Hazrat Umm Hani narrates that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) came to my house on the day of the conquest of Makkah. I had kept water for you. You took a bath and then offered eight rak'ahs of Chasht prayer. I never saw you praying that prayer before or after that day.
حضرت ام ہانی فرماتی ہیں کہ نبی (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) فتح مکہ کے دن میرے گھر تشریف لائے، میں نے آپ کے لیے پانی رکھا، آپ نے غسل فرمایا پھر چاشت کی آٹھ رکعات ادا فرمائیں۔ میں نے اس دن سے پہلے اور بعد میں کبھی آپ کو وہ نماز پڑھتے نہیں دیکھا۔
Hazrat Umme Hani farmati hain ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Fath Makkah ke din mere ghar tashreef laaye, main ne aap ke liye pani rakha, aap ne ghusl farmaya phir chasht ki aath rakat ada farmaein. Main ne uss din se pehle aur baad mein kabhi aap ko woh namaz parhte nahi dekha.
Hazrat Ibn Abi Layla (R.A) narrates that no one except Hazrat Umm Hani (R.A) informed us about the Chast prayer of the Holy Prophet (PBUH). Hazrat Umm Hani (R.A) states that on the day of the conquest of Makkah, the Prophet (PBUH) came to my house. He took a bath and then offered eight rak'ahs of Chast prayer. He shortened the bowing and prostration in these rak'ahs. I never saw him offering that prayer before or after that day.
حضرت ابن ابی لیلیٰ فرماتے ہیں کہ حضرت ام ہانی کے علاوہ ہمیں کسی نے حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کی چاشت کی نماز کے بارے میں نہیں بتایا، وہ فرماتی ہیں کہ نبی (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) فتح مکہ کے دن میرے گھر تشریف لائے، آپ نے غسل فرمایا پھر چاشت کی آٹھ رکعات ادا فرمائیں، ان رکعات میں آپ نے رکوع و سجود کو مختصر فرمایا۔ میں نے اس دن سے پہلے اور بعد میں کبھی آپ کو وہ نماز پڑھتے نہیں دیکھا۔
Hazrat Ibn e Abi Laila farmate hain ke Hazrat Umm e Hani ke ilawa hamen kisi ne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Chast ki namaz ke bare mein nahin bataya, woh farmati hain ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Fath Makkah ke din mere ghar tashreef laaye, aap ne ghusal farmaya phir Chast ki aath rakat ada farmain, in rakaat mein aap ne ruku o sijda ko mukhtasar farmaya. Maine us din se pehle aur baad mein kabhi aap ko woh namaz parhte nahin dekha.
Hazrat Ibn Abi Layla narrates, "I have met people who had complete knowledge of religious matters. Except for Hazrat Umm Hani, no one told me about Chast prayer. She told me that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) used to offer eight rak'ahs of Chast prayer."
حضرت ابن ابی لیلیٰ فرماتے ہیں کہ میں نے ایسے لوگوں کی زیارت کی ہے جو دین کے معاملات کا پورا پورا علم رکھتے تھے۔ حضرت ام ہانی کے علاوہ کسی نے مجھے چاشت کی نماز کے بارے میں نہیں بتایا، انھوں نے بتایا کہ آپ حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے چاشت کی آٹھ رکعات ادا کی ہیں۔
Hazrat Ibn e Abi Laila farmate hain ke maine aise logon ki ziarat ki hai jo deen ke mamlaat ka poora poora ilm rakhte thay. Hazrat Umm e Hani ke ilawa kisi ne mujhe chast ki namaz ke bare mein nahi bataya, unhon ne bataya ke aap Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne chast ki aath rakat ada ki hain.
It is narrated from Hazrat Umm Hani (may Allah be pleased with her) that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) used to offer eight rak'ahs of Chasht prayer.
حضرت ام ہانی سے روایت ہے کہ نبی (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے چاشت کی آٹھ رکعات ادا فرمائی ہیں۔
Hazrat Umm Hani se riwayat hai keh Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Chast ki aath rakat ada farmaie hain.
The grandmother of Ibn Rameethah said: "I went to Hazrat Aisha while she was offering Chast prayer. She offered eight rak'ahs."
