Hazrat Ziad bin Huzair narrates that Hazrat Umar Farooq sent me to the Christians of Banu Taghlib and ordered me to collect half of their wealth from them.
حضرت زیاد بن حدیر فرماتے ہیں کہ حضرت عمر فاروق نے مجھے بنو تغلب کے نصاریٰ کے پاس بھیجا اور حکم فرمایا کہ میں ان سے ان کے اموال کا نصف عشر وصول کروں۔
Hazrat Ziyad bin Hadeer farmate hain ke Hazrat Umar Farooq ne mujhe Banu Taghlib ke Nasara ke pass bheja aur hukm farmaya ke main un se un ke amwal ka nisf ushr wasool karoon.
It is narrated on the authority of Hazrat Dawood bin Kurdus that Hazrat Umar Farooq made peace with the Christians of Banu Taghlib on the condition that double the Zakat would be collected from them. And their young children will not be made Christians, nor will they be forced to convert to any other religion. Dawood, the narrator, says that there is no responsibility for them, indeed they became Christians.
حضرت داؤد بن کردوس سے مروی ہے کہ حضرت عمر فاروق نے بنو تغلب کے نصاریٰ کے ساتھ (اس شرط پہ) صلح فرمائی تھی کہ ان سے زکوۃ کا دو گنا وصول کیا جائے گا۔ اور ان کے چھوٹوں کو نصاریٰ نہیں بنایا جائے گا، اور نہ ہی ان کو کسی غیر دین پر مجبور کیا جائے گا۔ داؤد راوی فرماتے ہیں کہ ان کے لیے کوئی ذمہ نہیں ہے، تحقیق وہ نصرانی ہوگئے۔
Hazrat Dawood bin Kardoos se marvi hai ki Hazrat Umar Farooq ne Banu Taghlib ke Nasara ke saath (is shart pe) sulh farmai thi ki un se zakat ka do guna wasool kiya jaye ga aur un ke chhoton ko Nasara nahi banaya jaye ga, aur na hi un ko kisi ghair deen par majboor kiya jaye ga. Dawood ravi farmate hain ki un ke liye koi zimma nahi hai, tahqeeq wo Nasrani ho gaye.
Hazrat Ziad bin Huzair narrates that I was with my grandfather when a Christian passed by us riding a horse worth twenty thousand (Dirhams). They said to that Christian, "If you wish, give us two thousand, and if you wish, I will take the horse and we will give you eighteen thousand (Dirhams) for it."
حضرت زیاد بن حدیر فرماتے ہیں کہ میں اپنے دادا کے ساتھ تھا، ہمارے پاس سے ایک نصرانی گھوڑے پر سوار ہو کر گزرا اور اس کے گھوڑے کی قیمت بیس ہزار (درہم) تھی، انھوں نے اس نصرانی سے کہا اگر تو چاہے تو دو ہزار دے دیں، اور اگر تو چاہے تو میں گھوڑا لے لوں اور ہم تجھے اس کی قیمت اٹھارہ ہزار (درہم) دے دیں۔
Hazrat Ziyad bin Hadeer farmate hain ke mein apne dada ke sath tha, hamare pass se ek nasrani ghore per sawar ho kar guzara aur uske ghore ki qeemat bees hazar (dirham) thi, unhon ne us nasrani se kaha agar tu chahe to do hazar de den, aur agar tu chahe to mein ghora le lun aur hum tujhe is ki qeemat atharah hazar (dirham) de den.
It is narrated on the authority of Abu Mijlaz that Hazrat Umar Farooq sent Hazrat Usman bin Hunaif (to collect Ushr etc.), he imposed one Dirham on every twenty Dirhams on the property of the Dhimmis who had migrated to other cities and were engaged in trade, and wrote this to Hazrat Umar Farooq. He agreed to it and gave his permission. Then it was asked of Hazrat Umar Farooq: "What do you command us to collect from the merchants of the people of war?" He said, "When you go to their cities, how much do they collect from you?" People said, "Ushr." So he said, "Collect the same amount from them."
حضرت ابو مجلز سے مروی ہے کہ حضرت عمر فاروق نے حضرت عثمان بن حنیف کو (عشر وغیرہ وصول کرنے کیلئے) بھیجا، انھوں نے ذمیوں کے اموال پر جو دوسرے شہروں میں منتقل ہوگئے تھے اور تجارت کرتے تھے ہر بیس درہم پر ایک درہم مقرر کردیا، اور حضرت عمر فاروق کو یہ لکھ کر بھیج دیا۔ آپ اس پر راضی ہوگئے اور اس کی اجازت دے دی۔ پھر حضرت عمر فاروق سے عرض کیا کہ : آپ ہمیں کیا حکم فرماتے ہیں کہ ہم اہل حرب کے تاجروں سے کتنا وصول کریں ؟ آپ نے فرمایا جب تم ان کے شہروں میں جاتے ہو تو تم سے کتنا وصول کرتے ہیں۔ لوگوں نے کہا عشر، تو آپ نے فرمایا اتنا ہی تم ان سے وصول کرو۔
Hazrat Abu Mujlaz se marvi hai ki Hazrat Umar Farooq ne Hazrat Usman bin Haneef ko (ushar waghaira wasool karne ke liye) bheja, unhon ne zimmiyon ke amwal par jo doosre shahron mein muntaqil hogaye thay aur tijarat karte thay har bees dirham per ek dirham muqarrar kardiya, aur Hazrat Umar Farooq ko yeh likh kar bhej diya. Aap is par razi hogaye aur is ki ijazat de di. Phir Hazrat Umar Farooq se arz kiya ki : Aap humain kya hukum farmate hain ki hum ahle harab ke tajiron se kitna wasool karen ? Aap ne farmaya jab tum un ke shahron mein jate ho to tum se kitna wasool karte hain. Logon ne kaha ushar, to Aap ne farmaya utna hi tum un se wasool karo.
