What a man is commanded regarding his sitting posture
مَا يُؤْمَرُ بِهِ الرَّجُلُ فِي مَجْلِسِهِ
Musannaf Ibn Abi Shaybah 25527
Hazrat 'Amir narrated that Ibn 'Abbas said: 'Abbas said to me: "O my son! I see that the leader of the believers keeps you near him, consults you with the companions of the Messenger of Allah (ﷺ) and sits in privacy with you. So you should guard three things from my side. Beware that they may test you with a lie, and never divulge their secret, and never backbite anyone in front of them." The narrator said: I said: Each one of them is better than a thousand. He said: Rather better than ten thousand.
حضرت عامر فرماتے ہیں کہ حضرت ابن عباس نے ارشاد فرمایا : کہ حضرت عباس نے مجھ سے کہا : اے میرے بیٹے ! میں امیر المؤمنین کو دیکھتا ہوں کہ وہ تجھے اپنے قریب کرتے ہیں ، اور رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے اصحاب کے ساتھ تجھ سے بھی مشورہ طلب کرتے ہیں اور تیرے ساتھ خلوت کرتے ہیں پس تو میری طرف سے تین باتیں محفوظ کرلے۔ تم بچو اس بات سے کہ وہ تم پر جھوٹ کو آزمائیں اور تم ہرگز کبھی بھی ان کے راز کو فاش مت کرنا اور ان کے سامنے کبھی کسی کی غیبت مت کرنا۔ راوی کہتے ہیں میں نے حضرت ابن عباس سے عرض کیا کہ ان میں سے ہر ایک ایک ہزار سے بہتر ہے۔ آپ نے فرمایا : بلکہ دس ہزار سے بہتر ہے۔
Hazrat Aamir farmate hain ke Hazrat Ibn Abbas ne irshad farmaya: Ke Hazrat Abbas ne mujh se kaha: Aye mere bete! main ameer ul momineen ko dekhta hun ke wo tujhe apne qareeb karte hain, aur Rasool Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam) ke ashaab ke sath tujh se bhi mashwara talab karte hain aur tere sath khalwat karte hain pas tu meri taraf se teen baaten mahfooz kar le. tum bacho is baat se ke wo tum par jhoot ko azmain aur tum hargiz kabhi bhi un ke raaz ko faash mat karna aur un ke samne kabhi kisi ki ghaibat mat karna. Rawi kehte hain main ne Hazrat Ibn Abbas se arz kiya ke in mein se har ek ek hazaar se behtar hai. Aap ne farmaya: Balke das hazaar se behtar hai.
Hazrat Muhammad bin Shahab narrated that Hazrat Umar (May Allah be pleased with him) said: "Do not pursue that which does not benefit you, and beware of your enemy and your friend, except for the trustworthy one. Because there is nothing that can equal a trustworthy person in a nation. And do not befriend the wicked, because he will teach you from his wickedness. And do not disclose your secret to him. And seek counsel in your affairs from those who fear Allah Almighty."
حضرت محمد بن شھاب فرماتے ہیں کہ حضرت عمر نے ارشاد فرمایا؛ اس کام کے پیچھے مت پڑو جو تمہیں فائدہ نہ پہنچائے اور اپنے دشمن سے بچو اور اپنے دوست سے بچو سوائے امانت دار شخص کے۔ اس لیے کہ قوم میں سے امانت دار شخص کی برابری کوئی چیز نہیں کرسکتی اور بدکار کی صحبت اختیار مت کرو۔ اس لیے کہ وہ اپنی بدکاری میں سے تمہیں بھی سکھلا دے گا اور اس کے سامنے اپنے کسی راز کو فاش مت کرو اور اپنے معاملہ میں ان لوگوں سے مشورہ مانگو جو اللہ تعالیٰ سے ڈرتے ہیں۔
Hazrat Muhammad bin Shahab farmate hain keh Hazrat Umar ne irshad farmaya is kaam ke peeche mat parho jo tumhein faida na pohanchaye aur apne dushman se bacho aur apne dost se bacho siwaye amanat dar shakhs ke is liye keh qaum mein se amanat dar shakhs ki barabari koi cheez nahin karsakti aur badkar ki sohbat ikhtiyar mat karo is liye keh woh apni badkari mein se tumhein bhi sikhla dega aur uske samne apne kisi raaz ko faash mat karo aur apne mamle mein un logon se mashwara mango jo Allah Ta'ala se darte hain
Hazrat Ayub narrates that Hazrat Abu Qilaba said: "Do not tell your matter to one who is unaware of it. For he who is unaware of it will cause harm, and at the very least, will not benefit."
