Hazrat Abdullah bin Samit narrates that when Hazrat Abu Dhar went to Rabdah, the governor there was an Abyssinian slave. When the time for prayer came, Hazrat Abu Dhar instructed him to lead the prayer.
حضرت عبداللہ بن صامت فرماتے ہیں کہ حضرت ابو ذر ربذہ تشریف لائے تو وہاں کا گورنر ایک حبشی غلام تھا، جب نماز کا وقت ہوا تو حضرت ابوذر نے اسے نماز کے لیے آگے بڑھنے کا حکم فرمایا۔
Hazrat Abdullah bin Samat farmate hain keh Hazrat Abu Zar Rabza tashreef laye to wahan ka governor ek Habshi ghulam tha, jab namaz ka waqt hua to Hazrat Abuzar ne use namaz ke liye aage barhne ka hukum farmaya.
Hazrat Abu Saeed Mauli Abi Asid narrates that I was a slave. When I got married, I invited some companions of the Prophet, including Hazrat Abu Dharr, Hazrat Ibn Masud, and Hazrat Huzaifa. When the time for prayer came, Hazrat Abu Dharr came forward, so Hazrat Abdullah bin Masud said to him, "Please step back." He asked, "Really?" Hazrat Abdullah said, "Yes." Then he asked me to lead, and I, despite being a slave, led them in prayer.
حضرت ابو سعید مولی ابی اسید کہتے ہیں کہ میں ایک غلام تھا، جب میری شادی ہوئی تو میں نے کچھ صحابہ کرام کی دعوت کی جن میں حضرت ابو ذر، حضرت ابن مسعود اور حضرت حذیفہ بھی تھے۔ جب نماز کا وقت ہوا تو حضرت ابو ذر آگے ہوئے تو حضرت عبداللہ بن مسعود نے ان سے کہا کہ آپ پیچھے تشریف لے آئیے۔ انھوں نے کہا کیا واقعی ؟ حضرت عبداللہ نے فرمایا ہاں۔ پھر انھوں نے مجھے آگے کیا اور میں نے غلام ہونے کے باوجود انھیں نماز پڑھائی۔
Hazrat Abu Saeed moli Abi Usaid kehte hain ke main ek ghulam tha, jab meri shadi hui to maine kuch sahaba kiram ki dawat ki jin mein Hazrat Abu Zar, Hazrat Ibn Masood aur Hazrat Huzaifa bhi thay. Jab namaz ka waqt hua to Hazrat Abu Zar aagey huye to Hazrat Abdullah bin Masood ne un se kaha ke aap peeche tasreef le aaiye. Unhon ne kaha kya waqai ? Hazrat Abdullah ne farmaya haan. Phir unhon ne mujhe aagey kiya aur maine ghulam hone ke bawajood unhen namaz parhai.
Hazrat Dawood bin Haseen says that Hazrat Abu Sufyan was a slave who was a scribe and used to lead the prayers for Banu Abd al-Ash'al. Among them were some companions of the Prophet, including Muhammad bin Muslimah and Salmah bin Salamah. Once, the people wanted to remove him from the position of Imam, but these two gentlemen, after hearing his recitation, said, "Can someone like him be removed from the Imamat?"
حضرت داؤد بن حصین کہتے ہیں کہ حضرت ابو سفیان ایک مکاتب غلام تھے اور بنو عبد الاشہل کی امامت کیا کرتے تھے۔ ان میں کچھ صحابہ کرام بھی تھے جیسے محمد بن مسلمہ اور سلمہ بن سلامہ۔ ایک مرتبہ لوگوں نے انھیں امامت سے ہٹانا چاہا تو ان دونوں حضرات نے ان کی قراءت سن کر فرمایا کہ کیا ان جیسے لوگوں کو امامت سے ہٹایا جاسکتا ہے۔
Hazrat Dawood bin Haseen kehte hain ke Hazrat Abu Sufiyan aik maktab gulam thay aur Banu Abd ul Ashal ki imamat kiya karte thay. Un mein kuch sahaba kiram bhi thay jaise Muhammad bin Muslimah aur Salmah bin Salamah. Aik martaba logon ne unhein imamat se hatana chaha to un donon hazrat ne unki qirat sun kar farmaya ke kya un jaise logon ko imamat se hataya ja sakta hai.
