Hazrat Abdullah bin Ghanam narrates that Hazrat Umar (RA) was asked about this, so you said that this condition is now the right of the woman. A man said that then they will leave us. Hazrat Umar (RA) said that the matter of rights is at the time of stipulation.
حضرت عبدالرحمن بن غنم فرماتے ہیں کہ حضرت عمر (رض) سے اس بارے میں سوال کیا گیا تو آپ نے فرمایا کہ یہ شرط اب عورت کا حق ہے۔ ایک آدمی نے کہا کہ پھر تو وہ ہمیں چھوڑ دیں گی۔ حضرت عمر (رض) نے فرمایا کہ حقوق کا معاملہ شرط لگانے کے وقت ہوتا ہے۔
Hazrat Abdar Rahman bin Ghanam farmate hain keh Hazrat Umar (RA) se is bare mein sawal kya gaya to aap ne farmaya keh yeh shart ab aurat ka haq hai Ek aadmi ne kaha keh phir to woh humain chor dain gi Hazrat Umar (RA) ne farmaya keh huqooq ka mamla shart lagane ke waqt hota hai
Hazrat Aqabah bin Aamir (R.A) narrates that The Messenger of Allah (ﷺ) said, "Every promise or condition by which the protection of the private parts is made lawful, then it is a must that it should be fulfilled."
حضرت عقبہ بن عامر (رض) فرماتے ہیں کہ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ ہر وہ شرط جس کے ذریعہ شرم گاہ کو حلال کیا جائے اس کا حق یہ ہے کہ اسے پورا کیا جائے۔
Hazrat Aqba bin Aamir (RA) farmate hain ki Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya ki har woh shart jis ke zariye sharam gah ko halal kiya jaye us ka haq ye hai ki use poora kiya jaye.
Hazrat Abu Ubaidah narrates that Hazrat Muawiyah (may Allah be pleased with him) asked Hazrat Amr bin Al-Aas (may Allah be pleased with him) about this, so he said that fulfilling the condition is the right of the woman.
حضرت ابو عبیدہ فرماتے ہیں کہ حضرت معاویہ نے اس بارے میں حضرت عمرو بن عاص (رض) سے سوال کیا تو انھوں نے فرمایا کہ شرط کا پورا کرنا عورت کا حق ہے۔
Hazrat Abu Ubaidah farmate hain ki Hazrat Muawiya ne iss bare mein Hazrat Amr bin Aas (RA) se sawal kiya to unhon ne farmaya ki shart ka poora karna aurat ka haq hai.
"Hazrat Abu Shus'a said that when a man sets the condition of his house for a woman, it is such a condition that through it his private parts are made lawful."
حضرت ابو شعثاء فرماتے ہیں کہ جب آدمی نے عورت کے لیے اس کے گھر کی شرط لگائی تو یہ ایک ایسی شرط ہے جس کے ذریعے اس کی شرمگاہ کو حلال کیا ہے۔
Hazrat Abu Shasa farmate hain keh jab aadmi ne aurat ke liye uske ghar ki shart lagai to yeh ek aisi shart hai jis ke zariye uski sharamgah ko halal kiya hai.
Hazrat Abu Zanad narrates that once a woman came to Hazrat Umar bin Abdul Aziz with a case that her husband had made it a condition at the time of marriage that he would let her stay in her own house. Now he wants to evict her from this house. Hazrat Umar bin Abdul Aziz said that it is the right of the woman to stay in her house and the husband cannot evict her from it. And by the One in whose control is my life, even if you had made the woman's private parts lawful in exchange for gold equal to Mount Uhud, I would have taken it from you and given it to her.
حضرت ابو زناد فرماتے ہیں کہ ایک مرتبہ ایک عورت حضرت عمر بن عبد العزیز کے پاس ایک مقدمہ لے کر آئی کہ اس کے خاوند نے نکاح کے وقت اس کو اسی کے گھر میں ٹھہرانے کی شرط لگائی تھی۔ اب وہ اس کو اس گھر سے نکالنا چاہتا ہے۔ حضرت عمر بن عبد العزیز نے فرمایا کہ عورت کا حق ہے کہ وہ اپنے گھر میں رہے خاوند اسے اس سے نکال نہیں سکتا۔ اور قسم ہے اس ذات کی جس کے قبضے میں میری جان ہے کہ اگر تو نے احد پہاڑ کے برابر سونے کے عوض بھی عورت کی شرمگاہ کو حلال کیا ہوتا تو وہ بھی میں تجھ سے لے کر اسے دیتا۔
Hazrat Abu Zinad farmate hain ki ek martaba ek aurat Hazrat Umar bin Abdul Aziz ke pass ek muqaddama lekar aai ki uske khaavand ne nikah ke waqt usko usi ke ghar mein thehrane ki shart lagai thi. Ab wo usko us ghar se nikalna chahta hai. Hazrat Umar bin Abdul Aziz ne farmaya ki aurat ka haq hai ki wo apne ghar mein rahe khaavand usey us se nikal nahi sakta. Aur qasam hai us zaat ki jis ke qabze mein meri jaan hai ki agar tu ne ohad pahar ke barabar sone ke awaz bhi aurat ki sharmgah ko halal kya hota to wo bhi main tujh se lekar usey deta.
Hazrat Mujahid and Hazrat Saeed bin Jubair initially gave a fatwa that he could make her leave the house. Upon hearing this, Hazrat Yahya bin Ja'far said, "Then in exchange for what did he make the woman's private parts lawful?" Hearing this, both gentlemen retracted their fatwa.
حضرت مجاہد اور حضرت سعید بن جبیر نے پہلے فتوی دیا کہ وہ اسے گھر سے نکال سکتا ہے۔ یہ سن کر حضرت یحییٰ بن جزار نے فرمایا کہ پھر اس نے کس چیز کے عوض عورت کی شرمگاہ کو حلال کیا ہے ؟ اس پر دونوں حضرات نے اپنے فتویٰ سے رجوع کرلیا۔
Hazrat Mujahid aur Hazrat Saeed bin Jabir ne pehle fatwa diya keh woh usay ghar se nikal sakta hai. Yeh sunkar Hazrat Yahya bin Jazaar ne farmaya keh phir usne kis cheez ke awaz aurat ki sharamgah ko halal kya hai? Is par donon hazrat ne apne fatwe se ruju karliya.