It is narrated on the authority of Hadrat Buraidah bin 'Aazib (may Allah be pleased with him) that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: "Allah, the Exalted, and His angels send blessings upon the first row."
حضرت براء بن عازب سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ اللہ تعالیٰ اور اس کے فرشتے پہلی صف پر رحمت بھیجتے ہیں۔
Hazrat Bara bin Aazib se riwayat hai keh Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh Allah Ta'ala aur uske farishtey pehli saf par rehmat bhejtay hain.
It is narrated on the authority of Hadrat Bara bin Azib that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said that Allah Almighty and His angels send blessings on the front rows.
حضرت براء بن عازت سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ اللہ تعالیٰ اور اس کے فرشتے اگلی صفوں پر رحمت بھیجتے ہیں۔
Hazrat Bara bin Azib se riwayat hai ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya ke Allah Ta'ala aur uske farishte agli safon par rehmat bhejte hain.
Al-Bara' reported that the Prophet, may God bless him and grant him peace, said, “God, His angels, and all those in the heavens and the earth, even the ant in its hole and even the fish, send blessings upon those who teach people good."
حضرت البراء رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اللہ تعالیٰ، اس کے فرشتے اور آسمانوں اور زمین والے یہاں تک کہ چیونٹی اپنے بل میں اور مچھلی بھی ان لوگوں پر رحمت بھیجتے ہیں جو لوگوں کو بھلائی کی باتیں سکھاتے ہیں۔
Hazrat Albara Razi Allah Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Allah Ta'ala Uske Farishte Aur Aasmano Aur Zameen Wale Yahan Tak Ke Cheonti Apne Bil Mein Aur Machhli Bhi Un Logon Par Rehamt Bhejte Hain Jo Logon Ko Bhalai Ki Baaten Sikhaate Hain
Hazrat Dawood bin Abi Hind narrated that a man came to the Holy Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) and submitted: O Messenger of Allah! Tell me such an act which I should do. You said: Become the Imam of your people. He said: If I do not have the strength for it? You said: Then become their Muazzin. He said: If I do not even have the strength for that? You said: Then stand in the first row.
حضرت داؤد بن ابی ہند فرماتے ہیں کہ ایک آدمی نبی پاک (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کی خدمت میں حاضر ہوا اور عرض کیا کہ اے اللہ کے رسول ! مجھے کوئی ایسا عمل بتائیے جسے میں کیا کروں۔ آپ نے فرمایا کہ اپنی قوم کا امام بن جاؤ۔ انھوں نے کہا کہ اگر میں اس کی طاقت نہ رکھوں ؟ آپ نے فرمایا کہ پھر تم ان کے مؤذن بن جاؤ۔ اس نے کہا کہ اگر میں اس کی بھی طاقت نہ رکھوں ؟ آپ نے فرمایا کہ پھر پہلی صف میں کھڑے ہوجاؤ۔
Hazrat Dawood bin Abi Hind farmate hain ke ek aadmi Nabi Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya ke aye Allah ke Rasool! mujhe koi aisa amal bataiye jise mein kiya karoon. Aap ne farmaya ke apni qaum ka imam ban jao. Unhon ne kaha ke agar mein is ki taqat na rakhon? Aap ne farmaya ke phir tum un ke moazzin ban jao. Us ne kaha ke agar mein is ki bhi taqat na rakhon? Aap ne farmaya ke phir pehli saf mein kharay ho jao.
Hazrat Haseen narrates that I was with Hazrat Abdullah bin Shadad. I said let's stand for prayer (in the first row). He said, "Go ahead, go ahead." Because it was said that Allah Almighty and His angels send mercy on the front rows.
حضرت حصین فرماتے ہیں کہ میں حضرت عبداللہ بن شداد کے ساتھ تھا، میں نے نماز کے لیے اقامت کہی۔ وہ کہنے لگے آگے ہوجاؤ، آگے ہوجاؤ۔ کیونکہ کہا جاتا تھا کہ اللہ تعالیٰ اور اس کے فرشتے اگلی صفوں پر رحمت بھیجتے ہیں۔
Hazrat Haseen farmate hain keh main Hazrat Abdullah bin Shadad ke sath tha, maine namaz ke liye iqamat kahi. Woh kehne lage aage hojao, aage hojao. Kyunki kaha jata tha keh Allah Ta'ala aur uske farishte agli safon per rehmat bhejte hain.
