It is narrated from Hazrat Aqaba bin Aamir (may Allah be pleased with him) that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: "When two guardians conduct the marriage contract, the marriage contract of the first one is considered valid."
حضرت عقبہ بن عامر (رض) سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ جب دو ولی نکاح کرائیں تو پہلے کا نکاح معتبر ہے۔
Hazrat Aqba bin Aamir (RA) se riwayat hai keh Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh jab do wali nikah karayen to pehle ka nikah motabar hai.
It is narrated on the authority of Hazrat Samurah (may Allah be pleased with him) that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: When two guardians perform the marriage contract, then the marriage contract of the first one is valid.
حضرت سمرہ (رض) سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ جب دو ولی نکاح کرائیں تو پہلے کا نکاح معتبر ہے۔
Hazrat Samra (RA) se riwayat hai keh Rasool Allah (SAW) ne irshad farmaya keh jab do wali nikah karayen to pehle ka nikah motabar hai.
Hazrat Ibrahim narrates that if a woman was married off by her guardian, Ubaidullah, in Kufa, while a man in Syria had already married her before Ubaidullah, then whose marriage would be considered valid? When the man from Syria came to Kufa, he brought this case to the court of Hazrat Ali. Hazrat Ali ruled in favor of the first husband, even though the woman had a child from the second husband.
حضرت ابراہیم فرماتے ہیں کہ اگر ایک عورت کا نکاح کوفہ میں موجود ایک ولی ” عبید اللہ “ نے کیا، جبکہ شام میں موجود ایک شخص نے عبید اللہ سے پہلے اس سے نکاح کرلیا تو کس کا نکاح معتبر ہوگا ؟ جب شام میں موجود آدمی کوفہ آیا تو وہ یہ مقدمہ لے کر حضرت علی (رض) کی عدالت میں حاضر ہوا۔ حضرت علی (رض) نے پہلے کے حق میں فیصلہ کردیا حالانکہ دوسرے سے اس کا بچہ پیدا ہوچکا تھا۔
Hazrat Ibrahim farmate hain keh agar aik aurat ka nikah Kufa mein mojood aik wali "Ubaidullah" ne kiya, jab keh Sham mein mojood aik shakhs ne Ubaidullah se pehle us se nikah kar liya to kis ka nikah motabar hoga? Jab Sham mein mojood aadmi Kufa aaya to woh yeh muqadma lekar Hazrat Ali (RA) ki adalat mein hazir hua. Hazrat Ali (RA) ne pehle ke haq mein faisla kar diya halankeh dusre se us ka bachcha paida ho chuka tha.
Hazrat Thabit bin Qais Ghaffari says that I wrote a letter to Hazrat Umar bin Abdul Aziz that a girl from the Jahina tribe had been married off by her guardian to a man from the Qais tribe, while her brother had married her off to a man from the Jahina tribe, now whose wife would she be? Hazrat Umar bin Abdul Aziz said: Bring just witnesses before her then give her the choice, whoever she chooses will be her husband.
حضرت ثابت بن قیس غفاری فرماتے ہیں کہ میں نے حضرت عمر بن عبد العزیز کے نام خط لکھا کہ جہینہ قبیلے کی ایک لڑکی کا نکاح اس کے ولی نے قبیلہ قیس کے ایک آدمی سے کرادیا، جبکہ اس کے بھائی نے اس کا نکاح جہینہ قبیلے کے ایک آدمی سے کرایا ہے، اب وہ کس کی بیوی ہوگی ؟ حضرت عمر بن عبد العزیز نے فرمایا کہ اس کے سامنے عادل گواہ لاؤ پھر اسے اختیار دو ، وہ جس کو اختیار کرے وہی اس کا شوہر ہے۔
Hazrat Sabit bin Qais Ghaffari farmate hain keh maine Hazrat Umar bin Abdul Aziz ke naam khat likha keh Jaheena qabeele ki ek larki ka nikah uske wali ne qabeela Qais ke ek aadmi se karwadiya, jabke uske bhai ne uska nikah Jaheena qabeele ke ek aadmi se karwaya hai, ab woh kiski biwi hogi? Hazrat Umar bin Abdul Aziz ne farmaya keh uske samne aadil gawah lao phir use ikhtiyar do, woh jisko ikhtiyar kare wohi uska shohar hai.