It is narrated from Hazrat 'Alqamah bin Waqas that Hazrat 'Aishah said: Hazrat Akram (peace and blessings of Allah be upon him), Hazrat Abu Bakr Siddiq and Hazrat Umar were present with Hazrat Sa'd bin Mu'adh. By the One in Whose grip is the soul of Muhammad (peace and blessings of Allah be upon him), I was recognizing that this was the sound of Abu Bakr's crying, this was the sound of Umar's crying, and I was in my room. She said that they were just as Allah has said, "Compassionate among themselves." Hazrat 'Alqamah said: Mother, what would the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) do (in grief)? Mother 'Aishah said: He (peace and blessings of Allah be upon him) would not cry out loud (in the manner of mourning) over anyone. When he (peace and blessings of Allah be upon him) would feel grief, he would hold his blessed beard.
حضرت علقمہ بن وقاص سے مروی ہے کہ حضرت عائشہ نے فرمایا : حضور اکرم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ، حضرت ابوبکر صدیق اور حضرت عمر حضرت سعد بن معاذ کے پاس حاضر تھے، قسم ہے اس ذات کی جس کے قبضہ میں محمد (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کی جان ہے میں پہچان رہی تھی کہ یہ ابوبکر کے رونے کی آواز ہے یہ حضرت عمر کی ہے اور میں اپنے حجرے میں تھی، فرماتی ہیں کہ وہ تو ایسے تھے جیسے اللہ نے فرمایا ہے { رُحَمَائُ بَیْنَہُمْ } آپس میں رحم دل، حضرت علقمہ نے فرمایا : امی جان حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) (غم میں) کیا کرتے تھے ؟ امی عائشہ نے فرمایا آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کسی پر (آواز نکال کر نوحہ کے انداز میں) نہیں ب روتے تھے جب آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کوئی غم پاتے تو اپنی داڑھی مبارک پکڑ لیتے۔
Hazrat Alqama bin Waqas se marvi hai ki Hazrat Ayesha ne farmaya : Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam), Hazrat Abubakar Siddique aur Hazrat Umar Hazrat Saad bin Muaz ke paas hazir thay, qasam hai is zaat ki jis ke qabza mein Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki jaan hai mein pehchan rahi thi ki yeh Abubakar ke rone ki aawaz hai yeh Hazrat Umar ki hai aur mein apne hujray mein thi, farmati hain ki woh to aise thay jaise Allah ne farmaya hai { ruhamau baynahum } aapas mein reham dil, Hazrat Alqama ne farmaya : ammi jaan Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) (gham mein) kya karte thay? Ammi Ayesha ne farmaya aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) kisi par (aawaz nikal kar noha ke andaz mein) nahin rote thay jab aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) koi gham paate to apni darhi mubarak pakad lete.
Hazrat Abu Usman narrates that when I informed Hazrat Umar about the demise of Hazrat Numan bin Muqrin, he placed his hand on his head and began to weep.
حضرت ابو عثمان فرماتے ہیں کہ میں حضرت عمر کے پاس حضرت نعمان بن مقرن کی وفات کی خبر لایا تو آپ نے اپنا ہاتھ سر پر رکھ کر رونا شروع کردیا۔
Hazrat Abu Usman farmate hain keh mein Hazrat Umar ke pass Hazrat Nauman bin Muqrin ki wafat ki khabar laya to aap ne apna hath sar par rakh kar rona shuru kardiya.
Hazrat Ibn Abi Awfa (R.A) said that there is no harm in someone crying or their tears coming out, but wailing and crying in the manner of mourning is forbidden.
حضرت ابن ابی اوفی فرماتے ہیں کہ کوئی روئے یا اس کے آنسو نکل آئیں اس میں کوئی حرج نہیں ہے، لیکن واویلا مچانے اور نوحہ کے انداز میں رونے سے منع کیا گیا ہے۔
Hazrat Ibn e Abi Aufa farmate hain ke koi roye ya uske aansu nikal aayein us mein koi harj nahi hai, lekin wawaila machane aur noha ke andaz mein rone se mana kiya gaya hai.