حضرت ایوب فرماتے ہیں کہ حضرت ابو قلابہ نے ارشاد فرمایا : تم اس شخص کو اپنی بات مت بتاؤ، جو اس کے بارے میں کچھ نہیں جانتا۔ اس لیے کہ جو اس معاملہ کے بارے میں کچھ نہیں جانتا وہ نقصان پہنچائے گا، اور کم ازکم کوئی فائدہ بھی نہیں پہنچائے گا۔
Hazrat Ayub farmate hain keh Hazrat Abu Kulaba ne irshad farmaya: Tum is shakhs ko apni baat mat batao, jo uske bare mein kuch nahin janta. Is liye keh jo is mamle ke bare mein kuch nahin janta woh nuqsaan pahunchaye ga, aur kam az kam koi faida bhi nahin pahunchaye ga.
Hazrat Anas narrates that I was with the children that Prophet Muhammad (peace and blessings of Allah be upon him) passed by us and you (peace and blessings of Allah be upon him) greeted us, then you (peace and blessings of Allah be upon him) sent me for some work and sat in the shade of the wall until I came to you (peace and blessings of Allah be upon him). I told you (peace and blessings of Allah be upon him) about the work. Then when I came to Hazrat Umm Sulaim, she said: What kept you today? I said that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) had sent me on an errand. She asked: What was the work? I said: Verily, it is the secret of the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him). You said: Keep the secret of the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him). Hazrat Anas says: I did not tell anyone about it.
حضرت انس فرماتے ہیں کہ میں بچوں کے ساتھ تھا کہ نبی کریم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) ہمارے پاس سے گزرے اور آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ہمیں سلام کیا، پھر آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے مجھے کسی کام کے لیے بھیج دیا اور دیوار کے سائے میں بیٹھ گئے یہاں تک میں آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے پاس آگیا ۔ میں نے آپ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کو اس کام کے بارے میں بتلایا۔ پھر جب میں حضرت ام سلیم کے پاس آیا تو انھوں نے کہا : آج کس بات نے تمہیں روکے رکھا ؟ میں نے کہا کہ نبی کریم (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے مجھے کسی کام بھیج دیا تھا۔ انھوں نے پوچھا : کیا کام تھا ؟ میں نے کہا : بیشک وہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کا راز ہے۔ آپ نے فرمایا : رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کے راز کی حفاظت کرو۔ حضرت انس فرماتے ہیں : میں نے کسی کو بھی اس کے بارے میں نہیں بتلایا۔
Hazrat Anas farmate hain ke main bachon ke sath tha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) humare pas se guzre aur aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne humain salam kiya, phir aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujhe kisi kaam ke liye bhej diya aur deewar ke saaye mein beth gaye yahan tak main aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke pas aagya. Maine aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko us kaam ke bare mein batlaya. Phir jab main Hazrat Umm e Sulaim ke pas aaya to unhon ne kaha: Aaj kis baat ne tumhen roke rakha? Maine kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujhe kisi kaam bheja tha. Unhon ne pucha: Kya kaam tha? Maine kaha: Beshak wo Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka raaz hai. Aap ne farmaya: Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke raaz ki hifazat karo. Hazrat Anas farmate hain: Maine kisi ko bhi uske bare mein nahin batlaya.