It is narrated from Hazrat Ikrama that a person asked Hazrat Ibn Abbas: Can a Muhrim ride a camel? He said: Without putting a load on it, it is permissible. The person asked: Can he extract its milk? He said: He can extract it without putting it through hardship.
حضرت عکرمہ سے مروی ہے کہ ایک شخص نے حضرت ابن عباس سے عرض کیا کہ محرم اونٹ پر سوار ہوسکتا ہے ؟ آپ نے فرمایا کہ بغیر بوجھ ڈالے اس پر ہوسکتا ہے، اس شخص نے عرض کیا کہ اس کا دودھ نکال سکتا ہے ؟ آپ نے فرمایا کہ بغیر مشقت میں ڈالے نکال سکتا ہے۔
Hazrat Akarma se marvi hai keh aik shakhs ne Hazrat Ibn Abbas se arz kiya keh muhrim oont par sawar ho sakta hai? Aap ne farmaya keh baghair bojh dale is par ho sakta hai, is shakhs ne arz kiya keh iska doodh nikal sakta hai? Aap ne farmaya keh baghair mashaqqat mein dale nikal sakta hai.
It is narrated from Hazrat Hamid that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) saw a man driving a camel (of Hady). The Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: Ride on it. The man said: This is the camel of Hady. The Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: (It doesn't matter) Ride on it.
حضرت حمید سے مروی ہے کہ حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ایک شخص کو دیکھا کہ وہ (ھدی کا) اونٹ ہانک کرلے جارہا ہے، آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا : اس پر سوار ہو جاؤ، اس شخص نے عرض کیا یہ ھدی کا اونٹ ہے، آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا (کوئی بات نہیں) سوار ہو جاؤ۔
Hazrat Hamid se marvi hai ki Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne aik shakhs ko dekha ki woh (Hady ka) unt hank kar le jaraha hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya : Iss par sawar ho jao, Iss shakhs ne arz kiya yeh Hady ka unt hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya (Koi baat nahi) sawar ho jao.
It is narrated from Hazrat Jabir that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: Ride the sacrificial animal in a good manner until you find another ride.
حضرت جابر سے مروی ہے کہ حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا : ھدی کے جانور پر اچھے طریقے سے سواری کرو یہاں تک کہ تم کوئی اور سواری پالو۔
Hazrat Jabir se marvi hai keh Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya: Hadi ke janwar par achhe tarike se sawari karo yahan tak keh tum koi aur sawari pa lo.
Hazrat Mujahid says that the meaning of the verse of the Holy Quran { لَكُمْ فِیْھَا مَنَافِعُ اِلٰٓی اَجَلٍ مُّسَمًّے } is its milk, its back and its wool, until its name is kept as Bahirah. So when its name is kept as Bahirah then its place and stay is the house of Kaba.
حضرت مجاہد فرماتے ہیں کہ قرآن پاک کی آیت { لَکُمْ فِیْھَا مَنَافِعُ اِلٰٓی اَجَلٍ مُّسَمًّے } سے مراد اس کا دودھ، اس کی پیٹھ اور اس کی اون ہے، یہاں تک کہ اس کا نام بدنہ رکھا جائے، پس جب اس کا نام بدنہ رکھ دیا جائے تو اس کا محل اور قیام کی جگہ خانہ کعبہ ہے۔
Hazrat Mujahid farmate hain keh Quran Pak ki ayat { lakum feeha manafieu ila ajalinn musamman } se murad is ka doodh, is ki peeth aur is ki oon hai, yahan tak keh is ka naam badana rakha jaye, pas jab is ka naam badana rakh diya jaye to is ka mahal aur qayam ki jagah khana kaaba hai.
Hazrat Anas said to a person, "Ride on it." He said, "Is this the animal of Huda?" He said, "Ride on it without putting it in hardship."
حضرت انس نے ایک شخص سے فرمایا کہ اس پر سوار ہوجا، اس نے عرض کیا کہ یہ ھدی کا جانور ہے ؟ آپ نے ارشاد فرمایا کہ بغیر مشقت میں ڈالے سوار ہوجا۔
Hazrat Anas ne aik shakhs se farmaya keh iss par sawar ho ja, uss ne arz kiya keh yeh hadi ka janwar hai? Aap ne irshad farmaya keh baghair mashaqqat mein daale sawar ho ja.
Hazrat Urwa said that when you are in need of riding it, ride it without putting it in hardship, and drink the milk that is left over from its young.
حضرت عروہ فرماتے ہیں کہ جب اس پر سواری کی حاجت ہو تو بغیر مشقت میں ڈالے اس پر سواری کرلو، اور اس کے بچے سے بچا ہوا جو دودھ ہو اس کو پی لو۔
Hazrat Urwah farmate hain ke jab is par sawari ki hajat ho to baghair mashaqqat mein dale is par sawari karlo, aur is ke bachay se bacha hua jo doodh ho us ko pee lo.
It is narrated on the authority of Hadrat Abu Hurairah that the Messenger of Allah (peace be upon him) saw a man driving an animal of sacrifice. You (peace be upon him) said: "Ride on it." The man said: "This is an animal of sacrifice." You (peace be upon him) said: "Even though it is an animal of sacrifice (still) ride on it."
