It is narrated on the authority of Hazrat Abu Qatadah that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: When the Iqamah (call to prayer) is pronounced, do not stand up until you see me.
حضرت ابو قتادہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ جب نماز کے لیے اقامت کہی جائے تو تم اس وقت تک کھڑے نہ ہو جب تک مجھے دیکھ نہ لو۔
Hazrat Abu Qatada se riwayat hai keh Rasool Allah Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh jab namaz ke liye iqamat kahi jaye to tum us waqt tak khare na ho jab tak mujhe dekh na lo.
Hazrat Abu Khalid Walabi says that when the Iqamah for prayer was called, Hazrat Ali arrived, at that time people were standing waiting for him. Hazrat Ali said to them, "Why are you standing up like fools?""
حضرت ابو خالد والبی کہتے ہیں کہ جب نماز کے لیے اقامت کہی جاچکی تھی تو حضرت علی تشریف لائے، اس وقت لوگ کھڑے ہو کر ان کا انتظار کررہے تھے۔ حضرت علی نے ان سے فرمایا کہ تم غافلوں کی طرح منہ اٹھائے کیوں کھڑے ہو ؟ !
Hazrat Abu Khalid Walabi kahte hain ke jab namaz ke liye iqamat kahi ja chuki thi to Hazrat Ali tashreef laye, us waqt log kharay ho kar un ka intezar kar rahe thay. Hazrat Ali ne un se farmaya ke tum ghafilo ki tarah munh uthaye kyon kharay ho ?!
Hazrat Ibrahim states that the Salaf considered it disliked that when the Mu'azzin said, "The prayer has begun," people would stand up in the absence of the Imam and wait for him while standing. It was said that standing like this is the standing of heedlessness.
حضرت ابراہیم فرماتے ہیں کہ اسلاف اس بات مکروہ سمجھتے تھے کہ جب مؤذن قد قامت الصلاۃ کہے تو لوگ امام کی عدم موجودگی میں کھڑے ہوجائیں اور کھڑے ہو کر امام کا انتظار کریں۔ اور کہا جاتا تھا کہ اس طرح کھڑا ہونا غفلت کا کھڑا ہونا ہے۔
Hazrat Ibrahim farmate hain keh aslaaf is baat makrooh samajhte thy keh jab moazzin qad qamat us salah kahe to log imam ki adam mojoodgi mein kharay hojaen aur kharay ho kar imam ka intezar karen. Aur kaha jata tha keh is tarah khara hona ghaflat ka khara hona hai.
Hazrat Zubair bin Adi said that I asked Hazrat Abraham whether people will wait for their Imam standing or sitting? He replied, sitting.
حضرت زبیر بن عدی کہتے ہیں کہ میں نے حضرت ابراہیم سے سوال کیا کہ لوگ کھڑے ہو کر امام کا انتظار کریں گے یا بیٹھ کر ؟ انھوں نے فرمایا بیٹھ کر۔
Hazrat Zubair bin Adi kehte hain ke maine Hazrat Ibrahim se sawal kiya ke log kharay ho kar imam ka intezar karenge ya baith kar? Unhon ne farmaya baith kar.