It is narrated on the authority of Hazrat Anas that Hazrat Abu Talha asked the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) about some orphans who had inherited wine. He asked if that wine could be turned into vinegar. The Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) disapproved of it.
حضرت انس سے روایت ہے کہ حضرت ابو طلحہ نے جناب نبی کریم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) سے کچھ ایسے یتیموں کے بارے میں سوال کیا جنہیں ورثہ میں شراب ملی تھی کہ کیا اس شراب کو سرکہ بنایا جاسکتا ہے ؟ تو آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے اس کو ناپسند فرمایا۔
Hazrat Anas se riwayat hai keh Hazrat Abu Talha ne Janab Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se kuch aise yateemon ke baare mein sawal kiya jinhen wirse mein sharaab mili thi keh kya is sharaab ko sirka banaya jasakta hai? To aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is ko napasand farmaya.
It is narrated on the authority of Hazrat Masni bin Saeed, he says that I was with Hazrat Umar bin Abdul Aziz that he wrote a letter to his governor of Wasit: Do not carry wine from one town to another, and what you find, turn it into vinegar.
حضرت مثنی بن سعید سے روایت ہے، وہ کہتے ہیں کہ میں حضرت عمر بن عبد العزیز کے پاس موجود تھا کہ انھوں نے اپنے مقام واسط کے عامل کو خط لکھا : تم شراب کو ایک بستی سے دوسری بستی کی طرف نہ اٹھا کرلے جاؤ اور جو تم پالو تو اس کو سرکہ بنا لو۔
Hazrat Masni bin Saeed se riwayat hai, woh kehte hain ke main Hazrat Umar bin Abdul Aziz ke paas mojood tha ke unhon ne apne maqam Wasit ke aamil ko khat likha: Tum sharaab ko ek basti se dusri basti ki taraf na utha kar le jao aur jo tum paalo to us ko sirka bana lo.
It is narrated from Hazrat Aslam, that he said that Hazrat Umar instructed: "There is no harm in the vinegar you find with the people of the book, as long as you do not know that they, after it had turned into vinegar, intended for it to become corrupt."
حضرت اسلم سے روایت ہے، وہ کہتے ہیں کہ حضرت عمر نے ارشاد فرمایا : جو سرکہ تم اہل کتاب کے پاس پاؤ اس میں کوئی حرج نہیں ہے جب تک کہ تمہیں اس بات کا علم نہ ہوجائے کہ انھوں نے اس سرکہ کے شراب ہوجانے کے بعد اس کے فساد کا قصد کیا ہے۔
Hazrat Aslam se riwayat hai, woh kehte hain keh Hazrat Umar ne irshad farmaya: jo sirka tum ahl e kitab ke paas pao us mein koi harj nahin hai jab tak keh tumhein is baat ka ilm na ho jae keh unhon ne is sirke ke sharab ho jaane ke baad is ke fasad ka qasd kiya hai.