Hazrat Ubaidullah bin Abdullah narrates that Hazrat Umar Farooq appointed my father and another person as agents to collect Sadaqat (Ushr, etc.) from Dhimmis who had moved to different cities and were doing business there. And you (Hazrat Umar) ordered us to give them a discount on wheat and collect half the Ushr so that they could bring it to the city. And to collect full Ushr on lentils, etc.
حضرت عبید اللہ بن عبداللہ سے فرماتے ہیں کہ حضرت عمر فاروق نے میرے والد اور ایک دوسرے شخص کو ذمیوں سے صدقات (عشر وغیرہ) وصول کرنے کا عامل مقرر فرمایا جو مختلف شہروں میں منتقل ہوگئے تھے اور وہاں کاروبار کرتے تھے، اور آپ نے ہمیں حکم فرمایا کہ گیہوں میں سے ان پر تخفیف کرتے ہوئے نصف عشر وصول کرنا تاکہ وہ شہر کی طرف اس کو اٹھائیں۔ اور دالوں وغیرہ پر عشر وصول کرنا۔
Hazrat Ubaid Ullah bin Abdullah se farmate hain ki Hazrat Umar Farooq ne mere walid aur ek dusre shakhs ko zimmiyon se sadaqat (ushar waghaira) wasool karne ka aamil muqarrar farmaya jo mukhtalif shehron mein muntaqil hogaye thay aur wahan karobar karte thay, aur aap ne hamen hukum farmaya ki gehun mein se un par takhfeef karte huye nisf ushar wasool karna taaki woh shehar ki taraf usko uthayen. Aur daalon waghaira par ushar wasool karna.
Hazrat Ibrahim says that one dirham will be taken from the protected people for every twenty dirhams, and one dirham will be taken from the warriors for every ten dirhams, and one dirham will be taken from the protected people who deal in alcohol for every ten dirhams.
حضرت ابراہیم فرماتے ہیں کہ ذمیوں سے ہر بیس درہم کے بدلے ایک درہم وصول کیا جائے گا اور حربیوں سے دس درہم کے بدلے ایک درہم وصول کیا جائے گا، اور جو ذمی شراب کا کاروبار کرتے ہیں ان سے ہر دس درہم پر ایک درہم وصول کیا جائے گا۔
Hazrat Ibrahim farmate hain keh zimmiyon se har bees darham ke badle ek darham wasool kiya jaye ga aur harbiyon se das darham ke badle ek darham wasool kiya jaye ga, aur jo zimmi sharaab ka karobar karte hain un se har das darham par ek darham wasool kiya jaye ga.
Hazrat Raaziq narrates that Hazrat Umar bin Abdul Aziz wrote to me, "From the non-Muslim traders that pass by you, and the wealth that they disclose and trade with, for every twenty dinars, take one dinar. And if it's less than that, then take proportionally less, until it reaches ten. And when it's less than three dinars, then leave it, don't take anything, and write them a letter of exemption for those who collect (ahead)."
حضرت رزیق فرماتے ہیں کہ حضرت عمر بن عبد العزیز نے میری طرف لکھ کر بھیجا کہ : ذمی تاجر جو تیرے پاس سے گذریں اور جو مال ان کا ظاہر کیا جاتا ہے اور تجارت میں گھومتا ہے تو ہر بیس دینار پر ایک دینار وصول کرنا، اور جو اس سے کم ہو تو اس سے اسی کمی کے حساب سے وصول کرنا، یہاں تک کہ دس تک پہنچ جائے، پھر جب اس سے بھی تین دینار کم ہوجائیں تو پھر چھوڑ دے کچھ بھی وصول نہ کرو اور ان کیلئے ان سے برأت لکھ دو جو (آگے) وصول کرنے والے ہیں۔
Hazrat Raaziq farmate hain ki Hazrat Umar bin Abdul Aziz ne meri taraf likh kar bheja ki: Zimmi tajir jo tere pas se guzren aur jo maal unka zahir kiya jata hai aur tijarat mein ghoomta hai to har bees dinar per ek dinar wasool karna, aur jo is se kam ho to is se usi kami ke hisab se wasool karna, yahan tak ki das tak pahunch jaye, phir jab is se bhi teen dinar kam hojain to phir chhor de kuchh bhi wasool na karo aur unke liye un se barat likh do jo (aage) wasool karne wale hain.
Hadrat Ibn Abi Ziyad said: I asked Hadrat Imam Zuhri about the Jizya of Bani Kalb and Bani Taghlib. You said that we have received the news that half of ten percent will be taken from their cattle.
حضرت ابن ابی ذئب فرماتے ہیں کہ میں نے حضرت امام زہری سے بنو کلب اور بنو تغلب کے جزیہ سے متعلق دریافت کیا ؟ آپ نے فرمایا کہ ہمیں یہ خبر پہنچی ہے کہ ان کے مویشوں پر نصف عشر لیا جائے گا۔
Hazrat Ibn Abi Zaib farmate hain keh maine Hazrat Imam Zuhri se Banu Kalb aur Banu Taghlib ke jizya se mutalliq daryaft kiya? Aap ne farmaya keh humain yeh khabar pahunchi hai keh un ke maweshun par nisf ushr liya jaye ga.