Husain b. 'Abd al-Rahman reported:I was with Sa'id b. Jubair when he said: Who amongst you saw a star shooting last night? I said: It was I; then I said: I was in fact not (busy) in prayer, but was stung by a scorpion (and that is the reason why I was awake and had a glimpse of the shooting star). He said: Then what did you do? I said: I practised charm. He said: What urged you to do this? I said: (I did this according to the implied suggestion) of the hadith which al-Shu'ba narrated. He said: What did al-Shu'ba narrate to you? I said: Buraida b. Husaib al-Aslami narrated to us. The charm is of no avail except in case of the (evil influence) of an eye or the sting of a scorpion. He said: He who acted according to what he had heard (from the Holy Prophet) acted rightly, but Ibn 'Abbas narrated to us from the Messenger of Allah (ﷺ) that he said: There were brought before me the peoples and I saw an apostle and a small group (of his followers) along with him, another (apostle) and one or two persons (along with him) and (still another) apostle having no one with him. When a very large group was brought to me I conceived as if it were my Ummah. Then it was said to me: It is Moses and his people. You should look at the horizon, and I saw a very huge group. It was again said to me: See the other side of the horizon, and there was (also) a very huge group. It was said to me: This is your Ummah, and amongst them there were seventy thousand persons who would be made to enter Paradise without rendering any account and without (suffering) any torment. He then stood up and went to his house. Then the people began to talk about the people who would be admitted to Paradise without rendering any account and without (suffering) any torment. Some of them said: They may be those who (have had the good fortune of living) in the company of the Messenger of Allah (ﷺ) and some of them said: They be those who were born in Islam and did not associate anything with Allah. Some people mentioned other things. Thereupon came forth the Messenger of Allah (ﷺ) before them and he said: What was that which you were talking about? They informed him. He said: They are those persons who neither practise charm, nor ask others to practise it, nor do they take omens, and repose their trust in their Lord. Upon this 'Ukkasha b. Mihsan stood up and said: Supplicate for me that He should make me one among them. Upon this he (Messenger of Allah) said: Thou are one among them. Then another man stood up and said: Supplicate before Allah that He should make me one among them. Upon this he said: 'Ukkisha has preceded you.
ہشیم نے کہا : ہمیں حصین بن عبد الرحمن نے خبر دی ، کہا کہ میں سعید بن جبیر کے پاس موجود تھا ، انہوں نے پوچھا : تم میں سے وہ ستارا کس نے دیکھا تھا جو کل رات ٹوٹا تھا ۔ میں نے کہا : میں نے ، پھر میں نے کہا کہ میں نماز میں نہیں تھا بلکہ مجھے ڈس لیا گیا تھا ( کسی موذی جانور نے ڈس لیا تھا ۔ ) انہوں نے پوچھا : پھر تم نے کیا کیا؟ میں نے کہا : میں نے دم کروایا ۔ انہوں نےکہا : تمہیں کس چیز نےاس پر آمادہ کیا ؟ میں نے جواب دیا : اس حدیث نے جو ہمیں شعبی نے سنائی ۔ انہوں نے پوچھا : شعبی نے تمہیں کون سی حدیث سنائی؟ میں نے کہا : انہوں ( شعبی ) نےہمیں بریدہ بن حصیب اسلمی رضی اللہ عنہ سے روایت سنائی ، انہوں نے بتایا کہ نظر بد لگنے اور زہریلی چیز کےڈسنے کے علاوہ اور کسی چیز کے لیے جھاڑ پھونک نہیں ۔ تو سعید نے کہا : جس نے سنا ، اسے اختیار کیا تو اچھا کیا ۔ لیکن ہمیں عبد اللہ بن عباس رضی اللہ عنہ نے نبی اکرم ﷺ سے حدیث سنائی کہ آپ نے فرمایا : ’’میرے سامنے امتیں پیش کی گئیں ، میں نے ایک نبی کو دیکھا ، ان کے ساتھ ایک چھوٹا سا ( دس سے کم کا ) گروہ تھا ، کسی ( اور ) نبی کو دیکھا کہ اس کےساتھ ایک یا دو امتی تھے ، کوئی نبی ایسا بھی تھا کہ اس کے ساتھ کوئی امتی نہ تھا ، اچانک ایک بڑی جماعت میرے سامنے لائی گئی ، مجھے گمان ہوا کہ یہ میرے امتی ہیں ، اس پر مجھ سے کہا گیا کہ یہ موسیٰ علیہ السلام اور ان کی قوم ہے لیکن آپ افق کی طرف دیکھیں ، میں نے دیکھا تو ( وہاں بھی ) ایک بہت بڑی جماعت تھی ، مجھے بتایا گیا : یہ آپ کی امت ہے ۔ اور ان کےساتھ ایسے ستر ہزار ( لوگ ) ہیں جو کسی حساب کتاب اور کسی عذاب کے بغیر جنت میں داخل ہو جائیں گے ۔ ‘ ‘