Hazrat Abdullah bin Ubaydullah bin Abi Malika narrates that my father, Hazrat Ubayd bin Umair, Hazrat Masrur bin Mukhram and many other people would visit Hazrat Aisha. A slave of Hazrat Aisha, Abu Amr, used to lead them in prayer. Abu Amr was a slave at that time; he had not been freed yet.
حضرت عبداللہ بن عبید اللہ بن ابی ملیکہ فرماتے ہیں کہ میرے والد، حضرت عبید بن عمیر، حضرت مسور بن مخرمہ اور دوسرے بہت سے لوگ حضرت عائشہ کی خدمت میں حاضر ہوتے۔ حضرت عائشہ کے ایک مولیٰ ابو عمرو انھیں نماز پڑھایا کرتے تھے۔ ابو عمرو اس وقت تک غلام تھے ابھی تک آزاد نہیں ہوئے تھے۔
Hazrat Abdullah bin Ubaidullah bin Abi Malika farmate hain ke mere walid Hazrat Ubaid bin Umair, Hazrat Masroor bin Mukhrama aur dusre bahut se log Hazrat Ayesha ki khidmat mein hazir hote. Hazrat Ayesha ke ek moula Abu Amro unhen namaz parhaya karte the. Abu Amro us waqt tak ghulam the abhi tak azad nahi huye the.
The master said that a slave has been leading us in prayer in this mosque for forty years, and Hazrat Shuraih also used to pray in this mosque.
حضرت حکم فرماتے ہیں کہ ہمیں اس مسجد میں ایک غلام چالیس سال تک نماز پڑھاتا رہا ہے، اس مسجد میں حضرت شریح بھی نماز پڑھا کرتے تھے۔
Hazrat hukum farmate hain ke humain is masjid mein aik ghulam chalis saal tak namaz parhata raha hai, is masjid mein Hazrat Shuraih bhi namaz parha karte thay.
Hazrat Amr bin Maseerah narrates that Hazrat Hassan bin Ali once led the prayer in a room in his house, with his family members behind him. In this particular prayer, a slave of Hazrat Hassan's stood directly behind him in the same row.
حضرت عمرو بن میسرہ کہتے ہیں کہ حضرت حسن بن علی نے اپنے ایک غلام کے پیچھے اپنے گھر والوں کے ساتھ ایک کمرے میں نماز پڑھی۔
Hazrat Amr bin Maisra kehte hain ke Hazrat Hassan bin Ali ne apne ek ghulam ke peeche apne ghar walon ke sath ek kamre mein namaz parhi.
Hazrat Zahak said that if there is a free man among the worshipers, then do not make a slave the Imam, and if there is a Hajji among them, then a non-Hajji should not lead the prayer.
حضرت ضحاک فرماتے ہیں کہ اگر نمازیوں میں کوئی آزاد ہو تو غلام امامت نہ کرائے اور اگر ان میں کوئی حاجی ہو تو غیر حاجی نماز نہ پڑھائے۔
Hazrat Dahak farmate hain keh agar namazion mein koi azad ho to ghulam imamat na karae aur agar in mein koi haji ho to ghair haji namaz na parhaae.
Hazrat Abu Sufyan states that I went to the place of Yanbu with Hazrat Abdullah bin Ja'far, Hazrat Husain bin Ali and Hazrat Ibn Abi Ahmad, when it was time for prayer, they put me forward and I led them in prayer.
حضرت ابو سفیان فرماتے ہیں کہ میں حضرت عبداللہ بن جعفر، حضرت حسین بن علی اور حضرت ابن ابی احمد کے ساتھ مقام ینبع کی طرف گیا، جب نماز کا وقت ہوا تو انھوں نے مجھے آگے کیا اور میں نے انھیں نماز پڑھائی۔
Hazrat Abu Sufyan farmate hain keh main Hazrat Abdullah bin Jaffar, Hazrat Hussain bin Ali aur Hazrat Ibn e Abi Ahmed ke sath maqam Yanbu ki taraf gaya, jab namaz ka waqt hua to unhon ne mujhe aage kiya aur maine unhen namaz parhayi.