Hazrat Amir bin Rabee'ah (R.A) narrates that I heard from the Prophet (peace be upon him) that he (peace be upon him) said: When you see a funeral procession, stand up until it passes by you or it is laid down.
حضرت عامر بن ربیعہ فرماتے ہیں کہ مجھے نبی کریم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) سے یہ بات پہنچی ہے کہ آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا : جب تم جنازہ گزرتے ہوئے دیکھو تو کھڑے ہو جاؤ یہاں تک کہ وہ تمہیں پیچھے چھوڑ (کر آگے نکل جائے) یا وہ رکھ دیا جائے۔
Hazrat Amir bin Rabia farmate hain keh mujhe Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se yeh baat pahunchi hai keh aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya: Jab tum janaza guzarte huye dekho to kharay ho jao yahan tak keh woh tumhein peeche chhor (kar aage nikal jaye) ya woh rakh diya jaye.
It is narrated on the authority of Abu Huraira that a funeral procession passed by the Messenger of Allah (ﷺ), so he (ﷺ) stood up and said to his companions: "Stand up, for indeed there is fear and terror in death."
حضرت ابوہریرہ سے مروی ہے کہ حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے پاس سے ایک جنازہ گزرا تو آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کھڑے ہوگئے اور اپنے ساتھ والوں سے فرمایا : کھڑے ہو جاؤ بیشک موت کے لیے خوف اور گھبراہٹ ہے۔
Hazrat Abu Huraira se marvi hai ke Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke pass se ek janaza gujra to aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) khare ho gaye aur apne sath walon se farmaya: khare ho jao beshak mout ke liye khauf aur ghabrahat hai.
Narrated Abu Hurairah: I went out with the Prophet (ﷺ) and he passed by a funeral procession of a Jew. The people stood up and the Prophet (ﷺ) also stood up and we too stood up along with him. I said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! Is he not a Jew?" He (ﷺ) said, "Is he not a human being (created by Allah)?"
حضرت خارجہ بن زید اپنے چچا حضرت یزید بن ثابت سے روایت کرتے ہیں کہ وہ حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے ساتھ تشریف فرما تھے کہ ایک جنازہ نکلا، جب حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے اس کو دیکھا تو آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کھڑے ہوگئے اور آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے صحابہ بھی کھڑے ہوگئے اور جنازے کے گزرنے تک کھڑے رہے، میں نہیں سمجھتا کہ آپ کسی تکلیف یا جگہ کی تنگی کی وجہ سے کھڑے ہوئے ہوں، اور میرا خیال ہے کہ یہ یہودی مرد یا عورت کا جنازہ تھا ہم نے نبی (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) سے اس کھڑے ہونے کی وجہ دریافت نہ کی۔
Hazrat Kharija bin Zaid apne chacha Hazrat Yazid bin Sabit se riwayat karte hain ki woh Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath tashreef farma thay ki ek janaza nikla, jab Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne us ko dekha to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) kharay hogaye aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sahaba bhi kharay hogaye aur janaze ke guzarne tak kharay rahe, main nahin samajhta ki Aap kisi takleef ya jaga ki tangi ki waja se kharay huye hon, aur mera khayal hai ki yeh Yahodi mard ya aurat ka janaza tha hum ne Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is kharay hone ki waja daryaft na ki.
It is narrated on the authority of Hazrat Abu Musa that whenever a funeral procession would pass by the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him), he would stand up until it had passed.
حضرت ابو موسیٰ سے مروی ہے کہ حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے پاس سے جب کوئی جنازہ گزرتا تو آپ کھڑے ہوجاتے جب تک کہ وہ گزر نہ جاتا۔
Hazrat Abu Moosa se marvi hai keh Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke paas se jab koi janaza guzarta to aap kharay hojate jab tak keh woh guzar na jata.
It is narrated from Hazrat Abu Saeed that the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: When you see a funeral procession, stand up.
حضرت ابو سعید سے مروی ہے کہ حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا جب تم جنازہ دیکھو تو کھڑے ہو جاؤ۔
Hazrat Abu Saeed se marvi hai ki Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya jab tum janaza dekho to kharay ho jao
Hazrat Shabi narrates that once a funeral passed by Hazrat Abu Saeed. He stood up. The deceased's relative said, "Please sit down." He replied, "I have seen the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) standing up on seeing a funeral." Hearing this, Marwan also stood up.
حضرت شعبی فرماتے ہیں کہ حضرت ابو سعید کے پاس سے جنازہ گزرا تو آپ کھڑے ہوگئے، مروان نے کہا بیٹھ جائیے، آپ نے فرمایا کہ میں نے خود رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کو دیکھا کہ آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) جنازے کو دیکھ کر کھڑے ہوگئے یہ سن کر مروان بھی کھڑا ہوگیا۔
Hazrat Shabi farmate hain keh Hazrat Abu Saeed ke pass se janaza guzra to aap kharay hogaye, Marwan ne kaha baith jaiye, aap ne farmaya keh maine khud Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko dekha keh aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) janaze ko dekh kar kharay hogaye yeh sunkar Marwan bhi khara hogaya.
Hadrat Ibn Abi Layla relates that people said to Hadrat Ali that Hadrat Abu Musa passes judgment among you (what is your opinion)? He said: Yes, angels are with him, so stand up before them.
