A student of Hazrat Akrama narrates that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) used to look around with his eyes without turning his neck during prayer.
حضرت عکرمہ کے ایک شاگرد بیان کرتے ہیں کہ نبی پاک حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نماز میں گردن مبارک کو موڑے بغیر آنکھیں گھما کر دیکھا کرتے تھے۔
Hazrat Akrma ke aik shagird bayan karte hain ke Nabi Pak Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) namaz mein gardan mubarak ko moday baghair aankhein ghuma kar dekha karte thay.
Hazrat Saeed bin Musayyib narrates that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) used to look with his eyes downcast in prayer, but he would not turn his blessed face.
حضرت سعید بن مسیب فرماتے ہیں کہ نبی پاک حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نماز میں آنکھیں گما کر دیکھتے تھے لیکن چہرہ مبارک نہ پھیرتے تھے۔
Hazrat Saeed bin Musayyab farmate hain keh Nabi Pak Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) namaz mein aankhen gama kar dekhte thay lekin chehra mubarak na phirte thay.
Hazrat Ibrahim used to say that if the Imam makes a mistake in prayer and he is not aware of it, then he should turn back and inform the person standing behind him.
حضرت ابراہیم فرمایا کرتے تھے کہ اگر امام کو نماز میں سہو ہوجائے اور اسے اس کے بارے میں علم نہ ہو تو پیچھے مڑ کر اپنے پیچھے کھڑے شخص کو معلوم کرلے۔
Hazrat Ibrahim farmaya karte thay keh agar imam ko namaz mein sahu hojae aur usay uske baray mein ilm na ho to peechay mud kar apnay peechay kharay shakhs ko maloom karlay.
Hazrat Muawiyah bin Qarah narrates that it was said to Hazrat Ibn Umar that when Hazrat Ibn Zubair stands in prayer, he neither looks here and there nor moves. Hazrat Ibn Umar said that but we do look here and there and also move.
حضرت معاویہ بن قرہ کہتے ہیں کہ حضرت ابن عمر سے کہا گیا کہ حضرت ابن زبیر جب نماز میں کھڑے ہوتے ہیں تو نہ ادھر ادھر دیکھتے ہیں اور نہ حرکت کرتے ہیں۔ حضرت ابن عمر نے فرمایا کہ لیکن ہم تو ادھر ادھر دیکھتے بھی ہیں اور حرکت بھی کرتے ہیں۔
Hazrat Muawiya bin Qura kehte hain ke Hazrat Ibn Umar se kaha gaya ke Hazrat Ibn Zubair jab namaz mein kharay hote hain to na idhar udhar dekhte hain aur na harkat karte hain. Hazrat Ibn Umar ne farmaya ke lekin hum to idhar udhar dekhte bhi hain aur harkat bhi karte hain.
Hazrat Ibrahim said that if the Imam makes a mistake and does not know how many rakats he has prayed, he should look at the person standing behind him and see what he is doing.
حضرت ابراہیم فرماتے ہیں کہ اگر امام کو سہو ہوجائے اور اسے معلوم نہ ہوسکے کہ کتنی نماز پڑھ چکا ہے تو اپنے پیچھے کھڑے شخص کو دیکھ لے کہ وہ کیا کرتا ہے۔
Hazrat Ibrahim farmate hain keh agar imam ko saho hojae aur use maloom na hosake keh kitni namaz parh chuka hai to apne peeche kharay shakhs ko dekh le keh woh kya karta hai