حضرت ابوہریرہ سے مروی ہے کہ حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ایک شخص کو دیکھا جو ھدی کا جانور ہانک کرلے جا رہا تھا، آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ اس پر سوار ہو جاؤ، اس شخص نے عرض کیا کہ یہ ھدی کا جانور ہے، آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ اگرچہ ھدی کا جانور ہے (پھر بھی) سوار ہو جاؤ۔
Hazrat Abu Huraira se marvi hai keh Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne aik shakhs ko dekha jo Hadi ka janwar hank kar le ja raha tha, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh is par sawar ho jao, is shakhs ne arz kiya keh yeh Hadi ka janwar hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh agarcheh Hadi ka janwar hai (phir bhi) sawar ho jao.
It is narrated on the authority of Hadrat Abu Hurairah that you (peace and blessings of Allah be upon him) saw a person who was driving an animal of sacrifice, so you (peace and blessings of Allah be upon him) said to him, "Ride on it." He said, "This is an animal of sacrifice." You (peace and blessings of Allah be upon him) said, "May Allah have mercy on you, ride on it."
حضرت ابوہریرہ سے مروی ہے کہ آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ایک شخص کو دیکھا جو ھدی کا جانور ہانک کرلے جا رہا ہے، آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ اس پر سوار ہو جاؤ، اس شخص نے عرض کیا کہ یہ ھدی کا جانور ہے، آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا اللہ تجھ پر رحم کرے سوار ہوجا۔
Hazrat Abu Huraira se marvi hai keh aap ne aik shakhs ko dekha jo hadi ka janwar hank kar le ja raha hai aap ne irshad farmaya keh is par sawar ho jao is shakhs ne arz kiya keh yeh hadi ka janwar hai aap ne irshad farmaya Allah tujh par reham kare sawar ho ja
Hazrat Mujahid Irshad says that when there is a need for the milk of the sacrificial animal, use it, when there is a need to ride it, then ride it and when there is a need for its wool, then shear its wool.
حضرت مجاہد ارشاد فرماتے ہیں کہ جب ھدی کے جانور کے دودھ کی ضرورت پڑے تو استعمال کرے، جب اس پر سواری کی ضرورت ہو تو سوار ہوجائے اور جب اس کے اون کی ضرورت ہو تو اس کا اون اتار لے۔
Hazrat Mujahid irshad farmate hain keh jab hadi ke janwar ke doodh ki zaroorat parre to istemal kare, jab is par sawari ki zaroorat ho to sawar ho jaye aur jab is ke oon ki zaroorat ho to is ka oon utar le.
It is narrated from Hazrat Ata that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) has granted permission that if there is a need to ride the sacrificial animal, then ride it.
حضرت عطائ سے مروی ہے کہ حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے اجازت دی ہے کہ اگر ھدی کے جانور پر سوار ہونے کی ضرورت پڑے تو اس پر سوار ہو جاؤ۔
Hazrat Ata se marvi hai ki Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ijazat di hai ki agar hadi ke janwar par sawar hone ki zaroorat pade to us par sawar ho jao.
Hazrat Amir instructs: "Do not ride the camel of Huda, nor place any burden on it except in a dire situation where there is no other option. Also, do not consume its milk unless your child is about to die; in that case, it is permissible."
حضرت عامر ارشاد فرماتے ہیں کہ ھدی کے اونٹ پر سوار نہ ہو اور نہ ہی اس پر بوجھ لاد مگر یہ کہ بہت مجبوری ہو جس کے بغیر کوئی چارہ نہ ہو، اور اس کا دودھ مت استعمال کر ہاں اگر تیرا زاد راہ ختم ہوجائے تو پھر اجازت ہے۔
Hazrat Amir irshad farmate hain keh Huda ke unt par sawar na ho aur na hi is par bojh laad magar yeh keh bohat majboori ho jis ke baghair koi chara na ho, aur is ka doodh mat istemaal kar haan agar tera zad rah khatam ho jae to phir ijazat hai.
Abdullah narrated that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said about a man who married his slave girl after freeing her, that he is like one who rides his sacrificial animal.
حضرت عبداللہ نے اس شخص کے متعلق ارشاد فرمایا جس نے اپنی باندی کو آزاد کر کے اس کے ساتھ شادی کرلی کہ وہ اس شخص کی طرح ہے جو اپنے ھدی کے اونٹ پر سواری کرے۔
Hazrat Abdullah ne is shakhs ke mutaliq irshad farmaya jis ne apni bandi ko aazaad kar ke uske sath shadi karli ke wo us shakhs ki tarah hai jo apne hadi ke unt par sawari kare.
It was asked of Hazrat Ibn Umar that if a man frees his slave girl and then marries her? He said that this is like a person riding his sacrificial camel.
حضرت ابن عمر سے دریافت کیا گیا کہ اگر کوئی شخص اپنی باندی کو آزاد کر کے پھر اس کے ساتھ شادی کرلے ؟ فرمایا کہ یہ اس شخص کی طرح ہے جو اپنے ھدی کے اونٹ پر سواری کرے۔
Hazrat Ibn Umar se daryaft kiya gaya keh agar koi shakhs apni bandi ko azad kar ke phir us ke sath shadi kar le? Farmaya keh yeh us shakhs ki tarah hai jo apne haddi ke unt par sawari kare.