Hazrat Nafi narrates that Hazrat Abdullah bin Umar was in the market. When he was informed of the demise of Hazrat Hajar, he grabbed his sheet, stood up, and wept profusely.
حضرت نافع فرماتے ہیں کہ حضرت عبداللہ بن عمر بازار میں تھے آپ کو حجر کی وفات کی اطلاع دی گئی تو آپ نے اپنی چادر پکڑی اور کھڑے ہوگئے اور آپ پر رونے کا غلبہ ہوگیا۔
Hazrat Nafe farmate hain ki Hazrat Abdullah bin Umar bazar mein thay aap ko Hajar ki wafat ki ittila di gayi to aap ne apni chadar pakdi aur kharay hogaye aur aap par rone ka ghalba hogaya
It is narrated on the authority of Amir bin Sa'd al-Bajali that Hazrat Abu Mas'ud, Hazrat Thabit bin Zaid and Hazrat Qarza bin Ka'b say that it is permissible to cry without wailing over the dead.
حضرت عامر بن سعد البجلی سے مروی ہے کہ حضرت ابی مسعود ، حضرت ثابت بن زید اور حضرت قرظہ بن کعب فرماتے ہیں کہ میت پر نوحہ کے بغیر رونے کی اجازت دی گئی ہے۔
Hazrat Amir bin Saad al-Bajali se marvi hai ki Hazrat Abi Masud, Hazrat Sabit bin Zaid aur Hazrat Qarza bin Kaab farmate hain ki mayyat par nouha ke baghair rone ki ijazat di gai hai.
Hazrat Amir bin Sa'd narrates that I went to Hazrat Abu Mas'ud and Hazrat Qurzah bin Ka'b, so you both said: Surely, we have been allowed to cry in distress.
حضرت عامر بن سعد فرماتے ہیں کہ میں حضرت ابی مسعود اور حضرت قرظہ بن کعب کے پاس آیا تو آپ دونوں حضرات نے فرمایا : بیشک ہمیں مصیبت میں رونے کی اجازت دی گئی ہے۔
Hazrat Amir bin Saad farmate hain ke main Hazrat Abi Masood aur Hazrat Qurza bin Kaab ke paas aaya to aap donon hazrat ne farmaya: beshak hamen musibat mein rone ki ijazat di gai hai.
It is narrated from Hazrat Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) that a funeral procession passed by the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) and there were women weeping with it. I and Hazrat Umar (may Allah be pleased with him) were also with the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him). Hazrat Umar (may Allah be pleased with him) rebuked the women weeping with the funeral procession, so the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: "O son of Khattab! Leave them, for indeed the soul is afflicted with grief, and the eyes are shedding tears, and the promise (appointed time) is near."
حضرت ابوہریرہ سے مروی ہے کہ حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے پاس سے ایک جنازہ گزرا جس کے ساتھ رونے والی عورتیں بھی تھیں میں اور حضرت عمر بھی حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے ساتھ تھے، حضرت عمر نے جنازے کے ساتھ رونے والیوں کو ڈانٹا تو حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے فرمایا : اے خطاب کے بیٹے ! ان کو چھوڑ دو ، بیشک نفس مصیبت زدہ ہے، اور آنکھیں آنسو بہا رہی ہیں اور وعدہ (مقرر وقت) قریب ہے۔
Hazrat Abu Huraira se marvi hai keh Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke paas se aik janaza guzra jis ke saath rone wali aurtein bhi thin mein aur Hazrat Umar bhi Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke saath thay, Hazrat Umar ne janaze ke saath rone walion ko daanta to Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: Aye Khattab ke bete! In ko chhor do, beshak nafs museebat zada hai, aur aankhein aansoo baha rahi hain aur waada (muqarrar waqt) qareeb hai.