Hazrat Qatadah narrates that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said to the man who had intercourse with his wife in Ramadan, If your waist has committed a sin, your stomach should not commit a sin.
حضرت قتادہ فرماتے ہیں کہ نبی پاک (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے اس شخص سے جس نے رمضان میں اپنی بیوی سے جماع کرلیا تھا، فرمایا کہ اگر تیری کمر نے گناہ کیا ہے تو تیرے پیٹ کو گناہ نہیں کرنا چاہیے۔
Hazrat Qatada farmate hain ke Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne uss shakhs se jisne Ramzan mein apni biwi se jima karliya tha, farmaya ke agar teri kamar ne gunah kiya hai to tere pet ko gunah nahin karna chahiye.
Hazrat Ata was asked about a person who had intercourse with his wife during the month of Ramadan. He replied that he should eat and drink if he wishes.
حضرت عطاء اس شخص کے بارے میں جو ماہ رمضان میں اپنی بیوی سے جماع کرلے فرماتے ہیں کہ اگر وہ چاہے تو کھا پی لے۔
Hazrat Ata us shakhs ke baare mein jo mah Ramzan mein apni biwi se jima karle farmate hain ke agar wo chahe to kha pi le.
Hazrat Ibn Juraij said that I asked Amr bin Dinar about what is said that if a person has sexual intercourse with his wife in Ramadan, then he should complete that day's fast and also make up for it, is this correct? He said yes.
حضرت ابن جریج کہتے ہیں کہ میں نے عمرو بن دینار سے کہا کہ یہ جو کہا جاتا ہے کہ اگر کسی شخص نے رمضان میں اپنی بیوی سے جماع کرلیا تو وہ اس دن کو بھی پورا کرے اور اس کی قضا بھی کرے، کیا یہ صحیح بات ہے ؟ انھوں نے فرمایا ہاں۔
Hazrat Ibn Juraij kehte hain ke main ne Amr bin Dinar se kaha ke ye jo kaha jata hai ke agar kisi shakhs ne Ramzan mein apni biwi se jima karliya to wo us din ko bhi poora kare aur us ki qaza bhi kare, kya ye sahi baat hai? Unhon ne farmaya haan.