Hazrat Ibrahim narrates that Hazrat Aswad and his companions used to make separate stops for each prayer during the journey. They would pray Maghrib on its time, then have dinner, then rest for a while, and then pray Isha.
حضرت ابراہیم فرماتے ہیں کہ حضرت اسود اور ان کے ساتھی سفر میں ہر نماز کے لیے الگ پڑاؤ ڈالتے تھے اور مغرب کو اس کے وقت پر پڑھتے ، پھر شام کا کھانا کھاتے، پھر کچھ دیر ٹھہرتے پھر عشاء کی نماز پڑھتے تھے۔
Hazrat Ibrahim farmate hain ke Hazrat Aswad aur un ke sathi safar mein har namaz ke liye alag padao daalte thay aur Maghrib ko us ke waqt par parhte, phir sham ka khana khate, phir kuch der theherte phir Isha ki namaz parhte thay.
Hazrat Abi bin Abdullah said that a letter of Hazrat Umar bin Abdul Aziz came to us, in which he wrote that do not combine two prayers without an excuse.
حضرت ابی بن عبداللہ کہتے ہیں کہ ہمارے پاس حضرت عمر بن عبد العزیز کا خط آیا انھوں نے اس میں لکھا کہ دو نمازوں کو بغیر عذر کے جمع نہ کرو۔
Hazrat Abi bin Abdullah kehte hain ke hamare pass Hazrat Umar bin Abdul Aziz ka khat aya unhon ne is mein likha ke do namazon ko baghair uzr ke jama na karo.
It is narrated that Hazrat Yunus was asked about combining two prayers by Hazrat Hassan. He replied that it is not permissible to do so except in case of necessity.
حضرت یونس کہتے ہیں کہ حضرت حسن سے دو نمازوں کو جمع کرنے کے بارے میں سوال کیا گیا تو انھوں نے فرمایا کہ سوائے عذر کے ایسا کرنا درست نہیں۔
Hazrat Younas kehte hain ke Hazrat Hasan se do namaazon ko jama karne ke bare mein sawal kiya gaya to unhon ne farmaya ke siwae uzr ke aisa karna durust nahin.
Hazrat Ammarah narrates that Hazrat Aswad was a devoted worshiper. Whenever it was time for prayer, he would halt, even if he had to offer prayer on a rock.
حضرت عمارہ فرماتے ہیں کہ حضرت اسود تو ایک راہب ہی تھے، جب بھی نماز کا وقت آتا وہ پڑاؤ ڈالتے خواہ پتھر پر نماز پڑھنی پڑے۔
Hazrat Ammarah farmate hain ke Hazrat Aswad to aik raahub hi thay, jab bhi namaz ka waqt aata woh paradao daalte khawah pathar par namaz parhni paray.
Hazrat Abdullah Ibn Muhab said that I went to Hazrat Salim and I asked him, "O Abu Umar! Do you combine two prayers while traveling?" He replied, "No, but if I am in a hurry to leave, then I do."
حضرت عبدالرحمن بن موہب کہتے ہیں کہ میں حضرت سالم کے پاس آیا اور میں نے ان سے پوچھا کہ اے ابو عمر ! کیا آپ سفر میں دو نمازوں کو جمع کرتے ہیں ؟ انھوں نے فرمایا نہیں، البتہ اگر مجھے چلنے کی جلدی ہو تو پھر کرتا ہوں۔
Hazrat Abdar Rahman bin Muhab kehte hain ke main Hazrat Salem ke paas aaya aur maine unse poocha ke aye Abu Umar! kya aap safar mein do namaazon ko jama karte hain? Unhon ne farmaya nahin, albatta agar mujhe chalne ki jaldi ho to phir karta hun.
It was mentioned before Muhammad bin Sirin that Jābir ibn Zayd used to combine two prayers. He (Muhammad bin Sirin) said that he must have combined the two prayers for a reason.
حضرت محمد بن سیرین کے سامنے ذکر کیا گیا کہ حضرت جابر بن زید دو نمازوں کو جمع کرتے تھے۔ انھوں نے فرمایا کہ وہ کسی وجہ سے ہی دو نمازوں کو جمع کرتے ہوں گے۔
Hazrat Muhammad bin Sireen ke samne zikar kya gaya ke Hazrat Jabir bin Zaid do namaazon ko jama karte thay. Unhon ne farmaya ke woh kisi wajah se hi do namaazon ko jama karte honge.
Hazrat Hassan and Hazrat Muhammad said that according to us, combining two prayers during travel and Hajj is not part of religion. However, Zuhr and Asr prayers in Arafat and Maghrib and Isha prayers in Muzdalifah will be combined.
حضرت حسن اور حضرت محمد فرماتے ہیں کہ ہمارے خیال میں سفر وحضر میں دو نمازوں کو جمع کرنا دین کا حصہ نہیں۔ البتہ عرفات میں ظہر وعصر اور مزدلفہ میں مغرب و عشاء کی نماز کو جمع کیا جائے گا۔
Hazrat Hassan aur Hazrat Muhammad farmate hain keh hamare khayal mein safar o hazr mein do namaazon ko jama karna deen ka hissa nahi. Albatta Arafat mein Zuhr o Asr aur Muzdalifa mein Maghrib o Isha ki namaz ko jama kiya jayega.