It is narrated from Hazrat Ubadah bin Samit that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said, "Whoever does not recite Surah Al-Fatiha, his prayer is not valid."
حضرت عبادہ بن صامت سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ جس شخص نے سورة الفاتحہ نہ پڑھی اس کی نماز نہیں ہوئی۔
Hazrat Ubadah bin Samit se riwayat hai keh Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh jis shakhs ne Surah Fatiha nah parhi us ki namaz nahin hui.
It is narrated on the authority of Hazrat Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said, "The prayer of a person who prays and does not recite Surah Fatiha in it is deficient, deficient, deficient."
حضرت ابوہریرہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ جس شخص نے نماز پڑھی اور اس میں سورة الفاتحہ نہ پڑھی تو اس کی نماز ناقص ہے، ناقص ہے، ناقص ہے۔
Hazrat Abu Huraira se riwayat hai keh Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh jis shakhs ne namaz parhi aur us mein Surah Fatiha na parhi to us ki namaz naqis hai, naqis hai, naqis hai.
It is narrated on the authority of Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: "Every prayer in which Surah Fatiha is not recited is deficient."
حضرت عائشہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ ہر وہ نماز جس میں سورة الفاتحہ نہ پڑھی جائے وہ ناقص ہے۔
Hazrat Ayesha se riwayat hai keh Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh har woh namaz jis mein Surah Fatiha na parhi jaye woh naqis hai.
Hazrat Jabir ibn Abdullah narrates that whoever does not recite Surah Fatiha in every rak'ah, then he has not prayed at all. However, it is not necessary to recite it behind the imam.
حضرت جابر بن عبداللہ فرماتے ہیں کہ جس شخص نے ہر رکعت میں سورة الفاتحہ نہ پڑھی اس نے گویا نماز ہی نہیں پڑھی۔ البتہ امام کے پیچھے پڑھنا ضروری نہیں۔
Hazrat Jabir bin Abdullah farmate hain ke jis shakhs ne har rakat mein Surah Fatiha nah parhi us ne goya namaz hi nahin parhi. Albatta Imam ke peeche parhna zaroori nahin.
Hazrat Abdullah bin Harith narrates that I was sitting with some Ansar companions. They mentioned prayer and said that prayer is not valid without recitation, even if a person recites Surah Fatiha, it is necessary to recite it. Narrator Hazrat Khalid says that I asked Abdullah bin Harith if he could name any of them? He said yes, Khawwat bin Jubair.
حضرت عبداللہ بن حارث کہتے ہیں کہ میں کچھ انصاری صحابہ کے ساتھ بیٹھا تھا۔ انھوں نے نماز کا ذکر کیا اور کہا کہ قراءت کے بغیر نماز نہیں ہوتی خواہ آدمی سورة الفاتحہ کی ہی تلاوت کرلے لیکن کرنی ہوگی۔ راوی حضرت خالد کہتے ہیں کہ میں نے عبداللہ بن حارث سے کہا کہ کیا آپ ان میں سے کسی کا نام بتاسکتے ہیں ؟ انھوں نے فرمایا ہاں، خوات بن جبیر۔
Hazrat Abdullah bin Haris kehte hain ke main kuch Ansaari Sahaba ke sath betha tha. Unhon ne Namaz ka zikar kiya aur kaha ke Qirat ke baghair Namaz nahi hoti chahe aadmi Surah Fatiha ki hi tilawat karle lekin karni hogi. Rawi Hazrat Khalid kehte hain ke maine Abdullah bin Haris se kaha ke kya aap in mein se kisi ka naam bata sakte hain? Unhon ne farmaya haan, Khawat bin Jabir.
Hazrat Ata said that Hazrat Abu Hurairah said that Surah Fatiha is enough. I met him later and asked, "In Farz (obligatory prayer)?" He said, "Yes."
حضرت عطاء فرماتے ہیں کہ حضرت ابوہریرہ نے فرمایا کہ سورة الفاتحہ کافی ہے۔ میں بعد میں ان سے ملا اور میں نے پوچھا کیا فرض میں ؟ انھوں نے کہا ہاں۔
Hazrat Ata farmate hain ke Hazrat Abu Huraira ne farmaya ke Surah Fatiha kafi hai. Main baad mein unse mila aur maine poocha kya farz mein? Unhon ne kaha haan.
Hazrat Abu Al-'Aliyah Bara' narrates: I asked Hazrat Ibn 'Umar, "Should I recite (the Quran) in every rak'ah?" He replied, "I would feel ashamed before the Lord of this House if I did not recite Surah Al-Fatihah and whatever else is easy for me in every rak'ah." He (the narrator) says, "I asked Hazrat Ibn 'Abbas (the same question), and he replied, "It is up to you. You can recite less if you wish, or you can recite more."
حضرت ابو العالیہ براء کہتے ہیں کہ میں نے حضرت ابن عمر سے کہا کہ کیا میں ہر رکعت میں قراءت کروں ؟ انھوں نے فرمایا کہ مجھے اس گھر کے رب سے شرم آتی ہے کہ میں ہر رکعت میں سورة الفاتحہ اور اس کے بعد جو آسان لگے اس کی تلاوت نہ کروں۔ وہ کہتے ہیں کہ میں نے حضرت ابن عباس سے سوال کیا تو انھوں نے فرمایا کہ وہ تمہاری مرضی ہے، چاہو تو اس سے کم تلاوت کرو اور چاہو تو اس سے زیادہ کرلو۔
Hazrat Abu al Aliya Bara kehte hain ke maine Hazrat Ibn Umar se kaha ke kya main har rakat mein qirat karun? Unhon ne farmaya ke mujhe is ghar ke rab se sharam aati hai ke main har rakat mein Surah Fatiha aur is ke baad jo asaan lage is ki tilawat na karun. Wo kehte hain ke maine Hazrat Ibn Abbas se sawal kiya to unhon ne farmaya ke wo tumhari marzi hai, chaho to is se kam tilawat karo aur chaho to is se ziada karlo.
It is narrated on the authority of Hazrat Abu Saeed Khudri that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: "The prayer of a person who does not recite Surah Al-Fatiha and another Surah in both Fard (obligatory) and Nafl (supererogatory) prayers is not valid."
حضرت ابو سعید خدری سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ اس شخص کی نماز نہیں ہوئی جس نے فرض اور غیر فرض میں سورة الفاتحہ اور اس کے ساتھ کوئی دوسری سورت نہ پڑھی۔
Hazrat Abu Saeed Khudri se riwayat hai ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya ke us shakhs ki namaz nahi hui jis ne farz aur ghair farz mein Surah Fatiha aur uske sath koi dusri surat na parhi.