It is narrated on the authority of Hazrat Amir bin Masood Qarshi that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: If people knew what (reward) is in the first row, they would draw lots to be in it.
حضرت عامر بن مسعود قرشی سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ اگر لوگوں کو معلوم ہوجائے کہ پہلی صف میں کیا ہے تو قرعہ اندازی کرکے اس میں جگہ بنائیں۔
Hazrat Amir bin Masood Qarshi se riwayat hai keh Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh agar logon ko maloom hojaye keh pehli saf mein kya hai to qur'a andazi karke us mein jagah banayen.
Hazrat 'Arabad bin Sariyah (may Allah be pleased with him), who was from among the companions of the Prophet (peace and blessings be upon him), narrates that the Holy Prophet (peace and blessings be upon him) would send blessings three times on the first row and once on the second row.
حضرت عرباض بن ساریہ (جو کہ اصحاب صفہ میں سے ہیں) فرماتے ہیں نبی پاک (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) اگلی صف پر تین مرتبہ رحمت بھیجتے تھے اور دوسری صف پر ایک مرتبہ۔
Hazrat Arabaz bin Saria (jo keh Ashab Suffa mein se hain) farmate hain Nabi Pak (sallallahu alaihi wasallam) agli saf par teen martaba rehmat bhejtay thay aur dosri saf par ek martaba.
It is narrated on the authority of Hazrat Jabir bin Abdullah that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: "The best rows of men are the front rows and the best rows are the last ones. The best rows of women are the last rows and the best rows are the first ones."
حضرت جابر بن عبداللہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ مردوں کی بہترین صفیں وہ ہیں جو آگے والی ہیں اور کہترین صفیں وہ ہیں جو پیچھے والی ہیں۔ عورتوں کی بہترین صفیں وہ ہیں جو پیچھے والی ہیں اور کہترین صفیں وہ ہیں آگے والی ہیں۔
Hazrat Jabir bin Abdullah se riwayat hai keh Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh mardon ki behtarin safein woh hain jo aage wali hain aur kahtarin safein woh hain jo peeche wali hain. Auraton ki behtarin safein woh hain jo peeche wali hain aur kahtarin safein woh hain aage wali hain.
It is narrated on the authority of Hazrat Ubayy bin Ka'b that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: The first row is like a row of angels. If you knew its reality, you would hasten towards it.
حضرت ابی بن کعب سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ پہلی صف فرشتوں کی صف جیسی ہے۔ اگر تمہیں اس کی حقیقت معلوم ہوجائے تو اس کی طرف لپکنے لگو۔
Hazrat Abi bin Kaab se riwayat hai keh Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh pehli saf farishton ki saf jaisi hai. Agar tumhein is ki haqeeqat maloom hojae to is ki taraf lapakne lago.
It is narrated on the authority of Hazrat Abu Saeed Khudri that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: "The best rows for men are the first and the last. The best rows for women are the last and the first."
حضرت ابو سعید خدری سے روایت ہے کہ رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے ارشاد فرمایا کہ مردوں کی بہترین صف اگلی اور کہترین صف آخری ہے۔ عورتوں کی بہترین صف پچھلی اور کہترین صف پہلی ہے۔
Hazrat Abu Saeed Khudri se riwayat hai keh Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya keh mardon ki behtareen saf agli aur kahtareen saf aakhri hai. Auraton ki behtareen saf pichhli aur kahtareen saf pehli hai.
Hazrat Mujahid narrates that once the Holy Prophet (peace and blessings be upon him) saw an empty space in the first row, so he said that Allah Almighty and His angels send mercy on the first rows. Hearing this, people rushed to fill that empty space.
حضرت مجاہد فرماتے ہیں کہ ایک مرتبہ نبی پاک (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) نے پہلی صف میں خالی جگہ دیکھی تو فرمایا کہ اللہ تعالیٰ اور اس کے فرشتے پہلی صفوں پر رحمت بھیجتے ہیں۔ یہ سن لوگوں نے اس خالی جگہ کو بھرنے کے لیے رش لگادیا۔
Hazrat Mujahid farmate hain ke ek martaba Nabi Pak (SAW) ne pehli saf mein khali jagah dekhi to farmaya ke Allah Ta'ala aur uske farishte pehli safo par rehmat bhejte hain. Ye sun logon ne us khali jagah ko bharne ke liye rush laga diya.