حضرت ابن رمیثہ کی دادی فرماتی ہیں کہ میں حضرت عائشہ کی خدمت میں حاضر ہوئی وہ چاشت کی نماز پڑھ رہی تھیں، انھوں نے آٹھ رکعات ادا فرمائیں۔
Hazrat Ibn Rameesa ki dadi farmati hain keh mein Hazrat Ayesha ki khidmat mein hazir hui woh chast ki namaz parh rahi thin, unhon ne aath rakat ada farmaein.
Hazrat Saeed bin Musayyab narrates that I was sitting behind Hazrat Saad bin Malik. He was offering Chasht prayer. I counted, he offered eight rak'ahs. He sat only in the last rakah and in it he recited tashahhud, then said salam and finished the prayer.
حضرت سعید بن مرجانہ فرماتے ہیں کہ میں حضرت سعد بن مالک کے پیچھے بیٹھا تھا وہ چاشت کی نماز پڑھ رہے تھے۔ میں نے گنا انھوں نے آٹھ رکعات ادا کیں۔ وہ صرف آخری رکعت میں بیٹھے اور اس میں انھوں نے تشہد پڑھ کر سلام پھیرا اور نماز کو مکمل کیا۔
Hazrat Saeed bin Murjanah farmate hain keh main Hazrat Saad bin Malik ke peeche baitha tha woh chast ki namaz parh rahe thay maine gina unhon ne aath rakat ada keen woh sirf akhri rakat mein baithe aur us mein unhon ne tashahhud parh kar salam pheira aur namaz ko mukammal kiya
Hazrat Ramitha says that I went to Hazrat Aisha's room where she was alone. I saw that she had offered eight rak'ahs of Chasht prayer.
حضرت رمیثہ کہتی ہیں کہ میں حضرت عائشہ کے ایک کمرے میں حاضر ہوئی جس میں وہ اکیلی تھی۔ میں نے دیکھا کہ انھوں نے چاشت کی آٹھ رکعات ادا فرمائیں۔
Hazrat Ramisha kehti hain keh mein Hazrat Ayesha ke aik kamare mein hazir hui jis mein woh akeli thi. Maine dekha keh unhon ne chast ki aath rakat ada farmain.
Hazrat Umm Salama used to offer eight rak'ahs of Chast (prayer) while sitting. Someone told her that Hazrat Aisha only prays four rak'ahs. She replied that Aisha is a young woman.
حضرت ام سلمہ بیٹھ کر چاشت کی آٹھ رکعات ادا کیا کرتی تھیں۔ ان سے کسی نے کہا کہ حضرت عائشہ تو چار رکعات پڑھتی ہیں۔ انھوں نے فرمایا کہ عائشہ تو ایک جوان عورت ہے۔
Hazrat Umm e Salma beth kar chast ki aath rakat ada kya karti thin. Un se kisi ne kaha ke Hazrat Ayesha to chaar rakat parhti hain. Unhon ne farmaya ke Ayesha to aik jawan aurat hai.
Hazrat Huzaifa narrates that I went with the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) to the area of Banu Muayyah. You offered eight rak'ahs of Chasht prayer there and recited them in length.
حضرت حذیفہ فرماتے ہیں کہ میں نبی (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے ساتھ بنو معاویہ کے علاقے میں آیا۔ آپ نے وہاں چاشت کی آٹھ رکعات ادا فرمائیں اور انھیں لمبا کرکے پڑھا۔
Hazrat Huzaifa farmate hain ke mein Nabi (SAW) ke sath Banu Muawiya ke ilaqe mein aaya. Aap ne wahan chasht ki aath rakat ada farmain aur unhen lamba karke parha.
Hazrat Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) narrated that my beloved Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) ordered me to pray two rak'ahs of Chast prayer.
حضرت ابوہریرہ فرماتے ہیں کہ مجھے میرے خلیل حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے چاشت کی دو رکعتیں پڑھنے کا حکم دیا ہے۔
Hazrat Abu Huraira farmate hain ke mujhe mere khalil Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne chast ki do rakat namaz parhne ka hukum diya hai.