha keh tum beth kar kyun namaz parh rahe ho? Us ne kaha keh mujhe bichhu ne dass liya hai. Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya keh jab tumhein namaz mein bichhu nazar aaye to apni bayen jooti pakar kar use maar do.
Hazrat Abdullah bin Dinaar narrates that Hazrat Ibn Umar saw something moving in prayer and, assuming it to be a scorpion, hit it with his shoe.
حضرت عبداللہ بن دینار کہتے ہیں کہ حضرت ابن عمر نے نماز میں کوئی چیز چلتی ہوئی دیکھی اور اسے بچھو خیال کرتے ہوئے اسے جوتی سے مار ڈالا۔
Hazrat Abdullah bin Dinaar kehte hain ki Hazrat Ibn Umar ne namaz mein koi cheez chalti hui dekhi aur use bichhu khayaal karte hue use jooti se maar daala.
Hazrat Fazil said that Hazrat Ibrahim said that if someone sees a scorpion in prayer, he should remove it. I said, what if it comes back to him? He said, then remove it again. I said, what if it comes back to him again? He said, then kill it and wash its place.
حضرت فضیل کہتے ہیں کہ حضرت ابراہیم نے فرمایا کہ اگر کوئی شخص نماز میں بچھو کو دیکھے تو اسے دور ہٹا دے۔ میں نے کہا کہ اگر وہ پھر اس کی طرف بڑھے ؟ انھوں نے کہا اسے پھر پیچھے ہٹا دے۔ میں نے کہا اگر وہ پھر اس کی طرف بڑھے ؟ انھوں نے فرمایا کہ اسے مار دے اور اس کی جگہ کو دھو لے۔
Hazrat Fazil kehte hain keh Hazrat Ibrahim ne farmaya keh agar koi shakhs namaz mein bichhu ko dekhe to use door hata de. Maine kaha keh agar woh phir us ki taraf barhe? Unhon ne kaha use phir peeche hata de. Maine kaha agar woh phir us ki taraf barhe? Unhon ne farmaya keh use maar de aur us ki jagah ko dho le.
Hazrat Mughira narrates that when Hazrat Ibrahim was asked about killing a scorpion during prayer, he said that prayer has its own engagement.
حضرت مغیرہ کہتے ہیں کہ حضرت ابراہیم سے دورانِ نماز بچھو کو مارنے کے بارے میں سوال کیا گیا تو انھوں نے فرمایا کہ نماز کی اپنی مصروفیت ہے۔
Hazrat Mugheera kehte hain keh Hazrat Ibrahim se dauran e namaz bichhu ko marne ke bare mein sawal kiya gaya to unhon ne farmaya keh namaz ki apni masrofiyat hai