پھر آپ اٹھے اور ا پنے گھر کے اندر چلے گئے ، وہ ( صحابہ کرام رضی اللہ عنہ ) ان لوگوں کے بارے میں گفتگو میں مصروف ہو گئے ، جو بغیر حساب اور عذاب کے جنت میں داخل ہوں گے ۔ ان میں سے بعض نے کہا : شاید وہ لوگ ہیں جنہیں رسول اللہ ﷺ کی صحبت کا شرف حاصل ہے ۔ بعض نے کہا : شاید یہ لوگ وہ ہوں گے جو اسلامی دور میں پیدا ہوئے اور ( ایک لمحہ بھی ) اللہ تعالیٰ کے ساتھ شرک نہیں کیا اور انہوں نے بعض دوسری باتوں کا بھی تذکرہ کیا پھر ( کچھ دیربعد ) رسول اللہ ﷺ ( گھر سے ) نکل کر ان کے پاس تشریف لائے اور پوچھا : ’’ تو کن باتوں میں لگے ہوئے ہو ؟ ‘ ‘ انہوں نے آپ کو وہ باتیں بتائیں ، اس پر آپ نے فرمایا : ’’وہ ایسے لوگ ہیں جو نہ دم کرتے ہیں ، نہ دم کرواتے ہیں ، نہ شگون لیتے ہیں اور وہ اپنے رب پر پوراتوکل کرتے ہیں ۔ ‘ ‘ اس پر عکاشہ بن محصن رضی اللہ عنہ کھڑے ہوئےاور عرض کی : اللہ سے دعا فرمائیے کہ وہ مجھے بھی ان لوگوں میں ( شامل ) کر دے تو آپ نے فرمایا : ’’ تو ان میں سے ہے ۔ ‘ ‘ پھر ایک اور آدمی کھڑا ہوا اور کہنے لگا : دعا فرمائیے ! اللہ مجھے ( بھی ) ان میں سے کردے تو آپ نے فرمایا : ’’عکاشہ اس ( فرمائش ) کے ذریعے سے تم سے سبقت لے گئے ۔ ‘ ‘
Hashim ne kaha: Hamein Hasin bin Abdur Rahman ne khabar di, kaha ki main Saeed bin Jubair ke paas mojood tha, unhon ne poocha: Tum mein se woh sitara kis ne dekha tha jo kal raat toota tha. Main ne kaha: Main ne, phir main ne kaha ki main namaz mein nahin tha balki mujhe das liya gaya tha (kisi moozi jaanwar ne das liya tha). Unhon ne poocha: Phir tum ne kya kiya? Main ne kaha: Main ne dum karwaya. Unhon ne kaha: Tumhen kis cheez ne is per aamada kiya? Main ne jawab diya: Is hadees ne jo hamein Shabi ne sunaai. Unhon ne poocha: Shabi ne tumhen kaun si hadees sunaai? Main ne kaha: Unhon (Shabi) ne hamein Buraidah bin Haseeb Islami (Razi Allah Anhu) se riwayat sunaai, unhon ne bataya ki nazar bad lagne aur zehreli cheez ke dasne ke alawa aur kisi cheez ke liye jhaad phoonk nahin. To Saeed ne kaha: Jis ne suna, use ikhtiyar kiya to achcha kiya. Lekin hamein Abdullah bin Abbas (Razi Allah Anhu) ne Nabi Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) se hadees sunaai ki aap ne farmaya: ''Mere samne ummaten pesh ki gayin, main ne ek nabi ko dekha, un ke saath ek chhota sa (das se kam ka) giroh tha, kisi (aur) nabi ko dekha ki us ke saath ek ya do ummati the, koi nabi aisa bhi tha ki us ke saath koi ummati nahin tha, achanak ek badi jamaat mere samne laai gayi, mujhe gumaan hua ki yeh mere ummati hain, is per mujh se kaha gaya ki yeh Moosa (Alaihis Salam) aur un ki qaum hai lekin aap ufq ki taraf dekhen, main ne dekha to (wahan bhi) ek bahut badi jamaat thi, mujhe bataya gaya: Yeh aap ki ummat hai. Aur un ke saath aise sattar hazaar (log) hain jo kisi hisab kitab aur kisi azab ke baghair jannat mein dakhil ho jayenge.'' Phir aap uthe aur apne ghar ke andar chale gaye, woh (Sahaba Kiram (Razi Allah Anhum)) in logon ke bare mein guftgu mein masroof ho gaye, jo baghair hisab aur azab ke jannat mein dakhil honge. In mein se baaz ne kaha: Shayad woh log hain jinhen Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki sohbat ka sharaf hasil hai. Baaz ne kaha: Shayad yeh log woh honge jo Islami daur mein paida hue aur (ek lamha bhi) Allah Ta'ala ke saath shirk nahin kiya aur unhon ne baaz doosri baaton ka bhi tazkira kiya phir (kuch der baad) Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) (ghar se) nikal kar un ke paas tashreef laaye aur poocha: ''To kin baaton mein lage hue ho?'' Unhon ne aap ko woh baaten batain, is per aap ne farmaya: ''Woh aise log hain jo na dum karte hain, na dum karwate hain, na shagun lete hain aur woh apne Rab per poora tawakkal karte hain.'' Is per Akasha bin Mohsin (Razi Allah Anhu) khade hue aur arz ki: Allah se dua farmaaiye ki woh mujhe bhi in logon mein (shamil) kar de to aap ne farmaya: ''Tu in mein se hai.'' Phir ek aur aadmi khara hua aur kehne laga: Dua farmaaiye! Allah mujhe (bhi) in mein se karde to aap ne farmaya: ''Akasha is (farmaish) ke zariye se tum se sabaqat le gaye.''