Hazrat Abu Hurairah narrates that we prostrated with the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) in Surah Al-Inshiqaq and Surah Al-Alaq.
حضرت ابوہریرہ فرماتے ہیں کہ ہم نے رسول اللہ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے ساتھ سورة الانشقاق اور سورة العلق میں سجدہ کیا ہے۔
Hazrat Abu Hurairah farmate hain ki hum ne Rasul Allah huzoor sallallahu alaihi wasallam ke sath Surah Al-Inshiqaq aur Surah Al-Alaq mein sajda kiya hai.
Hazrat Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) narrated that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) prostrated during the recitation of Surah Al-Inshiqaq.
حضرت ابوہریرہ فرماتے ہیں کہ رسول اللہ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے سورة الانشقاق میں سجدہ فرمایا۔
Hazrat Abu Hurairah farmate hain keh Rasool Allah huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Surah Al Inshiqaq mein sajda farmaya.
Hazrat Abu Rafi' narrates that he prayed Isha prayer with Hazrat Abu Hurairah in Madinah. Hazrat Abu Hurairah recited Surah Al-Inshiqaq in it and performed a sajdah (prostration) in it. I asked him why he performs sajdah in this Surah? He said that I saw my beloved Abu Al-Qasim, the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) doing so, and since then I have been doing the same.
حضرت ابو رافع کہتے ہیں کہ میں نے حضرت ابوہریرہ کے ساتھ مدینہ میں عشاء کی نماز پڑھی۔ انھوں نے اس میں سورة الانشقاق کی تلاوت کی اور اس میں سجدہ کیا۔ میں نے ان سے سوال کیا کہ آپ اس سورت میں سجدہ کیوں کرتے ہیں ؟ انھوں نے فرمایا کہ میں نے اپنے خلیل ابو القاسم حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کو ایسا کرتے دیکھا تھا اس کے بعد سے میں بھی یونہی کرتا ہوں۔
Hazrat Abu Rafi kehte hain ki maine Hazrat Abu Huraira ke sath Madina mein Isha ki namaz parhi. Unhon ne is mein Surah Al-Inshiqaq ki tilawat ki aur is mein Sajda kiya. Maine unse sawal kiya ki aap is surat mein Sajda kyun karte hain? Unhon ne farmaya ki maine apne khalil Abu Al-Qasim Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko aisa karte dekha tha uske bad se main bhi yunhi karta hun.
Hazrat Abdullah narrates that when the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) prostrated during the recitation of Surah An-Najm, all the people also prostrated. However, an old man took a handful of dust and raised it to his forehead [instead of prostrating]. Hazrat Abdullah says that I saw him die in a state of disbelief.
حضرت عبداللہ فرماتے ہیں کہ رسول اللہ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے سورة النجم میں سجدہ کیا تو سب لوگوں نے سجدہ کیا۔ البتہ ایک بوڑھے نے مٹی کی ایک مٹھی لے کر اسے اپنی پیشانی تک بلند کرلیا۔ حضرت عبداللہ فرماتے ہیں کہ میں نے دیکھا کہ وہ کفر حالت میں مرا۔
Hazrat Abdullah farmate hain keh Rasul Allah Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Surah An Najm mein Sajda kiya tou sab logon ne Sajda kiya. Albatta aik budhe ne mitti ki aik muthi lekar usay apni peshani tak buland karliya. Hazrat Abdullah farmate hain keh maine dekha keh woh kufr halat mein mara.
Hazrat Abu Rafi' Saigh says that Hazrat Umar led us in the Isha prayer. He recited Surah Al-Inshiqaq in one of the first two rak'ahs and performed a sajdah (prostration) in it. We also performed the sajdah with him.
حضرت ابو رافع صائغ کہتے ہیں کہ حضرت عمر نے ہمیں عشاء کی نماز پڑھائی۔ انھوں نے پہلی دو رکعتوں میں سے ایک رکعت میں سورة الانشقاق کی تلاوت کی اور اس میں انھوں نے سجدہ کیا۔ ہم نے بھی ان کے ساتھ سجدہ کیا۔
Hazrat Abu Rafi Saaigh kehte hain ke Hazrat Umar ne humein Isha ki namaz parhaai. Unhon ne pehli do rakaton mein se ek rakat mein Surah Al-Inshiqaq ki tilawat ki aur us mein unhon ne Sajdah kiya. Hum ne bhi un ke saath Sajdah kiya.
Hazrat Abu al-'Aliyah states that during the recitation of Surah an-Najm, the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) and the Muslims prostrated.
حضرت ابو العالیہ فرماتے ہیں کہ سورة النجم کی تلاوت میں حضور حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) اور مسلمانوں نے سجدہ کیا۔
Hazrat Abu al Alia farmate hain keh Sura e Najm ki tilawat mein Huzoor Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) aur Musalmanon ne sajda kiya.
Hazrat Shabi narrates that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) recited Surah An-Najm and the Muslims, polytheists, jinn, and humans all prostrated.
حضرت شعبی فرماتے ہیں کہ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے سورة النجم کی تلاوت فرمائی اور مسلمانوں، مشرکین، جنات اور انسانوں نے سجدہ کیا۔
Hazrat Shabi farmate hain ki Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Surah An-Najm ki tilawat farmai aur Musalmano, Mushriko, Jinnat aur insano ne Sajdah kiya.
Hazrat Nafi' narrates that Hazrat Ibn Umar used to prostrate in Surah An-Najm and Surah Al-Alaq. However, if he recited them in obligatory prayers, he would not prostrate and would only perform bowing (ruku).
حضرت نافع فرماتے ہیں کہ حضرت ابن عمر سورة النجم اور سورة العلق میں سجدہ کیا کرتے تھے۔ البتہ اگر انھیں فرض نماز میں پڑھتے تو ان میں سجدہ نہیں کرتے تھے اور رکوع کرلیتے تھے۔
Hazrat Nafe farmate hain ke Hazrat Ibn Umar Surah Al-Najm aur Surah Al-Alaq mein Sajda kiya karte thay. Albatta agar unhen farz namaz mein parhte to un mein Sajda nahi karte thay aur ruku karlete thay.
Hazrat Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) narrated that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) and the Muslims prostrated after the recitation of Surah An-Najm. However, two men from Quraysh did not prostrate for the sake of fame.
حضرت ابوہریرہ فرماتے ہیں کہ نبی پاک حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے اور مسلمانوں نے سورة النجم کی تلاوت پر سجدہ کیا۔ البتہ قریش کے دو آدمیوں نے شہرت کی غرض سے سجدہ نہ کیا۔
Hazrat Abu Huraira farmate hain ke Nabi Pak Hazoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne aur Musalmano ne Surah An-Najm ki tilawat per sajda kiya Albatta Quresh ke do aadmiyon ne shohrat ki garz se sajda na kiya