A man came to Hadhrat Salim and said that I have seen a man with my wife. He said that after seeing this, how can your relationship with her remain valid now? Hazrat Salim did not declare the woman forbidden to the man.
حضرت سالم کے پاس ایک آدمی آیا اور اس نے کہا کہ میں نے اپنی بیوی کے ساتھ ایک آدمی کو دیکھا ہے۔ انھوں نے فرمایا کہ یہ دیکھنے کے بعد اب اس کے ساتھ تمہارا معاملہ درست کیسے رہ سکتا ہے ؟ حضرت سالم نے اس عورت کو مرد پر حرام قرار نہیں دیا۔
Hazrat Salem ke paas aik aadmi aaya aur us ne kaha ke maine apni biwi ke sath aik aadmi ko dekha hai. Unhon ne farmaya ke yeh dekhne ke baad ab is ke sath tumhara mamla durust kaise reh sakta hai? Hazrat Salem ne is aurat ko mard par haram qarar nahi diya.
Hazrat Mak'hul narrates that when a man sees his wife committing adultery, it is not lawful for him to keep her with him and when a woman sees her husband committing adultery, it is not lawful for her to live with him.
حضرت مکحول فرماتے ہیں کہ جب کوئی شخص اپنی بیوی کو زنا میں مبتلا دیکھے تو اس کے لیے اسے اپنے پاس رکھنا حلال نہیں اور جب کوئی عورت اپنے خاوند کو زنا میں مبتلا دیکھے تو اس کے لیے اس کے پاس رہنا حلال نہیں۔
Hazrat Makhool farmate hain keh jab koi shakhs apni biwi ko zina mein mubtala dekhe to uske liye use apne pass rakhna halal nahi aur jab koi aurat apne khawind ko zina mein mubtala dekhe to uske liye uske pass rehna halal nahi.
Hazrat Abdullah bin Shaddad narrates that once I was sitting with Hazrat Abdullah bin Abbas (R.A) near the well of Zamzam. A man came to him and said that he had forced his wife to abort her child because the woman was claiming that she had committed adultery. Hazrat Ibn Abbas (R.A) said to him, "You have done a very bad thing. Because if you have also done the same thing that she is confessing to herself, then keep her as your wife, and if you have not done such a thing, then leave her way."
حضرت عبداللہ بن شداد فرماتے ہیں کہ میں ایک مرتبہ حضرت عبداللہ بن عباس (رض) کے ساتھ بئر زمزم کے پاس بیٹھا تھا۔ ان کے پاس ایک آدمی آیا اور اس نے کہا کہ اس نے اپنی بیوی کو بچہ ضائع کرنے پر مجبور کیا کیونکہ اس عورت کا کہنا تھا کہ اس نے بدکاری کی ہے۔ حضرت ابن عباس (رض) نے اس سے فرمایا کہ تم نے بہت برا کیا۔ کیونکہ اگر تم نے بھی اس جیسا کام کیا ہے جس کا وہ اپنے لیے اقرار کررہی ہے تو اسے اپنی بیوی بنا کر رکھو اور اگر تم نے ایسا کام نہیں کیا تو اس کا راستہ چھوڑ دو ۔
Hazrat Abdullah bin Shadad farmate hain keh main ek martaba Hazrat Abdullah bin Abbas (RA) ke sath beer e Zamzam ke pass betha tha. Un ke pass ek aadmi aaya aur us ne kaha ke us ne apni biwi ko bachcha zaya karne per majboor kya kyunki us aurat ka kehna tha ke us ne badkari ki hai. Hazrat Ibn Abbas (RA) ne us se farmaya ke tum ne bohot bura kya. Kyunki agar tum ne bhi aisa hi kaam kya hai jis ka wo apne liye iqrar kar rahi hai to usay apni biwi bana kar rakho aur agar tum ne aisa kaam nahi kya to is ka rasta chhor do.
Hazrat Ibn Abbas (R.A) narrates that once a man came to the Holy Prophet (PBUH) and said that I have a wife whom I love more than everyone else, she is not of good character. What is the command for me regarding her? You (PBUH) said, "Divorce her." He said, "I can't live without her either." You (PBUH) said, "Then keep benefiting from her.
حضرت ابن عباس (رض) فرماتے ہیں کہ ایک مرتبہ ایک آدمی نبی پاک (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کی خدمت میں حاضر ہوا اور اس نے عرض کیا کہ میری ایک بیوی ہے جو مجھے سب لوگوں سے زیادہ محبوب ہے، وہ درست کردار کی حامل نہیں۔ اس کے بارے میں میرے لیے کیا حکم ہے ؟ آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے فرمایا کہ اس کو طلاق دے دو ۔ اس نے کہا میں اس کے بغیر رہ بھی نہیں سکتا۔ آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے فرمایا کہ پھر اس سے فائدہ اٹھاتے رہو۔
Hazrat Ibn Abbas (RA) farmate hain ke aik martaba aik aadmi Nabi Pak (SAWW) ki khidmat mein hazir hua aur us ne arz kiya ke meri aik biwi hai jo mujhe sab logon se ziada mahboob hai, woh durust kirdar ki hamil nahi. Uske bare mein mere liye kya hukum hai? Aap (SAWW) ne farmaya ke usko talaq de do. Usne kaha mein uske baghair reh bhi nahi sakta. Aap (SAWW) ne farmaya ke phir us se faidah uthate raho.