حضرت ابن ابی لیلیٰ فرماتے ہیں کہ لوگوں نے حضرت علی سے کہا کہ حضرت ابو موسیٰ اس کا حکم دیتے ہیں۔ (آپ کی کیا رائے ہے) آپ نے فرمایا : بیشک ملائکہ اس کے ساتھ ہوتے ہیں تم ان کے لیے کھڑے ہوجایا کرو۔
Hazrat Ibn e Abi Laila farmate hain ke logon ne Hazrat Ali se kaha ke Hazrat Abu Musa is ka hukum dete hain. (Aap ki kya rae hai) Aap ne farmaya : Beshak malaika is ke sath hote hain tum un ke liye kharay hoja karo.
Hazrat Abraham said that he does not know anyone other than Hazrat Umar bin Maimoon who would stand up when a funeral procession passed by (only Hazrat Umar used to stand up).
حضرت ابراہیم فرماتے ہیں کہ میں حضرت عمرو بن میمون کے علاوہ کسی کو نہیں جانتا کہ جس کے پاس سے جنازہ گزرتا ہو اور وہ کھڑا ہوجاتا ہو (صرف حضرت عمرو کھڑے ہوا کرتے تھے) ۔
Hazrat Ibrahim farmate hain keh mein Hazrat Amr bin Maimoon ke ilawa kisi ko nahi janta keh jis ke pass se janaza guzarta ho aur wo khara hojaata ho (sirf Hazrat Amr khare hua karte thay).
Hazrat Abu Bushar states that Hazrat Saeed bin Al-Musayyab and Hazrat Salem bin Abdullah were present when a funeral procession passed by them. Hazrat Salem stood up, but Hazrat Saeed did not.
حضرت ابو بشر فرماتے ہیں کہ حضرت سعید بن المسیب اور حضرت سالم بن عبداللہ حاضر تھے کہ ان کے پاس سے جنازہ گزرا، حضرت سالم کھڑے ہوگئے لیکن حضرت سعید کھڑے نہ ہوئے۔
Hazrat Abu Bashar farmate hain ke Hazrat Saeed bin Al-Musayyab aur Hazrat Salim bin Abdullah hazir thay ke unke paas se janaza guzra, Hazrat Salim kharay hogaye lekin Hazrat Saeed kharay na huye.
Hazrat Ja'far narrates from his father that Hazrat Hasan bin Ali was present when a funeral procession passed by them. When the procession passed by, the people stood up. Hazrat Hasan bin Ali said, "Once, a funeral procession of a Jew passed by the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) and he was in its path. He (peace and blessings of Allah be upon him) disliked that the funeral of a Jew should be higher than him, so he (peace and blessings of Allah be upon him) stood up."
حضرت جعفر اپنے والد سے روایت کرتے ہیں کہ حضرت حسن بن علی تشریف فرما تھے کہ آپ کے پاس سے جنازہ گزرا، جب جنازہ ان کے پاس سے گزرا تو لوگ کھڑے ہوگئے، حضرت حسن بن علی نے ارشاد فرمایا ایک دفعہ حضور اکرم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے پاس سے ایک یہودی کا جنازہ گزرا اور حضور (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) اس کے راستہ میں تشریف فرما تھے، آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے اس بات کو ناپسند فرمایا کہ یہودی کا جنازہ آپ کے سر سے بلند ہو چنانچہ آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کھڑے ہوگئے۔
Hazrat Jaffar apne walid se riwayat karte hain ke Hazrat Hassan bin Ali tashreef farma the ke aap ke paas se janaza guzra, jab janaza un ke paas se guzra to log kharay hogaye, Hazrat Hassan bin Ali ne irshad farmaya ek dafa Hazoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke paas se ek yahoodhi ka janaza guzra aur Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) us ke raaste mein tashreef farma the, aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is baat ko napasand farmaya ke yahoodhi ka janaza aap ke sar se buland ho chunancha aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) kharay hogaye.
Hazrat Ibn Abi Layla narrates that Hazrat Qais bin Saad and Hazrat Suhail bin Hanif were in Qadisiyyah. A funeral procession passed by you, so both of you stood up. You were told that this person is from the people of the earth (meaning he was not a Muslim). So they said that once a funeral procession passed by the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him). You (peace and blessings of Allah be upon him) stood up. You were told that this man was a Jew. You (peace and blessings of Allah be upon him) said: Was he not a human being?
حضرت ابن ابی لیلیٰ فرماتے ہیں کہ حضرت قیس بن سعد اور حضرت سھل بن حنیف قادسیہ میں تھے کہ آپ کے پاس سے جنازہ گزرا تو آپ دونوں حضرات کھڑے ہوگئے، آپ سے عرض کیا گیا یہ اہل ارض میں سے ہے (مسلمان نہیں ہے) تو انھوں نے فرمایا ایک بار حضور اقدس (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے پاس سے ایک جنازہ گزرا آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کھڑے ہوگئے، آپ کو کہا گیا یہ تو یہودی تھا، آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا : کیا یہ انسان نہیں ہے ؟۔
Hazrat Ibn e Abi Laila farmate hain ke Hazrat Qais bin Saad aur Hazrat Sahl bin Hanif Qadsia mein thay ke aap ke paas se janaza guzra to aap dono hazrat kharay hogaye, aap se arz kiya gaya yeh ahl e arz mein se hai (Musalman nahin hai) to unhon ne farmaya ek baar Huzoor Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke paas se ek janaza guzra aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) kharay hogaye, aap ko kaha gaya yeh to yahoodi tha, aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya : kya yeh insan nahin hai ?